Phir Se Aaya Hai Woh Lamha , Mere Piyare Logo Faisla Karna Hai Jab Apne Muqadar Ka Tumhein



پھر سے آیا ہے وہ لمحہ، مِرے پیارے لوگو

فیصلہ کرنا ہے جب اپنے مقدر کا تمہیں

Phir Se Aaya Hai Woh Lamha , Mere Piyare Logo

Faisla Karna Hai Jab Apne Muqadar Ka Tumhein

ایک ہوجاؤ بس اک دن، مِرے سارے لوگو

آج کردار ادا کرنا ہے رہبر کا تمہیں

 Aik Ho Jao Bas Ik Din , Mere Sare Logo

Aaj Kirdar Ada Karna Hai Rehbar Ka Tumhein

اور کچھ بھی نہ کرو، دل کی سُنو، ووٹ تو دو

اُس چُناؤ میں جسے چاہو چُنو، ووٹ تو دو

 Aur Kuch Bhi Na Karo , Dil Ki Suno , Vote Tou Do

Us Chunao Mein Jise Chaho Chuno , Vote Tou Do

تم ہو چوبیس کروڑ اور تمہاری رائے

آنے والے کئی برسوں کو کرے گی روشن

 Tum Ho Chaobees Karor Aor Tumhari Raaye

Aanay Wale Kai Barson Ko Karegi Roshan

دور ہوجائیں گے اس صحن سے غم کے سائے

اور ہوجائے گا پُرنور ہمارا آنگن

 Door Ho Jaeingy Is Sehan Se Gham Ke Saaye

Aur Ho Jaeyega Pur-Noor Humara Aangan

یہ جو گھر تم سے ہے آباد، تمہارا ہی تو ہے

یہ جو ہے مُلکِ خداداد،،تمہارا ہی تو ہے

Yeh Jo Ghar Tum Se Hai Aabad , Tumhara Hi Tou Hai

Yeh Jo Hai Mulk e Khudadad , Tumhara Hi Tou Hai

رحمان فارس

Rehman Faris

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai