Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein



میں وہ دنیا ہوں جہاں تیری کمی ہے سائیاں
میری آنکھوں میں جدائی کی نمی ہے سائیاں
Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein
Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein

 
میرے زخموں کی دوا تیرے سوا کوئی نہیں
میری تنہائی میری جاں پہ بنی ہے سائیاں
Mere Zakhmon Ki Dawa Tere Siwah Koi Nahi
Meri Tanhaai Meri Jaan Peh Bani Hai Saaein

 
اپنے ٹوٹے ہوئے خوابوں کو سنبھالوں کیسے
خود کو دنیا کی نگاہوں سے چھپالوں کیسے
Apne Toote Hoe Khuwabon Ko Sanbhalon Kaise
Khud Ko Dunya Ki Nigahon Se Chupa Lon Kaise

 
اپنے ہاتھوں سے دیا دل کا بُجھا لوں کیسے
میری تنہائی میری جاں پہ بنی ہے سائیاں
Apne Haathon Se Diya Dil Ka Bujha Loon Kaise
Meri Tanhaai Meri Jaan Peh Bani Hai Saaein

 
میری ہستی کو ہرا کر دے خزاں ہوں مولا
دے مجھے میرا پتہ کوئی کہاں ہوں مولا
Mere Basti Ko Hara Kar Dy Khizan Hon Mola
Dy Mujhe Mera Pata Koi Kahan Hon Mola


اک بجھے گھر کے چراغوں کا دُھواں ہوں مولا
میری آواز میرے دل میں دبی ہے سائیاں
Ik Bujhe Ghar Ke Charaghon Ka Dhuwaan Ho Mola
Meri Aawaaz Mere Dil Mein Dabi Hai Saaein

 
میری آنکھوں میں جدائی کی نمی ہے سائیاں
میں وہ دنیا ہوں جہاں تیری کمی ہے سائیاں
Main Woh Dunya Hon Jahan Teri Kami Hai Saaein
Meri Aankhon Mein Judaai Ki Nami Hai Saaein

 
علی زریون
Ali Zaryun



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai