Kyun tu acha lagta hai , waqt mila tou sochenge Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila tou sochenge



Kyun tu acha lagta hai , waqt mila tou sochenge
Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila tou sochenge


Sara shehar shanasai ka , dawedar tou hai lekin
Kon hamara apna hai , waqt mila tou sochenge


Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo
Us ne likh kar bheja hai , waqt mila tou sochenge


Mosam khushbo baad-e-saba chand shafaq aur taron mein
Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila tou sochenge


Ya tou apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki
Mashwara uska acha hai ,waqt mila tou sochenge


Comments