Barish Thi, Aur Abr Tha, Darya Tha Aur Bas Jagi Tou Mere Samne Sahra Tha Aur Bas



بارش تھی ' اور ابر تھا ' دریا تھا اور بس
جاگی تو میرے سامنے صحرا تھا اور بس
آیا ہی تھا خیال کہ پھر دھوپ ڈھل گئ
بادل تمھاری یاد کا برسا تھا اور بس
ایسا بھی انتظار نہیں تھا کہ مر گئے
ہاں اک دیا دریچے میں رکھا تھا اور بس
تم تھے 'نہ کوئ اور تھا 'آہٹ نہ کوئ چاپ
میں تھی' اداس دھوپ تھی'رستہ تھا اور بس
یوں تو پڑے رہے مرے پیروں میں ماہ و سال
مٹھی میں میری ایک ہی لمحہ تھا اور بس
سیماغزل

Barish Thi, Aur Abr Tha, Darya Tha Aur Bas

Jagi Tou Mere Samne Sahra Tha Aur Bas

Aaya Hi Tha Khayal Keh Phir Dhoop Dhal Gayi

Badal Tumhari Yaad Ka Barsa Tha Aur Bas

Aisa Bhi Intezar Nahi Tha Keh Mar Gaye

Haan Ik Diya Dareechey Mein Rakha Tha Aur Bas

Tum Thay Na Koi Aur Tha Aahat Na Koi Chaap

Main Thi,Udaas Dhoop Thi,Rasta Tha Aur Bas

Yun Tou Pade Rahe Mere Pairon Mein Maah-o-Saal

Mutthi Mein Meri Aik Hi Lamha Tha Aur Bas

Seema Ghazal


1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo