Zaoq e Tughyan Mein Dhal Ke Daikh Kabhi Mouj Ban Ke Uchal Ke Daikh Kabhi
Zaoq e Tughyan Mein Dhal Ke Daikh Kabhi
Mouj Ban Ke Uchal Ke Daikh Kabhi
Tu Sadaf Hai Tou Is Samandar Mein
Sangreze Nigal Ke Daikh Kabhi
Aatish Aarzoo Ajab Shay Hai
Is Ki Thandak Mein Jal Ke Daikh Kabhi
Khushk Sahra Bhi Rashk e Gulshan Hai
Apne Ghar Se Nikal Ke Daikh Kabhi
Ae Giraftar e Rehbar o Manzil
Be-Iradah Bhi Chal Ke Daikh Kabhi
Zindagi Ki Mithas Ke Humrah
Zehar Gham Ko Nigal Ke Daikh Kabhi
Hai Baharon Ki Justjo SAGHAR
Khaar-Zaaron Mein Ke Daikh Kabhi
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 190-191
Comments
Post a Comment