Waqt Ke Rangeen Guldasty Ko Yaad Aaye Ga Thanda Haath Jab Bikhreingy Woh Gaisoo Tou Mar Jaega Thanda Haath
Waqt Ke Rangeen Guldasty Ko Yaad Aaye Ga Thanda Haath
Jab Bikhreingy Woh Gaisoo Tou Mar Jaega Thanda Haath
Bheegi Palkein , Soch Ki Uljhan , Daman Thamy Soch Rahi Hein
Kab Tak Tar e Gareban Yaaro Suljhayega Thanda Haath
Saaz e Taghazul Chaidne Walo ! Ae Afsane Lekhne Walo
Aaj Lakeeron Ki Tafseerein Duhraye Ga Thanda Haath
Garam Lahoo Ki Boondein Boein , Tanhaai Ki Matti Dalein
Pat-Jhad Aaye In Shakhon Par Ug Aayega Thanda Haath
Pathar Pathar Jot Jaly Gi , Sahil Sahil Shouly Hongy
Bheegi Bheegi Sard Hawa Mein Sharmayega Thanda Haath
Bagh Ke Mali ! Mere Ghunchay Ghairon Ne Pamaal Kiye
Phir Bhi Teri Pholwari Ko Mehkaye Ga Thanda Haath
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 222
Comments
Post a Comment