MUHABBAT LAAZMI HAI , MAANTA HOON MAGAR HAMZAAD, AB MAIN THAK GIYA HOON



MUHABBAT   LAAZMI  HAI ,  MAANTA   HOON
MAGAR HAMZAAD, AB MAIN THAK GIYA HOON


TUMHARA HIJAR, KAANDHAY PAR DHARA HAI
NA JAANAY KIS JAGAH MAIN, JAA RAHA HOON


MERAY   CHAARON   TARAF , IK   SHOR  SA  HAI
MAGAR PHIR BHI YAHAAN, TANHA KHARRA HOON


KOI TO HO , JO MERAY DARD BAANTAY
MUSALSAL HIJAR KA, MAARA HOWA HOON


MUHABBAT , HIJAR , NAFRAT , MIL GAYE  SAB
MAIN TAQREEBAN, MUKAMMAL HO GIYA HOON


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai