Posts

Teri Batein Hi Sunane Aye

  Poet Ahamad Faraz    Teri Batein Hi Sunane Aye. Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aye. Phol Khelte Hain To Hum Sochte Hain. Tere Atne K Zamane Aye. Aysi Kuch Chop Si Lagi Hai Jaise. Hum Tujhe Haal Sunane Aye. Ishq Tanha Hai Sar-E-Manzil-Gham. Kon Ye Bojh Uthane Aye. Ajnabi Dost Dost Humain Dekh K Hum. Kuch Tujhe Yaad Dailane Aye. Dil Dharrkta Hai Safar K Hangaam. Kash Pher Koi Bulane Aye. Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai. Shayad Ab Hosh Thekane Aye. Kia Kahain Pher Koi Basti Ujrri. Loog Kion Jashan Manane Aye. So Raho Maot K Phelo Mein FARAZ. Neend Kais Waqt Na Jane Aye.....!   Bk: Tanha Tanha Page: 19 Ghazal: 3  

Teri Zad Se Nikalna Chahta Hai

  Poet Amjid Islam Amjid    Teri Zad Se Nikalna Chahta Hai, Ye Daria Rukh Badalna Chahta Hai, Wo Sapna Jis Ki Sorat Hi Nahi Hai, Meri Aankhon Mein Palna Chahta Hai, Dilon Ki Mandgi Pe Kia Ta'ajub...! k Soraj Bhi To Dhalna Chahta Hai, Nashist-E-Dard Badli Hai To Ab Dil, Zara Pehlo Badalna Chahta Hai, Hawa Hai Band Aur Shola-O-Wafa Ka, Bahut Hi Teiz Jalna Chahta Hai, Ye Dil Is Gard Baad-E-Zindagi Mein, Bas Ek Lamha Sambhalna Chahta Hai, Mujhe Bhi Samna Hai Karbala Ka, Mera Sar Bhi Ochalna Chahta Hai, Nahi Hain Tarjaman-E-Gham Ye Aanso, Ye Pani Ab Obalna Chahta Hai, Gusishta Sohbaton Ka Aik Lashkar, Mere Humrah Chalna Chahta Hai, Un Aankhon Ki Ada Kehti Hai AMJID Koi Pathar Pigalna Chahta Hai................! Book Zara Phir Se Kehna   

Chupke Chupke Jal Jate Hain Log Mohabbat Karne Wale

  Poet Amjid Islam Amjid    Chupke Chupke Jal Jate Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Porva Sang Nikal Jate Hai, Log Mohabbat Karne Wale, Aankon Aankhon Chal Parte Hain Taron Ki Qandeel Liye, Chand K Sath Hi Dhal Jate Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Dil Mein Phool Khila Dete Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Aag Mein Raag Jaga Dete Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Pani Baich Batasha Sorat Khud To Ghulte Rehte Hain, Sam Ko Shehd Bana Dete Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Khawab Khushi K Bo Jate Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Zakham Dilon K Dho Jate Hain, Log Mohabbat Karne Wale, Titli Titli Lehrate Hain Phoolon Ki Umeed Liye, Ek Din Khushbo Ho Jate Hain, Log Mohabbat Karne Wale! Ban Jate Hain Naqsh Wafa, Log Mohabbat Karne Wale, Jhonka Hain Bechain Hawa Ka, Log Mohabbat Karne Wale, Jalli Hoi Dharti Pe Jaise Badal Gir Kar Aain, Basti Par Hain Fazal Khuda Ka, Log Mohabbat ...

Rang Khushbo Mein Agar Hal Ho Jaye

  Poetess Parveen Shakir    Rang Khushbo Mein Agar Hal Ho Jaye, Wasl Ka Khawab Mukamal Ho Jaye, Chand Ka Chooma Howa Surkh Gulab, Taitri Dekhe To Pagal Ho Jaye, Main Andheron Ko Ujalon Aise, Tergi Aankh Ka Kajal Ho Jaye, Dosh Par Barshain Le K Main Ghoo, Main Hawa Aur Wo Badal Ho Jaye, Naram Sabze Pe Zara Jhuk K Chale, Shabnami Rat Ka Aanchal Ho Jaye, Umar Bhar Thame Rahe Khushbo Ko, Chirya Paton Mein Simat Kar Soye, Pairr Paton Mein Youn Phaile K Jangal Ho Jaye........!   

Dard Phir Jaga Purana Zakham Phir Taza Howa

  Poetess Parveen Shakir    Dard Phir Jaga Purana Zakham Phir Taza Howa, Fasal-E-Gul Kitne Qareeb Aai Hai Andaza Howa, Subha Youn Nikli Sanwar K Jis Tarha Koi Dulhan, Shabnam Awiza Hoi Rang-E-Shafaq Ghaza Howa, Hath Mere Bhool Bethe Dastakain Dene Ka Fan, Band Mujh Par Jab Us K Ghar Ka Darwaza Howa, Rel Ki Siti Mein Kaise Hijar Ki Tamheed Thi, Us Ko Rukhsat Kar K Ghar Loute To Andaza Howa...........!  

Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye

  Poetess Parveen Shakir    Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye, Hum Jagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye, Us Ne Payam Bheje To Raste Mein Reh Gaye, Hum Ne Jo Khat Likhe Wo Hawa Burd Ho Gaye, Main Shehr-E-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon, Shabnam Badast Log To Kante Chibo Gaye, Aanchal Mein Phool Le K Kahan Ja Rahi Hon Main, Jo Aane Wale Log Thay Wo Log To Gaye, Kia Janiye Ufaq K Udhar Kia Talsam Hai, Loute Nahi Zameen Pe Ek Bar Jo Gaye, Jaise Badan Se Qos-E-Qazah Phootne Lagi, Barish K Hath Phool K Sab Zakham Dho Gaye, Aankhon Mein Dheere Dheere Utar K Purane Gham, Palkon Mein Nanhe Nanhe Satare Paro Gaye, Wo Bachpane K Neend To Ab Khawab Ho Gai, Kia Umar Thi K Rat Hoi Aur So Gaye! Kia Dukh Thay Kon Jan Sake Ga Nigar-E-Shab, Jo Mere Aur Tere Dopatte Bigo Gaye............!  

Dhanak Dhanak Meri Poron K Khawab Kar De Ga

  Poetess Parveen Shakir    Dhanak Dhanak Meri Poron K Khawab Kar De Ga, Wo Lams Mere Badan Ko Gulab Kar De Ga, Qaba-E-Jisam K Har Taar Se Guzarta Howa, Kiran Ka Pyar Mujhe Aftab Kar De Ga, Janoon Pasand Hai Dil Aur Tujh Tak Aane Mein, Badan Ko Naao Laho Ko Chanab Kar De Ga, Main Such Kahon Gi Magar Main Phir Bhi Haar Jaon Gi, Wo Jhoot Bole Ga Aur La Jawab Kar De Ga, Anaa Parst Hai Itna K Bat Se Pehle, Wo Uth K Band Meri Har Kitab Kar De Ga, Sakoot-E-Shehr-E-Sukhan Mein Wo Phool Sa Lehja, Sama'aton Ki Fiza Khawab Khawab Kar De Ga, Isi Tarha Se Agar Chahta Raha Pehim, Sukhan Wari Mein Mujhe Intikab Kar De Ga, Meri Tarha Se Koi Hai Jo Zindagi Apni, Tumhari Yad K Naam Intasab Kar De Ga.............!