Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon
Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon Kaash Main Bhi Kubhi So Ker Dekhoon Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Hun Tere Paon, Teri ThoKer Dekhoon Ashk Hain , Vehm Ki Shabnam , K Lahoo Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoon Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoon Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoon Mere Hony Se Na Hona Behtar Tu Jo Chahay , Tera Ho Ker dekhoon Rooh ki Gardd Se Pehlay MOHSIN Daagh-e-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoon..!!