Sar e Mai-Khana Koi Paarsa Ab Tak Nahi Aaya Humain Peeny Pilany Ka Mazah Ab Tak Nahi Aaya



سرِ  مَیخانہ  کوئی  پارسا اب تک نہیں آیا
ھمیں  پِینے  پِلانـے  کا مزا اب تک نہیں آیا
Sar e Mai-Khana Koi Paarsa Ab Tak Nahi Aaya
Humain Peeny Pilany Ka Mazah Ab Tak Nahi Aaya

کِیّا وَعدہ، مگــر وہ بـےوفا اب تک نہیں آیا
خُدا مَعلوم کب تک آئے گا، اب تک نہیں آیا
Kiya Wa'adah , Magar Woh Be-Wafa Ab Tak Nahi Aaya
Khuda Ma'aloom Kab Tak Aaega , Ab Tak Nahi Aaya

فَلک کی گردشیں حَیراں ھیں اُس کی بـے مِثالی پر
کوئی  ایســـا  سِتمگر  دُوسرا اب تک نہیں آیا
Falak Ki Gardishein Hairan Hein Uski Be-Misali Par
Koi Aisa Sitamgar Dosra Ab Tak Nahi Aaya

شَباب آیا، حِجاب آیا، ادائیں آ گئیں اُن کو
نہیں  آیا  تو  اندازِ  وَفا  اب  تک  نہیں آیا
Shabaab Aaya , Hijaab Aaya , Adaaein Aa Gaein Unko
Nahi Aaya Tou Andaz e Wafa Ab Tak Nahi Aaya

نِگاھیں اُن کی اُنھیں، گُھوم پِھر کر غَیر تک پُہنچیں
مری  جانب  کــــــوئی  تیـرِ  قَضا  اب  تک  نہیں  آیا
Nigahein Unki Unhein , Ghoom Phir Kar Ghair Tak Puhonchein
Meri Janib Koi Teer e Qaza Ab Tak Nahi Aaya

تمھِیں اے ھم نَشینو ! نامہ بر کی کُچھ خَبر لاؤ
ذرا  پِھر  دیکھ  لو یـے  کیا کہا، اب تک نہیں آیا
Tumhein Ae Hum-Nasheeno ! Nama-Bar Ki Kuch Khabar Lao
Zara Phir Daikh Lo Hai KiaKaha , Ab Tak Nahi Aaya

ھزاروں کو ھے دعوٰی ناخُدائی کا، مگر ھم کو
نظر  کوئی  بھی  ساحِل آشنا اب تک نہیں آیا
Hazaron Ko Hai Da'awa Na-Khudaai Ka , Magar Hum Ko
Nazar Koi Bhi Sahil Aashna Ab Tak Nahi Aaya

پیر نصیر الدین
Peer Naseer o Deen


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai