Tu Apni Khobian Dhoond Khamian Nikalny Ke Liye Log Hain Na
Tu Apni Khobian Dhoond
Khamian Nikalny Ke Liye Log Hain Na
Agar Rakhna Hai Qadam Aagay Rakhna
Peechay Khenchny Ke Liye Log Hain Na
Sapna Dekhna Hai Toh Oncha Dekh
Neecha Dekhany Ke Liye Log Hain Na
Tu Apne Andar Junoon Ki Chingary Barhka
Jalny Ke Liye Log Hain Na
Piyar Karna Hai Toh Khud Se Kar
Nafrat Ke Liye Log Hain Na
Tu Apni Alag Pehchan Bana
BheeR Mein Chalny Ke Liye Log Hai Na
Tu Kuch Kar Ke Dekha Dunya Ko
Taalian Bajane Ke Liye Log Hain Na

Comments
Post a Comment