Teri Zulfon Ke Phool Murjhaye Ishq Ki Bandagi Ke Kam aaye



Teri Zulfon Ke Phool Murjhaye
Ishq Ki Bandagi Ke Kam aaye


Subah Tere Jalo Mein Roshan Hai
Mere Humraah Shaam Ke Saaye

Be-Sada Hai Taranah e Mansool
Uqda Daar Kon Suljhaye


Roshni Thi Tou Door Thay Kuch Log
Ab Andheron Mein Dhoondne Aaye


Mout Ki Goonjti Hawaoun Mein
Hum Ne Naghmay Hayat Ke Gaye


Dagh e Dil Thay Ziayaoun Ki Tafseer
Tazkire Mahtaab Ke Aaye


Is Darendon Ki Bheed Mein SAGHAR
Kaash Insan Koi Kehlaye

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 225-226


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo