Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha



تاثرات و تجربات
Tasuraat o Tajrubaat

 
مِلن تھا تلخ تو انجام یہ ہی ہونا تھا
مُجھے بھی کرنا تھا ماتم تُجھے بھی رونا تھا
Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha
Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha

 
چُنا ہے راستہ بربادیوں کا خود میں نے
تباہ دونوں میں سے ایک کو تو ہونا تھا
Chuna Hai Rastah Barbadiyun Ka Khud Main Ne
Tabah Donon Mein Se Aik Ko Tou Hona Tha

 
سفر یہ ساتھ گُزارا ہے اجنبی کی طرح
 کسی بھی موڑ پہ آ کر جُدا تو ہونا تھا
Safar Yeh Saath Guzara Hai Ajnabi Ki Tarah
Kisi Bhi Mod Peh Aa Kar Juda Tou Hona Tha

 
مجھے گَھمنڈ تھا سب کُچھ ہے میرے ہاتھوں میں
کُھلا یہ راز کہ قُدرت کا میں کِھلونا تھا
Mujhe Ghumand Tha Sab Kuch Hai Mere Haathon Mein
Khula Yeh Raaz Keh Qudrat Ka Main Khilona Tha

 
قَضا نے پیار سے لوری سُنائی جب ارشد
تھکا ہوا تھا بہت زندگی سے، سونا تھا
Qaza Ne Piyar Se Lori Sunaai Jab ARSHAD
Thaka Hoa Tha Buhat Zindagi Se Sona Tha

 
مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Audubon Pennsylvania


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo