Kab dard ke maron ko sukoon hota hai Mohsin Jab ishq nahi hota junoon hota hai Mohsin



کب درد کے ماروں کو سکون ہوتا ہے محسن
جب عشق نہیں ہوتا جنوں ہوتا ہے محسن

Kab dard ke maron ko sukoon hota hai
Mohsin
Jab ishq nahi hota junoon hota hai
Mohsin

 
بے بس فقیروں سے نہیں پوچھتا کوئی
کس طرح تمنائوں کا خوں ہوتا ہے محسن

Bebas faqeeron se nahi poochta koi
Kis tarah tamannaon ka khoon hota hai
Mohsin

 
یہ عشق جو اپنا ہمیں ہونے نہیں دیتا
یہ عشق بھی ہوتا ہے تو کیوں ہوتا ہے محسن

Ye ishq jo apna humen hone nahi deta
Ye ishq bhi hota hai to kyun hota hai
Mohsin

 
ہر شام چراغوں کی طرح جلتی ہیں آنکھیں
کیا کوئی چلا جائے تو یوں ہوتا ہے محسن

 Har sham chiraghon ki tarah jalti hain ankhen
Kia koi chala jaye to youn hota hai
Mohsin

 
محسن نقوی
Mohsin Naqvi


Khhate hain bichhadne pe jo mar jane ki qasmen Wo loag bichhad jayen to mar kyun nahi jaye



ﮐﮭﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﭘﮧ ﺟﻮ ﻣﺮ ﺟﺎﻧﮯﮐﯽ ﻗﺴﻤﯿں
ﻭﮦ ﻟﻮﮒ ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﺗﻮ ﻣﺮ ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﮯ

Khhate hain bichhadne pe jo mar jane ki qasmen
Wo loag bichhad jayen to mar kyun nahi jaye


Ek ek yad ton akkeya main Tainu bhul nai sakeya main



اِک اِک یاد توں اکّیا میں
تینوں بھُل نئیں سکیا میں 

Ek ek yad ton akkeya main
Tainu bhul nai sakeya main

 
فیر میں دِل دی کہہ دِتّی
پہلوں پہلاں جَھکیا میں

Fer main dil di keh ditti
Pehlon pehlan jhakeya main

 
روز اَکھیاں چوں لنگھدا سِی
رات او تارہ ڈَکّیا میں

Roz akhhiyan chon langhda si
Rat o tara dakeya main

 
میلے وِچ گواچ کے یار
کاہدا میلہ تَکیا میں 

Mele vich gwach ke yar
Kahda mela takeya main

 
لِیک نہ دِل تے دِتّی پَین
خالی ورقہ رَکھیا میں 

Aik na dil di ditti pain
Khali warqa rakheya main

 
اونُوں حال سناون لئی
اِک اِک اَتھرُو ڈکّیا میں

Onu haal sunavan laiy
Ek ek athru dakeya main

 
اختر شمار
Akhter Shumar


Muhabbaten bhi muqaddar mein darj hoti hain Kisi ka rizq kisi aur ko nahi milta



محبتیں بھی مقدر میں درج ہوتی ہیں
کسی کا رزق کسی اور کو نہیں ملتا

Muhabbaten bhi muqaddar mein darj hoti hain
Kisi ka rizq kisi aur ko nahi milta


Ho aj ki tasneef mein ek tazkira e wasl Kal hon ge judaiy ke kisi bab mein hum tum



ہو آج کی تصنیف میں اک تذکرۂ وصل
کل ہوں گے جدائی کے کسی باب میں ہم تم

Ho aj ki tasneef mein ek tazkira e wasl
Kal hon ge judaiy ke kisi bab mein hum tum


Albeli, kamni ke nasheeli ghhadi hai sham Sarmastiyon ki sej pe nangi padi hai sham



البیلی کامنی کہ نشیلی گھڑی ہے شام
سرمستیوں کی سیج پہ ننگی پڑی ہے شام 

Albeli, kamni ke nasheeli ghhadi hai sham
Sarmastiyon ki sej pe nangi padi hai sham

 
بیکل کیے ہے رین کے رسیا کا انتظار
غمگیں ہے حسن شوخ کہ حیراں کھڑی ہے شام

Bekal kiye hai rain ke rasiya ka intizar
Ghamgeen hai husn e shokh ke hairan khhadi hai sham

 
چمکا دیا ہے اس کے شراروں نے فکر کو
احساس عشق و حسن کی اک پھلجڑی ہے شام

Chamka dia hai is ke shararon ne fikr ko
Ehsas e ishq o husn ki ek phuljhadi hai sham

 
تاباں ہے تیرا چہرہ کہ ہے جلوۂ سحر
رخشاں ہے تیری مانگ کہ تاروں جڑی ہے شام

Taban hai tera chehra ke hai jalwa e sehr
Rakhshan hai teri mang ke taron jadi hai sham

 
روٹھے ہوئے دلوں کو بھی اس نے منا لیا
من موہنی ہے، کامنی، چنچل بڑی ہے شام 

Roothe huay dilon ko bhi is ne manaa lia
Man mohni hai, kamni, chanchal badi hai sham

 
جانے کب آئے آج سا ہنگام دلنواز
یارو اٹھاؤ جام، گھڑی دو گھڑی ہے شام 

Jane kab aye aj sa hangam e dilnawaz
Yaro uthao jaam, ghhadi do ghhadi hai sham

 
کرشن موہن
Krishen Mohan


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo