Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday



Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday
Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday


Ab Ke Baras Bahar Ki Soorat Badal Gai
Zakhmon Mein Aag Lag Gai Gulzar Hans Paday


Us Dastan Dard Ki Tamheed Aap Hein
Jis Dastan e Dard Peh Gha-Khuwar Hans Paday


Hairan Ho Rahi Hai Shagofay Peh Chandni
Shayed Qafas Peh Aaj Giraftar Hans Paday


Lut Jaye Tere Nam Se Har Talkhi e Jafa
Woh Kam Kar Keh Be-Kas o Nadar Hans Paday


Mere Junoon Ne Aaj Woh Sajdah Ada Kia
Butt-Khana Hayat Ke Aasaar Hans Paday


Phir Shadmaan Hoe Hein Kharaby Hayat Ke
SAGHAR Kisi Ke Gaisoo e Khamdar Hans Paday

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 253-154


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo