Aisa koi zindagi se wada to nahi tha Tere bina jeene ka irada to nahi tha
ﺍیسا ﮐوئی زندگی ﺳﮯ وعدہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
ﺗﯿﺮﮮ بنا ﺟینے ﮐا ﺍرادہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
Aisa koi zindagi se wada to nahi tha
Tere bina jeene ka irada to nahi tha
ﺗﯿﺮﮮ ﻟﯿﮯ ﺭﺍﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺍُﮔﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ
ﮐﯿﺎﺭﯾﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮐﯽ ﺭﻭﺷﻨﯽ ﻟﮕﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ
ﺟﺎﻧﮯ ﮐﮩﺎﮞ ﭨُﻮﭨﯽ ﮬﮯ ﮈﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﯽ
ﺧﻮﺍﺏ ﺳﮯ ﺟﺎﮔﯿﮟ ﮔﮯ، ﺳﻮﭼﺎ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
Tere liye raton mein chandni ugaai thi
Kiariyon mein khushbu ki raushni lagaai thi
Jane kahan tooti hai dor mere khwab ki
Khwab se jagen ge, socha to nahi tha
شامیانے شاموں کے ﺭﻭز ہی ﺳجائے تھے
ﮐتنی ﺍمیدوں کے ﻣہمان بلائے تھے
آ کے دروازے ﺳﮯ ﻟوٹ گئے ﮬو
یوں بھی ﮐوئی آئے ﮔﺎ، ﺳوچا ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
Shamiyane shaamon ke roz hi sajaye thay
Kitni umeeden ke mehman bulaye thay
Aa ke darwaze se laut gaye ho
Youn bhi koi aye ga, socha to nahi tha
ﺍیسا ﮐوئی زندگی ﺳﮯ وعدہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
ﺗﯿﺮﮮ بنا ﺟینے ﮐا ﺍرادہ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ
Aisa koi zindagi se wada to nahi tha
Tere bina jeene ka irada to nahi tha
گلزار
Gulzar

Comments
Post a Comment