Posts

Showing posts from December, 2023

Suno DECEMBER ke aakhri Ashre mein Hum baith kar tanha Kisi Veeran Ghoshe mein Hawa ko dukh sunayen ge Tumhen hum bhol jayen ge

Image
Suno  DECEMBER ke aakhri Ashre mein Hum baith kar tanha Kisi Veeran Ghoshe mein Hawa ko dukh sunayen ge Tumhen hum bhol jayen ge

Ik Hor DECEMBER Lang Gaya

Image
ساڈے ماس دا بالن بال کے ساڈا ہسدا جٙوبن گال کے Sade Maas Da Balan Baal Ke Sada Hasda Joban Gaal Ke   سانوں اٙگّاں وِچ اُچھال کے کوئی سولی اُتے ٹٙنگ گیا Sano Agaan Wich Uchaal Ke Koi Sooli Ute Tang Ke   اک ہور دسمبر لنگ گیا Ik Hor DECEMBER Lang Gaya   سانوں سفنیاں اندر رول کے سانوں یار ملن دا بول کے Sano Safnian Andar Rol Ke Sano Yaar Milan Da Bol Ke   ساڈا سینا اندروں پھول کے کوئی بدل تھل دا کھنگ گیا Sada Seena Andron Phol Ke Koi Badal Thal Da Khang Gaya   اک ہور دسمبر لنگ گیا Ik Hor DECEMBER Lang Gaya   سانُوں اٙندرٙوں اٙندرِی توڑ کے سانوں کٙکّھاں وانگ مٙرٙوڑ کے Sano Andron Andari Tod Ke Sano Kaghan Wang Marod Ke   سانوں قبراں دے وِچ رٙوڑھ کے کوئی ساہواں ساتھوں مٙنگ گیا Sano Qabraan De Wich Rodh Ke Koi Sahwaan Saaton Mang Gaya   اک ہور دسمبر لٙنگ گیا Ik Hor DECEMBER Lang Gaya

Tu Naya Hai Tou Dekha Subah Nai , Shaam Nai Warna In Aankhon Ne Daikhay Hein Naye Saal Kayi

Image
Tu Naya Hai Tou Dekha Subah Nai , Shaam Nai Warna In Aankhon Ne Daikhay Hein Naye Saal Kayi

Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Paas Aaye Khuda Kare Keh Naya Saal Sab Ko Raas Aaye

Image
Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Paas Aaye Khuda Kare Keh Naya Saal Sab Ko Raas Aaye

Phir Aa Gaya Aik Naya Saal DOSTO Is Baar Bhi Kisi Se DECEMBER Nahi Ruka

Image
Phir Aa Gaya Aik Naya Saal DOSTO Is Baar Bhi Kisi Se DECEMBER Nahi Ruka

Aakhiri Shaam Hai DECEMBER Ki Kal Naya Saal Hai Mubarak Ho

Image

Alwida Ae Doobty Soraj Ki Afsurdah Kiran Ae DECEMBER Ki Thetharti Aakhiri Shaam Alwida

Image
Alwida Ae Doobty Soraj Ki Afsurdah Kiran Ae DECEMBER Ki Thetharti Aakhiri Shaam Alwida  

Aaj phir maa mujhey maaregi Bahut roney par Aaj phir gaaon mein aaya hai khilone waala

Image
آج پھر ماں مجھے مادے گی بہت دونے پر آج پھر گاوں میں آیا ہے کھلونے والا आज फिर माँ मुझे मारेगी बहुत रोने पर आज फिर गाँव में आया है खिलौने वाला Aaj phir maa mujhey maaregi Bahut roney par Aaj phir gaaon mein aaya hai khilone waala

Sapaire Weeranon Mein Ghom Rahe Hein Been Liye Aabadi Mein Rehne Wale Sanp Bade Zehreely Thay

Image
 سپیرے ویرانوں میں گھوم رہے ہیں بین لیے آبادی میں رہنے والے سانپ بڑے زہریلے تھے شوق برہنہ پا چلتا تھا اور رستے پتھریلے تھے گھستے گھستے گھس گئے آخر کنکر جو نوکیلے تھے خار چمن تھے شبنم شبنم پھول بھی سارے گیلے تھے شاخ سے ٹوٹ کے گرنے والے پتے پھر بھی پیلے تھے سرد ہواؤں سے تو تھے ساحل کے ریت کے یارانے لو کے تھپیڑے سہنے والے صحراؤں کے ٹیلے تھے تابندہ تاروں کا تحفہ صبح کی خدمت میں پہنچا رات نے چاند کی نذر کیے جو تارے کم چمکیلے تھے سارے سپیرے ویرانوں میں گھوم رہے ہیں بین لیے آبادی میں رہنے والے سانپ بڑے زہریلے تھے تم یوں ہی ناراض ہوئے ہو ورنہ مے خانے کا پتا ہم نے ہر اس شخص سے پوچھا جس کے نین نشیلے تھے کون غلام محمد قاصرؔ بے چارے سے کرتا بات یہ چالاکوں کی بستی تھی اور حضرت شرمیلے تھے  

Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti

Image
میں اپنی دوستی کو شہر میں رسواء نہیں کرتی محبت میں بھی کرتی ہوں مگر چرچا نہیں کرتی Main Apni Dosti Ko Shehar Mein Ruswa Nahi Karti Muhabbat Main Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti جو مجھ سے ملنے آ جائے میں اس کی دِل سے خادم ہوں جو اٹھ کے جانا چاھے میں اسے روکا نہیں کرتی Jo Mujh Se Milny Aa Jaye Main Uski Dil Se Khadim Hon Jo Uth Ke Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti جسے میں چھوڑ دیتی ہوں اسے پِھر بھول جاتی بوں پِھر اس ہستی کی جانب میں کبھی دیکھا نبیں کرتی Jise Main Chodh Daiti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon Phir Us Basti Ki Janib Main Kabhi Daikha Nahi Karti   تیرا اصرار سر آنكھوں پہ کے تم کو بھول جاؤں میں میں کوشش کر کے دیکھوں گی مگر وعدہ نہیں کرتی Tera Israr Sar Aankhon Peh Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main Main Koshish Kar Ke Daikhongi Wa'adah Nahi Karti پروین شاکر Parveen Shakir  

KOI HANSA TOU KOI RULA KE GAYA YUN ZARF HAR KOI APNA DEKHA KE GAYA

Image
کو ئی ہنسا کے تو کو ئی رلا کے گیا یوں ظرف ہر کو ئی اپنا دکھا کے گیا KOI HANSA TOU KOI RULA KE GAYA YUN ZARF HAR KOI APNA DEKHA KE GAYA  

Ghalat-Fehmi Ki Barfeeli Hawaein Jab Chalti Hein Muhabbat Ke Dareechon Mein DECEMBER Thehar Jata Hai

Image
غلط فہمی کی برفیلی ہوائیں جب چلتی ہیں محبت کے دریچوں میں دسمبر ٹھہر جاتا ہے Ghalat-Fehmi Ki Barfeeli Hawaein Jab Chalti Hein Muhabbat Ke Dareechon Mein DECEMBER Thehar Jata Hai  

Hazar Rahein Mod Ke Daikhein Kahein Se Koi Sada Na Aai

Image
ہزار راہیں مڑ کے دیکِھیں کہیں سے کوئی صدا نہ آئی بڑی وفا سے نبھائی تم نے ہماری تھوڑی سی بے وفائی جہاں سے تم موڑ مڑ گئے تھے یہ موڑ اب بھی وہیں پڑے ہیں ہم اپنے پیروں میں جانے کتنے بھنور لپیٹے ہوئے کھڑے ہیں کہیں کسی روز یوں بھی ہوتا ہماری حالت تمہاری ہوتی جو رات ہم نے گزاری مر کے وہ رات تم نے گزاری ہوتی تمہیں یہ ضد تھی کہ ہم بلاتے ہمیں امید کہ وہ پکاریں ہے نام ہونٹوں پہ اب بھی لیکن آواز میں پڑ گئیں دراڑیں

Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko

Image
عرصہ خواب میں کھونے نہیں دیتا مجھ کو کوئی دھڑّکا ہے کہ سونے نہیں دیتا مجھ کو Arsa Khuwaab Mein Khone Nahi Daita Mujh Ko Koi Dhadka Hai Keh Sone Nahi Daita Mujh Ko ڈال دیتا ہے وہ ہر روز نئی الجھن میں خود سے غافل کبھی ہونے نہیں دیتا مجھ کو Dal Daita Hai Woh Har Roz Nayi Uljhan Mein Khud Se Ghafil Kabhi Hone Nahi Daita Mujh Ko دکھ تو ایسا ہے کہ دل آنکھ سے کٹ کٹ کے بہے ایک وعدہ ہے کہ رونے نہیں دیتا مجھ کو Dukh Tou Aisa Hai Keh Dil Aankh Se Kat Kat Ke Bahe Aik Wa'ada Hai Keh Rone Nahi Daita Mujh Ko راستہ اس کو بھی معلوم نہیں ہے شاید پھر بھی جنگل میں وہ کھونے نہیں دیتا مجھ کو Rastaq Usko Bhi Ma'aloom Nahi Hai Shayed Phir Bhi Jangal Mein Woh Khone Nahi Daita Mujh Ko دل کی مانند شکستہ بھی ہے بے منزل بھی ناؤ لیکن وہ ڈبونے  نہیں دیتا مجھ کو Dil Ki Manind Shikasta Bhi Hai Be-Manzil Bhi Nav Lekin Woh Dabone Nahi Daita Mujh Ko بڑھ گیا دل مرا ایذا طلبی میں تجھ سے زخم بھی اب تو یہ دھونے نہیں دیتا مجھ کو Badh Gaya Dil Mera Eza Talbi Mein Tujh Se Zakham Bhi Ab Tou Yeh Dhone Nahi Daita Mujh Ko

Main aik borhi kanwari se mil kar aaya hon Woh keh rahi thi muhabbat intzaar chahti hai

Image
مَیں ایک بوڑھی کنواری سے مِل کر آیا ہُوں وُہ کہہ رہی تھی، محبت انتظار چاہتی ہے Main aik borhi kanwari se mil kar aaya hon Woh keh rahi thi muhabbat intzaar chahti hai

Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain

Image
Kahani hi kuch aesi hai sabhi kirdaar rotay hain Keh ghar ke saath hi ghar ke darr o dewaar rotay hain December ki haseen shaamein zameen par jab utarti hai Mere chote se kamre mein tare iqraar rotay hain Tere kehne peh haans bhi doon to mere yaar Kya hoga Meri nazmein meri ghazlein mere ashaar rotay hain Bas us ke aik jumlay ne nahin ronay diya mujh ko Baday sahib bataye na bhala koi sardar rotay hain Koi ja kar khaber de de mere achay masiha ko Tere hi naam le le kar tere bemaar rotay hain Darr o dewaar par shayad koi wehsat ke saaye hain Makii’n chup hone lagte hain to pehredaar rotay hain Yeh haath ka funn hai keh iss mithii ki kismet hai Main jab haans ker banata hoon mere shehkaar rotay hain

Ik dard musalsal mujhe sonay nahin deta Sabr ka aadi hai mujhe ronay nahin deta

Image
  Ik dard musalsal mujhe sonay nahin deta Sabr ka aadi hai mujhe ronay nahin deta Main iss ki kya hoon yeh raaz to woh jaan gaya Par woh kis ka hai yeh sawaal mujhe sonay nahin deta

Shifa-e-mehboob ho'n to rooh ko sukoon mile Iss marz-e-muhabbat ka koi aur ilaaz nhin

Image
Shifa-e-mehboob ho'n to rooh ko sukoon mile Iss marz-e-muhabbat ka koi aur ilaaz nhin

Banaya hai jinhen maine mohabbat ke gulabo'n se Tar-o-taza wo gul-daste tumhaare naam karti hoon

Image
Banaya hai jinhen maine mohabbat ke gulabo'n se Tar-o-taza  wo  gul-daste  tumhaare  naam karti hoon

Akhri chand din DECEMBER kay Har baras hi giraan guzartay hain

Image
Akhri chand din DECEMBER kay Har baras hi giraan guzartay hain Khawahisho kay nigaar khanay se Kaise kaise gumaan guzartey hain Ruftgaan kay bikhray saayon ki Aik mehfil si dil main sajti hai Kitnay number pukartay hain mujhay Jin se marboot bay nava ghanti Ab fakat mere dil main bajti hai Kis qadar pyaaray pyaaray naamon per Raingti badnumaan si lakeerein Meri aankhon main phail jaati hain Dooriyaan dairay banati hain Dihaan ki serrhiyon per kia kia aks Mashalein dard ki jalatay hain Naam jo kat gaaye hain unkay hurf Aisay kaghaz per phail jaatay hain Hadsay kay muqaam per jaisay Khoon sukhtay nishano per Chawk se linay lagatay hain Phir December kay akhiri din main Har baras ki tarhaan ab kay bhi Diary aik sawaal karti hai Kya khabar uskay aagay tak Meray un bay chiraagh safon se Kitnay hi naam kat gaye hongay Kitnay number bikhar kar raston per Gard-e-maazi se aat gaye hongay Khak kay adhairon kay daman main Kitnay toofaan simat gaaye hongay Har December main sochta hun Aik din is t

Ke aankh likho to numm likhna Wajah likho to gham likhna

Image
Ke aankh likho to numm likhna Wajah likho to gham likhna Waqt likho to sabr likhna Gadhi likho to dard likhna Khuda likho to be-aib likhna Aur insaan likho to be-faiz likhna  

DECEMBER jany wala hai Chalo aik kam karty hain

Image
دسمبر جانے والا ہے چلو ایک کام کرتے ہیں پرانے باب بند کر کے سب نظر انداز کرتے ہیں نئے سپنے سبھی بُن کر اُلفت کے راستے چن کر وفا داری پہ جینے کی راہیں ہموار کرتے ہیں بُھلا کر رنجشیں ساری مِٹا کر نفرتیں دِل سے معافی دے دلا کر اب دِل اپنے صاف کرتے ہیں جہاں پر ہوں سبھی مُخلص نہ ہو دِل کا کوئی مُفلس اِک ایسی بستی اپنوں کی کہیں آباد کرتے ہیں جو غم دیتے نہ ہوں گہرے ہوں سانجھی سب وہاں ٹھہرے سب ایسے ہی مكینوں سے مکاں کی بات کرتے ہیں نہ دیکھا ہو زمانے میں پڑھا نہ ہو فسانے میں اب ایسے جنوری کا ہم سبھی آغاز کرتے ہیں DECEMBER jany wala hai Chalo aik kam karty hain Puranay bab band kar kay Sab nazar andaz karty hain Naye spnay sabhe ban kar Ulfat kay rasty chun kar Wafadari pay jeenay ki Rahien humwaar karty hain Bhula kar ranjishien sarii Mita kar nafratien dil say Mafi day dila kar ab Dil apnay saff karty hain Jahan hoon sabhee mukhlis Na ho dil ka koi muflis Aik aysee basti apno ki Kahien abad karty hain Jo gham daity na hoon gehry Hoon sanjhee sab wahan tehrey Sab aisoo hi makeernoo say Makan

Aksar Laka Du Ghno Du Mousam Vi DECEMBARA Kho Sakhkaly Kho Kha We Ao Lag Sam We DECEMBARA

Image
اکثر لکه د غنو د موسم وې دسمبره خو سخکالې خو ښه وې او لږ سم وې دسمبره Aksar Laka Du Ghno Du Mousam Vi DECEMBARA Kho Sakhkaly Kho Kha We Ao Lag Sam We DECEMBARA   زمونږه خو سبب د ميرات مړې تنهايئ وې اوف يخ وې خو د واؤرو جهنم وې دسمبره Zamunga Kho Sabab Du Meerat Madi Tanhaai Vi Uff Yakh Vi Kho Du Wawro Jahannam Vi DECEMBARA   ما هم د پېښور په ياد کښې شپه ورځې ژړلي خو ته راسره هسې په ماتم وې دسمبره Ma Hum Du Paikhawar Pa Yaad Ke Shapa Wraze Jadali Kho Tu Rasara Hase Pu Matam We DECEMBARA   زه هاغسې لا پروت وومه جدا له ټنګ ټکوره په خپله خو روان وې اويشتم وې دسمبره Zu Haghase La Prot Woma Juda La Tang Takora Pu Khpala Kho Rawan Vi Aweeshtam Vi DECEMBARA   زمونږه خو په اور د تناره د بټئ ژوند د؎ د خوند وې دسمبره! خو ډېر کم وې دسمبره Zamunga Kho Pu Aoor Du Tanaru Du Batai Jwand Dy Da Khuwand Vi DECEMBARA ! Kho Der Kam Vi DECEMBARA   د نوي کال په کومو شرمخانو به مې سپارې ؟ يو څو ورځې به نور راسره تهم وې دسمبره Du Navi Kaal Pah Komo Sharmakhano Ba Mi Spari? Yaw So Wrazay Ba Nor Rasara Tu Hum We

Baday sakoon se rukhsat to kar diya uss ko Phir iss ke baad mohabbat ne intehaa ker di

Image
Baday sakoon se rukhsat to kar diya uss ko Phir iss ke baad mohabbat ne intehaa ker di  

Saath Kab Tak Koi Chala Mat Pooch Kis Ne Ki Kis Qadar Wafa Mat Pooch

Image
ساتھ کب تک کوئی چلا مت پوچھ کس نے کی کس قدر وفا مت پوچھ Saath Kab Tak Koi Chala Mat Pooch Kis Ne Ki Kis Qadar Wafa Mat Pooch   مختصر یہ کہ ہو گئے آزاد کون کس سے ہوا رِہا مت پوچھ Mukhtasar Yeh Keh Ho Gaye Aazad Kon Kis Se Hoa Reha Mat Pooch   تھی قیامت مگر گزر ہی گئی تذکرہ اس کا بارہا مت پوچھ Thi Qayamat Magar Guzar Hi Gai Tazkira Uska Barha Mat Pooch   پوچھ مجھ سے جو میرے دل میں ہے لوگ کہتے ہیں کس سے کیا، مت پوچھ Pooch Mujh Se Jo Mere Dil Mein Hai Log Kehte Hein Kis Se Kia Mat Pooch   تب مجھے بھی نہیں تھی اپنی خبر جو ہوا اس کو بھول جا مت پوچھ Tab Mujhe Bhi Nahi Thi Apni Khabar Jo Hoa Usko Bhool Ja Mat Pooch   صبر کا میرے امتحاں مت لے کیا تھی وہ آہِ نارسا مت پوچھ Sabar Ka Mera Imtehan Mat Le Kia Thi Woh Aah Na-Rasa Mat Pooch   ٹوٹ جائے گا ضبط کا بندھن ظلم مجھ پر ہیں جو روا، مت پوچھ Toot Jayega Zabt Ka Bandhan Zulam Mujh Par Hein Jo Rawa , Mat Pooch   اپنی وقعت بھی جانتی ہوں مگر خود فریبی کی انتہا مت پوچھ Apni Wuqa'at Bhi Janti Hon Magar Khud Faraibi Ki Inteha Mat Pooch   کہہ دیا جب

Haaye Kia Os See Padhi Hai Mere Khayalaat Par Teri Jazib Nazar Ki Jado-Gari Hai Inteha Par

Image
ہائےکیااوس سی پڑی ہے میرے خیالات پر تیری جاذب نظر کی جادوگری ہے انتہا پر Haaye Kia Os See Padhi Hai Mere Khayalaat Par Teri Jazib Nazar Ki Jado-Gari Hai Inteha Par   اویس خواجہ Owais Khuwaja

Dil Ne Hamare Baithy Baithay Kaise Kaise Rog Lagaye Tum Ne Kisi Ka Nam Lia Aur Aankhon Mein Apni Aansoo Aaye

Image
دل نے ہمارے بیٹھے بیٹھے کیسے کیسے روگ لگائے تم نے کسی کا نام لیا اور آنکھوں میں اپنی آنسو آئے   Dil Ne Hamare Baithy Baithay Kaise Kaise Rog Lagaye Tum Ne Kisi Ka Nam Lia Aur Aankhon Mein Apni Aansoo Aaye   جتنی زبانیں، اتنے قصے، اپنی اداسی کے کارن کے لیکن لوگ ابھی تک یہ سادہ سی پہیلی بوجھ نہ پائے Jitni Zubanein Utne Qissay , Apni Udasi Ke Karan Ke Lekin Log Abhi Tak Yeh Sadah See Pahaili Bojh Na Paaye عشق کیا ہے؟ کس سے کیا ہے؟ کب سے کیا ہے؟ کیسے کیا ہے؟ لوگوں کو اک بات ملی، اپنے کو تو لیکن رونا آئے Ishq Kia Hai ? Kis Se Kia Hai ? Kab Se Kia Hai ? Kaise Kia Hai ? Logon Ko Ik Baat Mili , Apne Ko Tou Lekin Rona Aaye راہ میں یُونہی چلتے چلتے ان کا دامن تھام لیا تھا ہم ان سے کچھ مانگیں چاہے، ہم سے تو یہ سوچا نہ جائے   Raah Mein Yunhi Chalty Chalty Unka Daman Thaam Lia Tha Hum Unse Kuch Mangein Chahe , Hum Se Tou Yeh Socha Na Jaye نجم سحر کے چہرے سے انشاء اتنی بھی امیدیں نہ لگاٶ ایسا بھی ہم نے دیکھا ہے اکثر رات کٹے اور صبح نہ آئے   Najam Sahar Ke Chehre Se INSHA Itni Umeedein Na Lagao Ais

Bhool Jane Ka Hunar Mujh Ko Sekhate Jao Ja Rahe Ho Tou Sabhi Naqsh Mitate Jao

Image
بھول جانے کا ہنر مجھ کو سکھاتے جاؤ جا رہـے ہو تو سبھی نقش مٹاتے جاؤ Bhool Jane Ka Hunar Mujh Ko Sekhate Jao Ja Rahe Ho Tou Sabhi Naqsh Mitate Jao   چلو رسماً ہی سہی مڑ کر مجھے دیکھ تو لو توڑتے توڑتے تعلق کو نبھاتے جاؤ Chalo Rasman Hi Sahi Mod Kar Mujhe Daikh Tou Lo Todte Todte Ta'aluq Ko Nebhate Jao   کبھی کبھی یہ مجھے ستائے کبھی کبھی یہ رُلائے Kabhi Kabhi Yeh Mujhe Sataye Kabhi Kabhi Yeh Rulaaye   فقط میرے دل سے اترجائیـے گا بچھڑنا مبارک بچھڑ جائیـے گا Faqat Mere Dil Se Utar Jayeye Ga Bichadna Mubarak Bichad Jayeye Ga   میں سمجھا تھا تم ہو، تو کیا اور مانگوں؟ میری زندگی میں میری آس تم ہو Main Samjha Tha Tum Ho , Tou Kia Aur Mangon? Meri Zindagi Mein Meri Aas Tum Ho   یہ دنیا نہیں ہـے میرے پاس تو کیا؟ میرا یہ بھرم تھا میرے پاس تم ہو Yeh Dunya Nahi Hai Mere Pas Tou Kia? Mera Yeh Bharam Tha Mere Pas Tum Ho   مگر تم سے سیکھا، محبت بھی ہو تو دغا کیجئیـے گا مُکر جائیـے گا Magar Tum Se Seekha , Muhabbat Bhi Ho Tu Dagha Kijiyega Mukar Jayeyega   تیرا ہاتھ کل تک میرے ہاتھ میں تھا تیرا دل د

Ik Ajnabi Ke Haath Mein De Kar Hamara Haath Lo Saath Chorne Laga Aakhir Yeh Saal Bhi

Image
اک اجنبی کے ہاتھ میں دے کر ہمارا ہاتھ لو ساتھ چھوڑنے لگا آخر یہ سال بھی Ik Ajnabi Ke Haath Mein De Kar Hamara Haath Lo Saath Chorne Laga Aakhir Yeh Saal Bhi حفیظ میرٹھی Hafeez Meerithy

ZINDAGI NE SATA KE , HAD KAR DI MAIN NE BHI MUSKURA KE , HAD KAR DI

Image
ZINDAGI NE SATA KE , HAD KAR DI MAIN NE BHI MUSKURA KE , HAD KAR DI MAIN NE US SE KAHA CHALY JAO AUR US NE BHI JA KE , HAD KAR DI

KHUDA JISKI HIFAZAT KI HAYA JAB THAAN LAITA HAI TOU PHIR MAKDI KE JALON KI WOH CHADAR TAAN DAITA HAI

Image
KHUDA JISKI HIFAZAT KI HAYA JAB THAAN LAITA HAI TOU PHIR MAKDI KE JALON KI WOH CHADAR TAAN DAITA HAI AGAR ZINDAGI LEKH DE SAMANDAR RAAH DE DAIGA AGAR WOH MOUT LEKH DE TOU MACHAR JAAN LAITA HAI

Kabhi Hoti Hai Apnon Se Kabhi Hoti Hai Sapnon Se

Image
کَبھی ہوتی ہے اَپنوں سے کَبھی ہوتی ہے سَپنوں سے Kabhi Hoti Hai Apnon Se Kabhi Hoti Hai Sapnon Se   کَبھی اَنجان راہوں سے کَبھی گُمنام نَاموں سے Kabhi Anjan Raahon Se Kabhi Gum-Nam Namon Se   کَبھی ہَوتی ہے پھُولوں سے کَبھی بچپن کے جھولوں سے Kabhi Hoti Hai Phoolon Se Kabhi Bachpan Ke Jholon Se   کَبھی بے اِختیاری میں کَبھی پکے اُصولوں سے Kabhi Be-Ikhtiyari Mein Kabhi Pakkay Usoolon Se   مُحبت اِک صَداقت ہے مُحبت اِک عِبادت ہے Muhabbat Ik Sadaqat Hai Muhabbat Ik Ibadat Hai   دُکھوں میں رول دیتی ہے دَرد اَنمول دیتی ہے Dukhon Mein Rol Daiti Hai Dard Anmol Daiti Hai   زہر بھی گھول دیتی ہے مُحبت چیز ایسی ہے Zehar Bhi Ghol Daiti Hai Muhabbat Cheez Aisi Hai   شاعرہ:پروین شاکر Poetess: Parveen Shakir

DECEMBER Thehar Jao Na Abhi Lamhe Nahi Bikhre

Image
دسمبر ٹھہر جاؤ نا ابھی لمحے نہیں بکھرے DECEMBER Thehar Jao Na Abhi Lamhe Nahi Bikhre   ابھی موسم نہیں بچھڑے میرے کمرے کی ٹھنڈک میں Abhi Mousam Nahi Bichday Mere Kamre Ki Thandak Mein   ابھی کچھ دھوپ باقی ہے میرے آنگن کے سب پودے Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai Mere Aangan Ke Sab Poday   ابھی بھی گنگاتے ہیں میرے بےجان ہونٹوں پر Abhi Bhi Gungunate Hein Mere Be-Jan Honton Par   ابھی مسکان ویسی ہے کسی کے لوٹ آنے کا Abhi Muskan Waisi Hai Kisi Ke Laot Aane Ka   ابھی امکان باقی ہے دسمبر اک بات بولوں میں Abhi Imkan Baqi Hai DECEMBER Ik Baat Bolon Main   اگر تم مان جاؤ تو دسمبر ٹھہر جاؤ نا دسمبر ٹھہر جاؤ نا Agar Tum Maan Jao Tou DECEMBER Thehar Jao Na DECEMBER Thehar Jao Na

Naye Saal Mein Muhabbat Nahi Kareingy Hum Kisi Ki Yaad Mein Yeh Aakhiri DECEMBER Hai

Image
نئے سال میں محبت نہیں کرینگے ہم کسی کی یاد میں یہ آخری دسمبر ہے Naye Saal Mein Muhabbat Nahi Kareingy Hum Kisi Ki Yaad Mein Yeh Aakhiri DECEMBER Hai

Drd ho dil main to dawa kijeae Dil hi jb drd ho to ki kijeae

Image
درد ہو دل میں تو دوا کیجے دل ہی جب درد ہو تو کیا کیجے ہم کو فریاد کرنی آتی ہے آپ سنتے نہیں تو کیا کیجے ان بتوں کو خدا سے کیا مطلب توبہ توبہ خدا خدا کیجے رنج اٹھانے سے بھی خوشی ہو گی پہلے دل درد آشنا کیجے عرضِ شوخی نشاطِ عالم ہے حسن کو اور خود نما کیجے دشمنی ہو چکی بہ قدرِ وفا اب حقِ دوستی ادا کیجے موت آتی نہیں کہیں غالبؔ کب تک افسوس زیست کا کیجے مرزا غالب Drd ho dil main to dawa kijeae Dil hi jb drd ho to ki kijeae Hmko farayad krni aati hae Ap suntay nahen to kia kijeae In buton ko khuda se kia matlab Tauba tauba,khuda khuda kijeae Rnj uthanay se bhi khushi ho gi Pehlay dil,drd aashna kijeae Arz e shokhi nishat e aalam hae Husn ko aur khudnuma kijeae Dushmani ho chuki bae qadr e wafa Ab haq e dosti,ada kijeae Maut aati nahen kaheen Ghalib Kb tk afsos zeest ka kijeae Mirza Ghalib

Now what are you searching for in the ashes of burnt paper That story itself burned whose fan you were

Image
Now what are you searching for in the ashes of burnt paper That story itself burned whose fan you were What do you search now in the ashes of burnt paper That story of which you were burned Parveen Shakir Parveen Shakir

Without "Ghalib"-e-Khasta, which work is closed? Why should I cry a lot, why should I say a lot?

Image
Without "Ghalib" -e-Khasta, which work is closed? Why should I cry a lot, why should I say a lot? Which works are closed without Ghalib e Khasta Why do you cry, say hi hi Ghalib

Mujhe darr lagta hai logon se In ke kareeb aane se

Image
Mujhe darr lagta hai logon se In ke kareeb aane se Achanak chhor jaane se Bahut sakht lehjon se Aur narm mijaazon se Jaan ban jaane se Anjaan ho jaane se Bahut khaas hone se Behadh aam ho jaane se Ehsaan kerne se Ehsaan jataane se Pehle haansne se Phir khud hi rulane se Aik din chhor jaane se Kabhi na laut aane se Mujhe darr lagta ab logon se

Un ke ik taghafal se tootte hain Dil kitne Un ki ik tawajuh se kitne Zakhm bherte hain

Image
ان کے اک تغافل سے ٹوٹتے ہیں دل کتنے ان کی اک توجہ سے کتنے زخم بھرتے ہیں Un ke ik taghafal se tootte hain Dil kitne Un ki ik tawajuh se kitne Zakhm bherte hain

It's compulsory that we have made a pretense of this jog. Just compulsory this is the reality, rest everything else is illusion.

Image
It's compulsory that we have made a pretense of this jog. Just compulsory this is the reality, rest everything else is illusion. Do this duty of Bijog We have pretended. Do your duty, this is the reality. Everything else should be illusion. Ibn e Insha Ibn e Insha

Ye bhi ik rang hai shayad meri mahrumi ka koi hans de to mohabbat ka guman hota hai

Image
Ye bhi ik rang hai shayad meri mahrumi ka koi hans de to mohabbat ka guman hota hai

Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle

Image
REMEMBERING MIRZA GHALIB ON HIS BIRTH ANNIVERSARY (some favorite couplets) Nikalna khuld* se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle magar likhvae koi us ko khat to ham se likhvae hui subah aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle (* paradise) -------- Koi mere dil se puchhe tere teer-e-nim-kash* ko ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota Kahun kis se mai ki kya hai shab-e-gham buri bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota *(an arrow that would be only partly through its target) ------- Mat puchh ki kya haal hai mera tere pichhe tu dekh ki kya rang hai tera mere aage ------- Dard minnat-kash-e-dava* na hua main na achchha hua bura na hua kitne shireen** hain tere lab ki raqeeb galiyan kha ke be-maza na hua hai khabar garm un ke aane ki aaj hi ghar mein boriya*** na hua (* pain wasn't obliged to respond to medicine ** sweet/pleasant *** rug)

Lazim nahi har lamha Hawason Par Khumar-e-yaar ho

Image
Lazim nahi har lamha Hawason Par Khumar-e-yaar ho Suna hai muskurana un ka Jo nigahon ne padh liya Alfaaz kam the lekin Zuban-e-khamoshi ka Mousam kamal tha Jyoti Johal Bains

Mitny Lagy Hein Zehan Se Tere Khaal o Khad o Naqosh Aur Ab Tera Nam Bhi Kuch Suna Suna Sa Lagta Hai

Image
Mitny Lagy Hein Zehan Se Tere Khaal o Khad o Naqosh Aur Ab Tera Nam Bhi Kuch Suna Suna Sa Lagta Hai Mazhar Jalali

Koi umeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati

Image
Koi umeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati Hum wahan hain jahan se humko bhi Kuchh humari khabar nahin aati Ghalib कोई उम्मीद बर नहीं आती कोई सूरत नज़र नहीं आती हम वहाँ है जहाँ से हमको भी कुछ हमारी ख़बर नहीं आती। ग़ालिब

Main Jiski Aarzoo Mein Khuda Tak Pahonch Gayi Woh Shakhs Mere Liye Banaya Hi Nahi Gaya

Image
Main Jiski Aarzoo Mein Khuda Tak Pahonch Gayi Woh Shakhs Mere Liye Banaya Hi Nahi Gaya

Aksar wohi chah laite hain hum Jinhein kabhi bhi paa nahi sakte hum

Image
Aksar wohi chah laite hain hum Jinhein kabhi bhi paa nahi sakte hum

Pichlay saal ke aakhir mein bhii Hairat mein ham teenon thay

Image
Pichlay saal ke aakhir mein bhii Hairat mein ham teenon thay Ek main tha Ek tanhai thii Ek barbad DECEMBER thaa

Kuch doore humhare saath chalo hum dil ki kahani keh denge Samjhe na jisse tum aankhon se woh baat zabaani keh denge

Image
Kuch doore humhare saath chalo  hum dil ki kahani keh denge Samjhe na jisse tum aankhon se woh baat zabaani keh denge Phoolon ki tarah jab honton peh ik shok tabassum bikhray ga Dheeray se tumhare kaanon mein ik baat purani keh denge Izhaar e wafa tum kya jaano iqraar e wafa tum kya samjho Hum zikr kerein ge gairon ka aur apni kahani keg denge Kuch doore humhare saath chalo