Mujhe darr lagta hai logon se In ke kareeb aane se



Mujhe darr lagta hai logon se
In ke kareeb aane se
Achanak chhor jaane se
Bahut sakht lehjon se
Aur narm mijaazon se
Jaan ban jaane se
Anjaan ho jaane se
Bahut khaas hone se
Behadh aam ho jaane se
Ehsaan kerne se
Ehsaan jataane se
Pehle haansne se
Phir khud hi rulane se
Aik din chhor jaane se
Kabhi na laut aane se
Mujhe darr lagta ab logon se


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai