Wo sar phiri hawa thi sambhalna padha mujhey Mai.n aakhri chiraagh tha jalna padha mujhey



वो सर फिरी हवा थी सँभलना पड़ा मुझे
मैं आख़री चिराग़ था जलना पड़ा मुझे।
महसूस कर रहा था उसे अपने आस पास
अपना ख़याल ख़ुद ही बदलना पड़ा मुझे।
कुछ दूर तक तो जैसे कोई मेरे साथ था
फिर अपने साथ आप ही चलना पड़ा मुझे।

अमीर कज़लबाश
Wo sar phiri hawa thi sambhalna padha mujhey
Mai.n aakhri chiraagh tha jalna padha mujhey
Mehsoos kar raha tha ussay apney aas paas
Apna khyaal khud hi badalna padha mujhey
Kuchh duur tak tau jaisey koyee merey saath tha
Phir apney saath aap hi chalna padha mujhey

 Amir Kazalbash


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna