Hamare darmiyan ehd e shab e mehtab zinda hai Hawa chupke se kehti hai, abhi ek khwab zinda hai
ہمارے درمیاں عہد شب مہتاب زندہ ہے
ہوا چپکے سے کہتی ہے، ابھی اک خواب زندہ ہے
Hamare darmiyan ehd e shab e mehtab zinda hai
Hawa chupke se kehti hai, abhi ek khwab zinda hai
یہ کس کی نرم خوشبو ہے مری شب کی حویلی میں
یہ کیسا رقص مستی اے دل بیتاب زندہ ہے
Ye kis ki narm khushbu hai meri shab ki haveli mein
Ye kaisa raqs e masti ay dil e betab zinda hai
کہاں وہ سانولی شامیں، کہاں وہ ریشمی باتیں
مگر اک لمس حیراں کا ابھی زرناب زندہ ہے
Kahan wo sanwli shaamen, kahan wo reshmi baten
Magar ek lams e hairan ka abhi zarnab zinda hai
ابھی تک پانیوں میں سرمئی سائے اترتے ہیں
ابھی تک دھڑکنوں میں درد کی مضراب زندہ ہے
Abhi tak paniyon mein surmaiy saae uterte hain
Abhi tak dharkanon mein dard ki mizrab zinda hai
صراط عشق ہے اور ہجر کی تنہا مسافت ہے
وہی ہے تشنگی پھر بھی فریب آب زندہ ہے
Sirat e ishq hai aur hijr ki tanha musafat hai
Wohi hai tishnagi phir bhi fareb e aab zinda hai
نوشی گیلانی
Noshi Gilani

Comments
Post a Comment