Lekhna Mere Mazar Ke Katbay Peh Yah Huroof Marhoom Zindagi Ki Herasat Mein Mar Gaya



آخر وہ میرے قد کی بھی حد سے گزر گیا

کل شام میں تو اپنے ہی سائے سے ڈر گیا

Aakhir Woh Mere Qad Ki Bhi Had Se Guzar Gaya

Kal Shaam Main Tou Apne Hi Saaye Se Dar Gaya

مٹھی میں بند کیا ہوا بچوں کے کھیل میں

جگنو کے ساتھ اس کا اجالا بھی مر گیا

Mutthi Mein Band Kia Hoa Bachon KeKhail Mein

Jugno Ke Saath Uska Ujala Bhi Mar Gaya

کچھ ہی برس کے بعد تو اس سے ملا تھا میں

دیکھا جو میرا عکس تو آئینہ ڈر گیا

Kuch Hi Baras Ke Ba'ad Tou Us Se Mila Tha Main

Daikha Jo Mera Aks Tou Aaina Dar Gaya

ایسا نہیں کہ غم نے بڑھا لی ہو اپنی عمر

موسم خوشی کا وقت سے پہلے گزر گیا

Aisa Na Keh Gham Ne Barha Li Ho Apni Umar

Mousam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya

لکھنا مرے مزار کے کتبے پہ یہ حروف

 مرحوم زندگی کی حراست میں مر گیا

Lekhna Mere Mazar Ke Katbay Peh Yah Huroof

Marhoom Zindagi Ki Herasat Mein Mar Gaya

قتیل شفائی

Qateel Shifai

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo