Gulaab, khuwab, dawaa, zehr, jaam, kia kia hai Main aa gaya hoon, bata, intizam kia kia hai



گلاب، خواب، دوا، زہر، جام، کیا کیا ہے
میں آ گیا ہوں بتا، انتظام کیا کیا ہے
Gulaab, khuwab, dawaa, zehr, jaam, kia kia hai
Main aa gaya hoon, bata, intizam kia kia hai

 
فقیر، شاہ، قلندر، امام، کیا کیا ہے
تجھے پتہ نہیں، تیرا غلام کیا کیا ہے
Faqeer, shah, qalandar, imam, kia kia hai
Tujhe pata nahi tera ghulam kia kia hai

 
زمیں پہ سات سمندر، سَروں پہ سات آکاش
میں کچھ نہیں ہوں مگر اہتمام کیا کیا ہے
Zameen pe sat samundar saron pe sat akash
Main kuch nahi hoon magar ehtimam kia kia hai

 راحت اندوری
Rahat Indori


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo