Posts

Too Agar is Bar Eid Par Na Aaye

Teri Deed K Sub Hi Phol Murjhaye

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By   *.__Ayaz Khan__.*    Too Agar is Bar Eid Par Na Aaye Teri Deed K Sub Hi Phol Murjhaye Har Eid Ki Subh Ho Tere Jalwe Se, Aur Aise Hi Dhale Shaam K Saye, Tum Hote Ho To Khusiyan Pas Mere. Aaj Eid K Roz Tujhe Dhondne Aaye, Eid K Din Bhi Hum Ne Khushiyan Nahi. Naghmain Hum Ne Teri Deed K Gaye, Itni Wafa K Bad Bhi Hum AYAZ, Us Ki Nazar Mein Bewafa Hi Kehlaye.....! Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Sundar Komal Sapno Ki Barat Guzar Gai Jana

Dhoop Aankhon Tak Aa Pohnchi Hai Rat Guzar Gai Jana

  Poetess Parveen Shakir    Sundar Komal Sapno Ki Barat Guzar Gai Jana Dhoop Aankhon Tak Aa Pohnchi Hai Rat Guzar Gai Jana Bhor Samf Tak Jis Ne Humain Ba Hum Uljhaye Rakha, Wo Albeli Resham Aisi Bat Guzar Gai Jana, Sada Ki Dekhi Rat Humain Is Bar Mili To Chupke Se, Khali Haat Pe Rakh K Kia Soghat Guzar Gai Jana, Kis Ko Niple Ki Aas Mein Ab Tak Waise Hi Sar Sabz Ho Tum, Ab To Dhoop Ka Mosam Hai Barsat Guzar Gai Jana, Log Najane Kin Raton Ki Muradein Manga Karte Hain, Apni Rat To Wo Jo Tere Sat Guzar Gai Jana, Ab To Faqt Sayaad Ki Dildari Ka Bahana Hai Warna, Hum Ko Daam Mein Lane Wali Ghaat Guzar Gai Jana..........! Page 35,36   

Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath 

Us K Lab-O-Rukhsar K Sath

 Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalaam Ho

Kuch Muskarahat 
Kuch Pyar K Sath

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath Us K Lab-O-Rukhsar K Sath Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalaam Ho Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath Main Us Ki Rafaqat Mein Khush Aise, Jise Gul Khush Hote Hain Bahar K Sath, Kis Qadar Lutf Hai Us K Iqrar Mein, Jab Nigah Jhukti Hai Izhaar K Sath, Mayekhane Na Sharab Mein Wo Nasha, AYAZ Us Ki Aankhon Mein Jo Hai Khumar K Sath,.........! Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Qadmo Mein Mere Jhuki Hoi Rat

Taron Ki Tarha Bichi Hoi Rat

  Poetess Parveen Shakir    Qadmo Mein Mere Jhuki Hoi Rat Taron Ki Tarha Bichi Hoi Rat Girti Hai Badan Pe Qatra Qatra, Khushbo Se Kasheeda Ki Hoi Rat, Aankhon Pe Satare Chun Rahi Hai, Aangan Mein Mere Khili Hoi Rat, Maathe Pe Nai Rafaqaton K, Afshaan Ki Tarha Chuni Hoi Rat, Khawabon Ki Sajal Hathelion Par, Mehndi Ki Tarha Rachi Hoi Rat, Aahat Pe Kisi Ki Kamsai, Dulhan Ki Tarha Saji Hoi Rat, Taa Umar Na Tootne De Nasha, Saqi Se Mere Mili Hoi Rat, Chooti Hoi Aik Aik Tara, Akash Pe Tairti Hoi Rat, Hal Hone Lagi Laho Mein Mere, Sanso Mein Tere Ghuli Hoi Rat, Shabnam Se Gulab Poochte Hain, Ab Tak Thi Kahan Chupi Hoi Rat, Ek Pal Ko Jhapak Saki Na Palkein, Aankhon Mein Rahi Ruki Hoi Rat, Kia Chain Ki Neend So Rahi Hai, Ek Umar Se Jagti Hoi Rat, Hai Choor Thakan Se Lekin Ab Tak, Shadaab Hai Tootti Hoi Rat, Ek Lamha Sukhan Pe Aisa Aaya, Chup Ho Gai Bolti Hoi Rat........

Badi Anokhi EID Ki Kharidari Hy Shehr_e_Palestine Main

بڑی انوکھی عید کی خریداری ہے شہر فلسطین میں. لوگ رو رو کر کفن خرید رہے ہیں اپنے پیارو کے لیے ...    

Too Ne Jo Bakhshe Humain Asbab-E-Gham Ache Lage

Tere Be Ja Zulm Bhi Teri Qasam Ache Lage

Poet Naseer-o-Deen Naseer  Too Ne Jo Bakhshe Humain Asbab-E-Gham Ache Lage Tere Be Ja Zulm Bhi Teri Qasam Ache Lage Gham Ki Dunia Se Hoi Manoos Youn Taba-E-Hazeen, Ek Esi K Dam Se Thay Ehl-E-Janoon Mein Be Waqar, Aqal Kho Kar Koocha-E-Jana Mein Hum Ache Lage, Pas Jab Aaye To Hum Par Khul Gia Daam-E-Fareib, Door Se Kia Kia Teri Zulfon K Kham Ache Lage, Hum Bura Kehte Rahe Jab Tak Shanasai Na Thi, Maye Kade Mein Aaye To Sheik-E-Haram Ache Lage, Rog Dil K Dhul Gaye Qismat K Uqde Khul Gaye, Aap Ki Nisbat Hoi Hasil To Hum Ache Lage, Dil Unhain De Kar Mohabbat Ka Bharam Rakhna Para, Be Rukhi Achi Lagi Zulam-O-Sitam Ache Lage, Ehl-E-Aalam Se Hi Kia Be At'nai Ka Gila, Mere Afsane NASEEr Un Ko Bhi Kam Ache Lage...............! 

Us Ne Silwa Bhi Lia Ho Ga Siyah Rang Ka Libas

Ab Moharam Ki Tarha Eid Manati Ho Gi

  Poet Wasi Shah    Sochta Hon Usay Neend Bhi Aati Ho Gi, Ya Meri Tarha Sirf Ashk Bahati Ho Gi, Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulane Wali, Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Ho Gi, Sham Hote Hi Chokhat Pe Jala Kar Shammain, Apni Palkon Pe Kai Khawab Sulati Ho Gi, Us Ne Silwa Bhi Lia Ho Ga Siyah Rang Ka Libas Ab Moharam Ki Tarha Eid Manati Ho Gi.