Chehre pe khushi chha jati hai, ankhon mein suroor aa jata hai Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuroor aa jata hai



چہرے پہ خوشی چھا جاتی ہے، آنکھوں میں سرور آ جاتا ہے
جب تم مجھے اپنا کہتے ہو اپنے پہ غرور آ جاتا ہے

تم حسن کی خود اک دنیا ہو، شاید یہ تمہیں معلوم نہیں
محفل میں تمہارے آنے سے ہر چیز پہ نور آ جاتا ہے

ہم پاس سے تم کو کیا دیکھیں، تم جب بھی مقابل ہوتے ہو
بیتاب نگاہوں کے آگے پردہ سا ضرور آ جاتا ہے

جب تم سے محبت کی ہم نے تب جا کے کہیں یہ راز کھلا
مرنے کا سلیقہ آتے ہی جینے کا شعور آ جاتا ہے
ساحر لدھیانوی

Chehre pe khushi chha jati hai, ankhon mein suroor aa jata hai
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuroor aa jata hai

Tum husn ki khud ek duniya ho, shayed ye tumhen maloom nahi
Mehfil mein tumhare anay se har cheez pe noor aa jata hai

Hum paas se tum ko kia dekhen, tum jab bhi muqabil hote ho
Betab nigahon ke agay pardah sa zarur aa jata hai

Jab tum se muhabbat ki hum ne tab ja ke kahin ye raz khhula
Marne ka saleeqa atay hi jeene ka sha’ur aa jata hai

Sahir Ludhianvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo