Tum Ne Jo Chaha Woh Dunya Ban Gai Daikhiye ! Phoolon Ka Gajra Ban Gai



Tum Ne Jo Chaha Woh Dunya Ban Gai
Daikhiye ! Phoolon Ka Gajra Ban Gai


Raat Yun Kuch Maael e Naghma Tha Dil
Chandni Saaz e Tamanna Ban Gai


Jab Kisi Soorat Na Unwan Mil Saka
Aarzoo Be-Nam Sahra Ban Gai


Mouj e Darya Mein Nahi Hai Kuch Farq
Mouj Lahraai Tou Darya Ban Gai


Tod Dein Ya Hum Isay Rakh Lein Huzoor
Zindagi Muflis Ka Kasah Ban Gai


Mere Jaam e Mai Se Ud Kar Ik Cheent
Subah Ke Maathay Ka Qashqah Ban Gai


Zindagi Ki Baat SAGHAR Kia Kahein
Ik Tamanna Thi Taqazah Ban Gai


Poet:Saghar Siddiqui

Kulyat e Saghar
Page No 235-236


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha