Aik poora jahan thi pehle Ye zameen asman thi pehle



ایک پوُرا جہان تھی پہلے
یہ زمین آسمان تھی پہلے
Aik poora jahan thi pehle
Ye zameen asman thi pehle

 
راکھ ہو کر یقین آیا ہے
آگ وہم و گمان تھی پہلے
Raakh ho kar yaqeen aya hai
Aag wehm o guman thi pehle

 
اُڑ رہی ہے جو آسمان پہ خاک
میرا خستہ مکان تھی پہلے
Ur rahi hai jo asman pe khak
Mera khasta makan thi pehle

 
ہجر بکتا ہے اب جہاں پہ مِیاں
وصل کی یہ دکان تھی پہلے
Hijr bikta hai ab jahan pe mian
Wasl ki ye dukan thi pehle

 
اُڑنا سیکھا تو اب میں ڈرتا ہوں
کتنی اُونچی اُڑان تھی پہلے
Ur a seekhha to ab main darta hoon
Kitni oonchi uran thi pehle

 
آؤ مِلتے ہیں اب تسلی سے
زندگی درمیان تھی پہلے
Aao milte hain ab tasalli se
Zindagi darmiyan thi pehle

 
عاطف جاوید عاطف
Atif Javed Atif


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna