Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai



دعا کا ٹوٹا ہوا حرف سرد آہ میں ہے
تری جدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے
Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai


ترے بدلنے کے با وصف تجھ کو چاہا ہے
یہ اعتراف بھی شامل مرے گناہ میں ہے
Tere Badalny Ke Ba-Wasf Tujh Ko Chaha Hai
Yeh Aiteraf Bhi Shamil Mere Gunah Mein Hai

 
عذاب دے گا تو پھر مجھ کو خواب بھی دے گا
میں مطمئن ہوں مرا دل تری پناہ میں ہے
Azaab De Ga Tou Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De Ga
Main Mutmaein Hon Mera Dil Teri Panah Mein Hai

 
بکھر چکا ہے مگر مسکرا کے ملتا ہے
وہ رکھ رکھاؤ ابھی میرے کج کلاہ میں ہے
Bikhar Chuka Hai Magar Muskura Ke Milta Hai
Woh Rakh Rakhav Abhi Mere Kaj Kalah Mein Hai

 
جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے
وہ اک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے
Jise Bahar Ke Mehman Khali Chod Gaye
Woh Ik Makan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai

 
یہی وہ دن تھے جب اک دوسرے کو پایا تھا
ہماری سال گرہ ٹھیک اب کے ماہ میں ہے
Yahi Woh Din Thay Jab Ik Dosre Ko Paya Tha
Humari Salgirah Theek Ab Ke Mah Mein Hai

 
پروین شاکر
Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai