​Kia Kare Meri Maseehaai Bhi Karne Wala Zakham Hi Yeh Mujhe Lagta Nahi Bharne Wala



کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا​
زخم ہی یہ مجھے لگتا نہیں بھرنے والا​
​Kia Kare Meri Maseehaai Bhi Karne Wala
Zakham Hi Yeh Mujhe Lagta Nahi Bharne Wala

زندگی سے کسی سمجھوتے کے باوصف اب تک​
یاد آتا ہے کوئی مارنے، مرنے والا​
​Zindagi Se Kisi Samjhoty Ke Bawasaf Ab Tak
Yaad Aata Hai Koi Marne , Marne Wala

اُس کو بھی ہم تیرے کُوچے میں گزار آئے ہیں​
زندگی میں وہ جو لمحہ تھا سنورنے والا​
Usko Bhi Hum Tere Koochay Mein Guzar Aaye Hein
​Zindagi Mein Woh Jo Lamha Tha Sanwarne Wala

اُس کا انداز سُخن سب سے جُدا تھا شاید​
بات لگتی ہوئی، لہجہ وہ مُکرنے والا​
​Uska Andaz Sukhan Sab Se Juda Tha Shayed
Baat Lagti Hoi , Lehja Woh Mukarne Wala

شام ہونے کو ہے اورآنکھ میں اِک خواب نہیں​
کوئی اِس گھر میں نہیں روشنی کرنے والا
​Shaam Hone Ko Hai Aur Aankh Mein Ik Khuwaab Nahi
Koi Is Ghar Mein Nahi Roshni Karne Wala

دسترس میں ہیں عناصر کے ارادے کس کے​
سو بِکھر کے ہی رہا کوئی بکھرنے والا​
​Dastras Mein Hein Anasir Ke Iraday Kis Ke
So Bikhar Ke Hi Raha Koi Bikharne Wala

اِسی اُمّید پہ ہر شام بُجھائے ہیں چراغ​
ایک تارا ہے سرِ بام اُبھرنے والا​
​Isi Umeed Peh Har Shaam Bujhaye Hein Charagh
Aik Tara Hai Sar e Baam Ubharne Wala

پروین شاکر​
Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai