Apne Seene Se Lagaye Hoe Umeed Ki Laash Mudaton Zeest Ko Nashad Kia Hai Main Ne



ﺍﭘﻨﮯ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﻟﮕﺎﺋﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺍﻣﯿﺪ ﮐﯽ ﻻﺵ
ﻣﺪﺗﻮﮞ ﺯﯾﺴﺖ ﮐﻮ ﻧﺎﺷﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Apne Seene Se Lagaye Hoe Umeed Ki Laash
Mudaton Zeest Ko Nashad Kia Hai Main Ne

 
ﺗﻮ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺍﯾﮏ ﮨﯽ ﺻﺪﻣﮯ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﺗﮭﺎ ﺩﻭﭼﺎﺭ
ﺩﻝ ﮐﻮ ﮨﺮ ﻃﺮﺡ ﺳﮯﺑﺮﺑﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Tu Ne Tou Aik Hi Sadmay Se Kia Tha Dochaar
Dil Ko Har Tarah Se Barbad Kia Hai Main Ne

 
ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺭﺍﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ‌ ﻧﻈﺮ ﺁﺋﮯ ﺣﺮﯾﺮﯼ ﻣﻠﺒﻮﺱ
ﺳﺮﺩ ﺁﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﺠﮭﮯ ﯾﺎﺩ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ
Jab Bhi Rahon Mein Nazar Aaye Hareeri Malboos
Sard Aahon Mein Tujhe Yaad Kia Hai Main Ne

 
ﺍﻭﺭ ﺍﺏ ﺟﺐ ﮐﮧ ﻣﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﮐﯽ ﭘﮩﻨﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ
ﺍﯾﮏ ﺳﻨﺴﺎﻥ ﺳﯽ ﻣﻐﻤﻮﻡ ﮔﮭﭩﺎ ﭼﮭﺎﺋﯽ ﮨﮯ
Aur Ab Jab-Keh Meri Rooh Ki Pehnaai Mein
Aik Sunsaan See Maghmoom Ghata Chhaai Hai

 
ﺗﻮ ﺩﻣﮑﺘﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻋﺎﺭﺽ ﮐﯽ ﺷﻌﺎﺋﯿﮟ ﻟﮯ ﮐﺮ
ﮔﻞ ﺷﺪﮦ ﺷﻤﻌﯿﮟ ﺟﻼﻧﮯ ﮐﻮ ﭼﻠﯽ ﺁﺋﯽ ﮨﮯ
Tu Damaktay Hoe Aariz Ki Shua-aein Le Kar
Gul-Shudah Shamaein Jalane Ko Chali Aai Hai

 
ﻣﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﻮﺏ، ﯾﮧ ﮨﻨﮕﺎﻣۂ ﺗﺠﺪﯾﺪ ﻭﻓﺎ
ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻓﺴﺮﺩﮦ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ ﺭﺍﺱ ﻧﮩﯿﮟ
Meri Mahboob , Yeh Hangamah e Tajdeed Wafa
Meri Afsurdah Jawani Ke Liye Raas Nahi

 
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺟﻮ ﭘﮭﻮﻝ ﭼﻨﮯ ﺗﮭﮯ ﺗﺮﮮ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﮐﮯ ﻟﯿﮯ
ﺍﻥ ﮐﺎ ﺩﮬﻨﺪﻻ ﺳﺎ ﺗﺼﻮﺭ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
Main Ne Jo Phool Chuny Thay Tere Qadmon Ke Liye
Unka Dhundla Sa Tasawar Bhi Mere Paas Nahi

 
ﺍﯾﮏ ﯾﺦ ﺑﺴﺘﮧ ﺍُﺩﺍﺳﯽ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻭﺟﺎﮞ ﭘﮧ ﻣﺤﯿﻂ
ﺍﺏ ﻣﺮﯼ ﺭﻭﺡ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﻗﯽ ﮨﮯ ﻧﮧ ﺍﻣﯿﺪ ﻧﮧ ﺟﻮﺵ
Aik Yakh-Bastah Udasi Hai Dil o Jan Peh Muheet
Ab Meri Rooh Mein Baqi Hai Na Umeed Na Josh

 
ﺭﮦ ﮔﯿﺎ ﺩﺏ ﮐﮯ ﮔﺮﺍﮞ ﺑﺎﺭ ﺳﻼﺳﻞ ﮐﮯ ﺗﻠﮯ
ﻣﯿﺮﯼ ﺩﺭﻣﺎﻧﺪﮦ ﺟﻮﺍﻧﯽ ﮐﯽ ﺍﻣﻨﮕﻮﮞ ﮐﺎ ﺧﺮﻭﺵ
Reh Gaya Dab Ke Geran Bar Salasul Ke Talay
Meri Darmandah Jawani Ki Umangon Ka Kharosh

 
ﺭﯾﮓ ﺯﺍﺭﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮕﻮﻟﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﻮﺍ ﮐﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺳﺎﯾۂ ﺍﺑﺮِ ﮔﺮﯾﺰﺍﮞ ﺳﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ
Regzaron Mein Bagolon Ke Siwah Kuch Bhi Nahi
Saayah e Abar Gurezaan Se Mujhe Kia Laina

 
ﺑﺠﮫ ﭼﮑﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﮯ ﮐﻨﻮﻝ
ﺍﺏ ﺗﺮﮮ ﺣﺴﻦِ ﭘﺸﯿﻤﺎﮞ ﺳﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ
Bajah Chuky Mere Seenay Mein Muhabbat Ke Kanwal
Ab Tere Husn Pasheman Se Mujhe Kia Laina

 
ﺗﯿﺮﮮ ﻋﺎﺭﺽ ﭘﮧ ﯾﮧ ﮈﮬﻠﮑﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺳﯿﻤﯿﮟ ﺁﻧﺴﻮ
ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻓﺴﺮﺩﮔﺊ ﻏﻢ ﮐﺎ ﻣﺪﺍﻭﺍ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ
Tere Aariz Peh Yeh Dhalky Hoe Seemeen Aansoo
Meri Afsurdgi Gham Ka Madawa Tou Nahi

 
ﺗﯿﺮﯼ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ ﭘﯿﺎﻡِ ﺗﺠﺪﯾﺪ
ﺍﮎ ﺗﻼﻓﯽ ﮨﯽ ﺳﮩﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺗﻤﻨﺎ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ
Teri Mahboob Nigahon Ka Piyam Tajdeed
Ik Talafi Hi Sahi Meri Tamanna Tou Nahi

 
ﺳﺎﺣﺮ ﻟﺪﻫﯿﺎﻧﻮی
Sahir Ludhianvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo