Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain
Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain
Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain
December ki haseen shaamein zameen par jab utarti hai
Mere chote se kamre mein tare iqraar rotay hain
Tere kehne peh haans bhi doon to mere yaar Kya hoga
Meri nazmein meri ghazlein mere ashaar rotay hain
Bas us ke aik jumlay ne nahin ronay diya mujh ko
Baday sahib bataye na bhala koi sardar rotay hain
Koi ja kar khaber de de mere achay masiha ko
Tere hi naam le le kar tere bemaar rotay hain
Darr o dewaar par shayad koi wehsat ke saaye hain
Makii’n chup hone lagte hain to pehredaar rotay hain
Yeh haath ka funn hai keh iss mithii ki kismet hai
Main jab haans ker banata hoon mere shehkaar rotay hain
Comments
Post a Comment