Surahi Jaam Se Takrayiye Barsaat Ke Din Hain Hadees e Zindagi Duhrayiye Barsaat Ke Din Hain
Surahi Jaam Se Takrayiye Barsaat Ke Din Hain
Hadees e Zindagi Duhrayiye Barsaat Ke Din Hain
Safeena Le Chala Hai Kis Mukhalif Simat Ko Zalim
Zara Mallah Ko Samjhayiye Barsaat Ke Din Hain
Kisi Pur-Noor Tuhmat Ki Zaroorat Hai Ghataoun Ko
Kahein Se Mehwashon Ko Layiye Barsaat Ke Din Hain
Tabeea'at Gardish e Dauran Ki Ghabraai Hoi See Hai
Pareshan Zulf Ko Suljhayiye Barsaat Ke Din Hain
Baharein In Dinon Dast e Bayaban Mein Bhi Aati Hain
Faqeeron Par Karam Farmayiye Barsaat Ke Din Hain
Yeh Mousam Shorish e Jazbaat Ka Makhsoos Mousam Hai
Dil Nadaan Ko Behlayiye Barsaat Ke Din Hain
Suhane Aanchalon Ke Saaz Par Asha'ar SAGHAR Ke
Kisi Be-Chain Dhun Mein Gayiye Barsaat Ke Din Hain
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 231-232
Comments
Post a Comment