Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle



REMEMBERING MIRZA GHALIB ON HIS BIRTH ANNIVERSARY
(some favorite couplets)
Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle
magar likhvae koi us ko khat to ham se likhvae
hui subah aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

(* paradise)
--------
Koi mere dil se puchhe tere teer-e-nim-kash* ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Kahun kis se mai ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota

*(an arrow that would be only partly through its target)
-------
Mat puchh ki kya haal hai mera tere pichhe
tu dekh ki kya rang hai tera mere aage

-------
Dard minnat-kash-e-dava* na hua
main na achchha hua bura na hua
kitne shireen** hain tere lab ki raqeeb
galiyan kha ke be-maza na hua
hai khabar garm un ke aane ki

aaj hi ghar mein boriya*** na hua
(* pain wasn't obliged to respond to medicine
** sweet/pleasant
*** rug)


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai