Ik Raat Hoi Barsaat Buhat Main Roya Saari Raat Buhat



اک رات ہوئی برسات بہت
میں رویا ساری رات بہت
Ik Raat Hoi Barsaat Buhat
Main Roya Saari Raat Buhat

ہر غم تھا زمانے کا لیکن
میں تنہا تھا اس رات بہت
Har Gham Tha Zamane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Buhat

پھر آنکھ سے اک ساون برسا
جب سحر ہوئی تو خیال آیا
Phir Aankh Se Ik Sawan Barsa
Jab Sahar Hoi Tou Khayal Aaya

وہ بادل کتنا تنہا تھا
جو برسا ساری رات بہت
Woh Badal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Buhat


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo