Koi ye kaisay bataye key wo tanha kyon hai Wo jo apna tha wohi aur kisi ka kyon hai??



کوئی یہ کیسے بتائے کہ وہ تنہا کیوں ھے
وہ جو اپنا تھا وھی اور کسی کا کیوں ھے؟؟

Koi ye kaisay bataye key wo tanha kyon hai
Wo jo apna tha wohi aur kisi ka kyon hai??

 
یہی دُنیا ھے تو پِھر ایسی یہ دُنیا کیوں ھے؟؟
یہی ھوتا ھے، تو آخر یہی ھوتا کیوں ھے؟؟


Yehi duniya hai to phir aisi ye duniya kyon hai??
Yehi hota hai tk aakhir yehi hota kyon hai??

 
ایک ذرا ھاتھ بڑھا دیں تو پکڑ لیں دامن
اُس کے سینے میں سما جائے ھماری دھڑکن

Ek zara haath barha dain to pakar lain daaman
Uskay seenay main sama jaye hamari dharkan

 
اتنی قُربت ھے تو پِھر فاصلہ اِتنا کیوں ھے؟؟
دلٍ برباد سے نِکلا نہیں اب تک کوئی


Itni qurbat hai to phir faasla itna kyon hai?
Dil-e-barbaad se nikla nahi ab tak koi

 
ایک لُٹے گھر پہ دیا کرتا ھے دستک کوئی
آس جو ٹُوٹ گئی پِھر سے بندھاتا کیوں ھے؟؟

Aik lutay ghar pe diya karta hai dastak koi
Aas jo toot gai phir se bandhaata kyon hai?

 
تم مسرّت کا کہو یا اِسے غم کا رِشتہ
کہتے ھیں پیار کا رشتہ ھے جنم کا رِشتہ
ھے جنم کا جو یہ رِشتہ تو بدلتا کیوں ھے؟؟

Tum musarat ka kaho ya isay ghum ka rishta
Kehtay hain payar ka rishta hai janam ka rishta
Hai janam ka jo ye rishta to badlta kyon hai?

 کیفیؔ اعظمی
Kaifi Aazmi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai