ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki



ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna
main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki
ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai
us ne bakhshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki
ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha
us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki
wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai
'faraaz'
hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna