Jazba e Shouq Se Hone Lagein Palkein Bojhal Haaye Tooti Hai Kahan Ja Ke Khayalon Ki Kamand
جذبۂ ﺷﻮﻕ ﺳﮯ ہوﻧﮯ ﻟﮕﯿﮟ ﭘﻠﮑﯿﮟ ﺑﻮﺟﮭﻞ
ہائے ﭨﻮﭨﯽ ہے ﮐﮩﺎﮞ ﺟﺎ ﮐﮯ ﺧﯿﺎﻟﻮﮞ ﮐﯽ ﮐﻤﻨﺪ
Jazba e Shouq Se Hone Lagein Palkein Bojhal
Haaye Tooti Hai Kahan Ja Ke Khayalon Ki Kamand
ہائے ﺭنگینئ ﺍﯾﺎﻡ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﺅﮞ
ﻋﯿﺶ ﻭ ﻋﺸﺮﺕ ﮐﺎ ﻭﮦ ﺍِﮎ ﺟﺎﻡ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﺅﮞ
Haaye Rangeeni e Ayyam Kahan Se Laoun
Aish o Aishrat Ka Woh Ik Jaam Kahan Se Laoun
ﺭِﻧﺪئ ﺣﺎﻓﻆ ﻭ ﺧﯿﺎﻡ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﺅﮞ
ﻭﮦ ﺣﺴﯿں ﺻُﺒﺢ، ﻭﮦ ﺣَﺴﯿں ﺷﺎﻡ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﺅﮞ
Rindi e Hafiz o Khayam Kahan Se Laoun
Woh Haseen Subah , Woh Haseen Sham Kahan Se Laoun
ﺣﺴﯿﻦ ﻣﺸﯿﺮ ﻋﻠﻮﯼ
Husain Musheer Alvi
Comments
Post a Comment