Muhabbat Dharam Peeron Ka Muhabbat Deen Faqeeron Ka


Muhabbat Dharam Peeron Ka
Muhabbat Deen Faqeeron Ka
Muhabbat Zakhmi Seena Hai
Muhabbat Nam Teeron Ka
Muhabbat Nooh Ki Kashty
Muhabbat Saz e Daoodi
Muhabbat Aik Jannat Hai Jahan Adam Ne Ghalty Ki
Muhabbat Aik Larki Hai ,Jise Habeel Ne Daikha
Muhabbat Aik Bhai Hai Jise Qabeel Ne Mara
Muhabbat Husn e Yousaf Hai
Muhabbat Chand Ke Tukdey
Muhabbat Aik Hujra Hai Jahan Quran Bhi Utry
Muhabbat Aik Habshi Hai Nishana Jiska Hamzah Hai
Muhabbat Zid Hai Moosa Ki Nateeja Jiska Jalna Hai
Muhabbat Aidiyan Unki
Muhabbat Aab-e-Zam Zam Hai
Muhabbat Aik Ummat Hai
Muhabbat Loot Ka Gham Hai
Muhabbat Hijar e Yousaf Hai
Muhabbat Baap Ka Gham Hai
Muhabbat Aik Bacha Hai Jise Fir'on Ne Pala
Muhabbat Aik Makhdi Hai
Muhabbat Ghar Ka Jhala
Muhabbat Aik Machli Hai Jahan Younas Ko Rakha Tha
Muhabbat Aag Hai Jis Mein Khalilullah Ko Jalna Tha
Muhabbat Woh Jabeen Hai Bas Nabi Ne Chooma Tha
Muhabbat Karbala Wale
Muhabbat Tishnagi Unki
Muhabbat Ik Gharana Hai
Muhabbat Zindagi Unki
Muhabbat Fatima Zehra
Muhabbat Bandagi Unki
Muhabbat Hazrat e Maryam
Muhabbat Sadgi Unki
Muhabbat Aik Darwaza
Muhabbat Jang e Khaibar Hai
Muhabbat Teen Sao Tera
(313)
Muhabbat Aik Lashkar Hai
Muhabbat Teen
(3) Zeeny Hain
Muhabbat Aik Member Hai
Muhabbat Aik Qibla Hai
Muhabbat Aik Mehwer Hai
Muhabbat Aik Amrat Hai
Muhabbat Hoz e Kousar Hai
Muhabbat Aik Mazhab Hai
Muhabbat Deen e Kamil Hai
Muhabbat Aakhiry Khutbah
Muhabbat Aakhiry Sunnat
Muhabbat Aakhiry Murshid
Muhabbat Aakhiry Ummat
Hamari Ik Muhabbat Hai
MUHAMMAD Thay MUHAMMAD Hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha