Taghayuraat Se Dunya Singaar Karti Hai Yeh Chand Tod Ke Jhoomar Mein Rang Bharti Hai



Taghayuraat Se Dunya Singaar Karti Hai
Yeh Chand Tod Ke Jhoomar Mein Rang Bharti Hai


Usi Kali Se Hai Tareekh Gulistan Roshan
Jo Baghban Ke Lahoo Se Zara Nikharti Hai


Jise Na Zehar Junoon Ki Zara See Chat Lagy
Woh Be-Shour Muhabbat Zaroor Marti Hai


Dilon Ke Bujhtay Charaghon Ko Noor Daiti Hai
Woh Tergi Jo Tere Zulf Se Bikharti Hai


Humari Janat Takhayul Se Guzar Jaye
Bahar Ban Ke Qayamat Agar Guzarti Hai


Tuloo e Mehar Tere Aastaan Peh Hota Hai
Kiran Kiran Teri Dahleez Par Utarti Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 216


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo