Mareez e Ishq Ka Kia Hai Jiya , Jiya , Na Jiya Hai Aik Sans Ka Jhagdah Liya , Liya ,Na Liya



مریض عشق کاکیا ھے جیا ، جیا، نہ جیا
ھے ایک سانس کا جھگڑا لیا، لیا، نہ لیا
Mareez e Ishq Ka Kia Hai Jiya , Jiya , Na Jiya
Hai Aik Sans Ka Jhagdah Liya , Liya ,Na Liya
بدن" ھی آج، اگر "تار تار" ھے میرا"
تو ایک چاکِ گریباں سیا، سیا، نہ سیا
"Badan" Hi Aaj , Agar "Tar Tar" Hai Mera
Tou Aik Chaak e Gareban Siya , Siya, Na Siya

یہ اور بات کہ، تُو ہر راہِ خیال میں ھے
کہ تیرا نام زباں سے لیا، لیا، نہ لیا
Yeh Aur Baat Keh , Tu Har Rah e Khayal Mein Hai
Keh Tera Nam Zuban Se  Liya , Liya , Na Liya

میرے ھی نام پہ، آیا ہے جام محفل میں
یہ اور بات کہ، میں نے پیا، پیا، نہ پیا
Mere Hi Nam Peh , Aaya Hai Jaam Mehfil Mein
Yeh Aur Baat Keh , Main Ne Piya , Piya , Na Piya

یہ حالِ دل ھےصفی، میں تو سوچتا ھی نہیں
کہ کیوں کسی نے سہارا دیا، دیا، نہ دیا؟
Yeh Haal e Dil Hai SAFI , Main Tou Sochta Hi Nahi
Keh Kion Kisi Ne Sahara Diya , Diya , Na Diya?

 صفی لکھنوی
Safi Lakhnovi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai