kabhi dimaġh kabhi dil kabhi nazar mein raho ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho
कभी दिमाग़ कभी दिल कभी नज़र में रहो
ये सब तुम्हारे ही घर हैं किसी भी घर में रहो
जला न लो कहीं हमदर्दियों में अपना वजूद
गली में आग लगी हो तो अपने घर में रहो
तुम्हें पता ये चलें कि घर की राहतें क्या हैं
हमारी तरह कभी चार दिन सफ़र में रहो
है अब ये हाल कि दर दर भटकते फिरते हैं
ग़मों को मैंने कहा था कि मेरे घर में रहो
किसी को ज़ख़्म दिए हैं किसी को फूल दिए
बुरी हो चाहे भली हो मगर खबर में रहो।
राहत इंदौरी
kabhi dimaġh kabhi dil kabhi nazar mein raho
ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho
jala na lo kahin hamdardiyon mein apna vajood
gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho
tumhein pata ye chale ghar ki rahatein kya hain
hamari tarah agar chaar din safar mein raho
hai ab ye haal ki dar dar bhatakte phirte hain
ġhamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho
kisi ko zakhm diye hain kisi ko phool diye
buri ho chahe bhali ho magar khabar mein raho
Rahat Indori
Comments
Post a Comment