Guam rahe ga mere sath umr bhar shayed Ye mere sabr o qana’at ka hai samar shayed



یہ غم رہے گا مرے ساتھ عمر بھر شاید
یہ میرے صبر و قناعت کا ہے ثمر شاید
Guam rahe ga mere sath umr bhar shayed
Ye mere sabr o qana’at ka hai samar shayed


میں ہنستے ہنستے اچانک سے رونے لگتی ہوں
مرے مزاج پہ موسم کا ہے اثر شاید
Main hanste hanste achanak se rone lagti hoon
Mere mizaj pe mausam ka hai asar shayed

کوئی امید نہیں ہے تمہارے ملنے کی
مرے نصیب میں لکھا ہو یہ مگر شاید
Koi umeed nahi hai tumhare milne ki
Mere naseeb mein likhha ho ye magar shayed


وہ میرے دل سے نکل ہی نہیں رہا لوگو
وہ میرے دل کو سمجھتا ہے اپنا گھر شاید
Wo mere dil se nikal hi nahi raha logo
Wo mere dil ko samajhta hai apna ghar shayed


کوئی بھی شخص مری سوچ کا نہیں ملتا
مرے جنون کا تنہا کٹے سفر شاید
Koi bhi shakhs meri soch ka nahi milta
Mere junoon ka tanha kate safar shayed


میں یوں بھی شعر کی صورت میں بات کرتی ہوں
کہ میری بات میں آ جائے کچھ اثر شاید
Main youn bhi sher ki soorat mein bat karti hoon
Ke meri bat mein aa jaae kuch asar shayed


ملے ہیں زخم زمانے سے جس قدر مجھ کو
کسی کو زخم ملے ہوں نہ اس قدر شاید
Mile hian zakhm zamane se jis qadar mujh ko
Kisi ko zakhm mile hon na is qadar shayed


وہ میرے دل کا طلبگار ہے، نہ صورت کا
وہ چاہتا ہے خمیدہ مرا یہ سر شاید
Wo mere dil ka talabgar hai na soorat ka
Wo chahta hai khameedah mer ye sar shayed


تو یاس و خوف کی شدت سے لوگ مر جاتے
اگر یہ لفظ نہ ہوتے کبھی اگر شاید
To yas o khauf ki shiddat se loag mar jate
Agar ye lafz na hote kabhi agar shayed


ہماری چھت پہ پرندوں کا آنا جانا ہے
اسی جگہ پہ کبھی تھا کوئی شجر شاید
Hamari chhat pe parindon ka ana jana hai
Isi jagah pe kabhi tha koi shajar shayed


یہ ترک ربط محبت تمہارا جرم نہیں
تمہارے بخت میں تھی ہی نہیں سحرؔ شاید
Ye tark e rabt e muhabbat tumhara jurm nahi
Tumhare bakht mein thi hi nahi
Sahar shayed

سحرؔعلیگ
Sahar Aleeg


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein