Main samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarik Usi gham ka tu bhi aseer hai usi dukh ka main bhi shikar tha



Main samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarik
Usi gham ka tu bhi aseer hai usi dukh ka main bhi shikar tha

Faqat aik dhun thi ke rat din usi khwab zaar mein gum rahen
Wo suroor aisa suroor tha wo khumar aisa khumar tha

Kabhi lamha bher ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki
Mujhe fursaten nahi mil sakeen, wo hawa ke rath pe sawar tha

Hum ajeeb tarz ke loag thay ke hamare aur hi roag thay
Main khizan mein us ka tha muntazir, usay intizar e bahar tha

Usay padh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
Koi qarz tha kaiy sal ka kaiy ratjagon ka udhaar tha

Aitbar Sajid


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai