Posts

Showing posts from July, 2013

Ab K Eid Aaye Gi To Sang Tere Guzrein Gay

Image
    Poetess: Sumaira Hammad.    Ab K Eid Aaye Gi To, Sang Tere Guzren Gay.*' Haasdon K Saare Taane, Khatam Ho Jayen Gay, Saare Gile Shikwe Mere, Dhul Jayen Gaye.*' Ab Ki Dafa Eid Aaye Gi To, Mohabbat Raaj Kare Gi, Zindagi Naaz Kare Gi.*' Teri Meri Kahani Sar-Zuban Ho Gi, Par Kise Parwah Ihasas-E-Zeyan Ho Ga.*' Ab Ki Dafa Eid Aaye Gi To, Kia Kia Tujh Se Kehna Hai, Hum Sab Soch Bethain Hain.*' Par Ab Ki Dafa Eid Ai To, Saare Taane Saare Gile Shikwe, Saari Baatain Sochi Hi Reh Gain.*' Teri Nazarain Hi Mujhe Mujrim Thehra Gain, Kaash Is Dafa Eid Na Aati...  

Eid Aati Hai Ek Mehman Ki Manid Guzar Jati

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Eid Aati Hai Ek Mehman Ki Manid, Guzar Jati Hai Ik Anjan Ki Manid, Dil Be-Taab Rahta Hai K Aai K Eid Aai, Do Pal Saja Kar Hansi Lub Py Chali Jati Hai Kisi Mehrban Ki Manid, Sun Kar Eid Ka Dil Jo Machl Jata Hai, Ujrr Jata Hai Phir Kisi Gulstan Ki Manid, Dil-O-Zehan Py Chha Jati Hai Eid , Din Dhalty Hi Yaad Reh Jati Hai Kisi Gumaan Ki Manid, Pal Do Pal Ki Ye Khushi Kar Jati Hai Shar-Shaar Dil Ko, Ho Jaty Hain Phir Tanha ZAHID Kisi Akaily Insan Ki Manid.

Jhagre Hayat K Suljhate Suljhate Eid Guzar Gai

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Jhagre Hayat K Suljhate Suljhate Eid Guzar Gai, Roothe Log Manate Manate Eid Guzar Gai, Umeed Thi Dil Mein K Wo Maan Jaein Gy Eid Par, Youn Dil Behlate Behlate Eid Guzar Gai, Jor Kar Hath Mangi Un Se Mafi,, Eid Ka Nazar Aaya Hai Chand, Ye Batate Batate Eid Guzar Jati Hai, Kion Itne Sang Dil Ho?    Jo Khailte Meri Khushi Se ? Phir Bhi Wo Rahta Hai Sitam Dhate Dhate Eid Guzar Jati Hai, Ab K Gar Na Mile Tum Eid Py ZAHID Se, Rokna Na Phir Mujhy Jaty Jaty Eid Guzar Jati Hai.

Bin Sajan K Meri Eid Udas Hai Manaon Kaise Main

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Bin Sajan K Meri Eid Udas Hai* Manaon Kaise Main Khushi Deed Udas Hai* Rasqan Hai Honton Pe Udasi* Jo Mile Khushi Ki Wo Naveed Udas Hai* Chale Bhi Aao Aub K Eid Par Tum* Kehte Hain Dost K Meri Gufat-O-Shuneed Udas Hai* Khilte Nahein Dil K Aagan Mein Phool* Dil K Gulstan Ka Khursheed Udas Hai* Aao Eid Pe Mil Kar Muskraein Hum* Tere Jane Se Meri ZAHID Eid Udas Hai.

Gajra Bali Nathli Lana Is Eid Par Surki Kajal

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Gajra Bali Nathli Lana Is Eid Par,, Surkhi Kajal Mehndi Bhi Dilana I s Eid Par,, Laal Peeli Hari Neeli Sur Ho Jis Mein Pyar Ka,, Rang-Ba-Rangi Choorriyan Lana Is Eid Par,, Chunri Ho Laal Rang Ki Jis Py,, Bail Booty Aur Phool Banwana Is Eid Par,, Ik Jorri Ho Payel Ki Bhi Sajan,, Dhank Ho Jis Ki Chaht Bhari Lana Is Eid Par,, Gajra Lagana Balon Mein Apny Hath Sy,, Bali Nathli Bhi Pehnana Is Eid Par,, Ye Sub Cheezein Saja Kar Dikhaon ZAHID Tum Ko,, Daikh K Mujhy Phir Muskrana Is Eid Par.

Be Sabab Dil Tor Gia Wo Eid Par

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Be Sabab Dil Tor Gia Wo Eid Par,, Aankhon Mein Aansoo Chhorr Gaya Wo Eid Par,, Kaisy Manaon Main Aub Ye Eidein,? Munh Mujh Sy Muarr Gaya Wo Eid Par,, Eid Ka Sun Kar Dil Ro Daita Hy Khoon K Ashk,, Gham Mein Kar Mubtla Chhorr Gaya Wo Eid Par,, Tarsta Hon Aub Us Ki Deed Ko ZAHID,, Jo Jurra Mujh Sy Har Rishta Torr Gaya Wo Eid Par.

Sochta Hon Is Eid Pe Agar Wo Aa Jaye To

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Sochta Hon Is Eid Pe Agar Wo Aa Jaye To, Bikhri Zulfein Sanwar Lon,, Udas Aankhon Mein Shokhi Bhar Lon,, Be Haali Main Apni Badal Dalon, Sookhe Honton Pe Muskan Saja Kar,, Main Bhi Kahon Usay EID MUBARIK DOST,, Veeran Apne Ghar Ko Saja Kar Sanwar Kar, Charaghan Kar Don Gham Se Par Dil Ko,, Khushion Se Bhar Don Dard-O-Aalm Ki,, Chor Kar Ye Tanha Mehfil-E- Eid Saja Don,, Apny Sary Dukh Bhula Kar,, Main Bhi Hilal-E- Eid Daikhoon,, Magar Shart Ye Hy K,, Wo Bas Itna Keh Dy K ZAHID,, Main Aaon Gi Is Eid Par,, Khooshi Manaon Gi Sang Tairy,, Is Eid Par,, Haan Main Aaon Gi,, Is Eid Par,

Hasrat-E-Jaana Ki Deed Le Kar Eid Manane Wale

Image
============== Eid Collection ============== Poet Umar Raahi Hasrat-E-Jaana Ki Deed Le Kar Eid Manane Wale, Hum Log Hain Gham Chhupa Kar Muskrany Waly,, Dil Mein Hazaroon Dard Pahnan,, Phir Bhi Eid K Roz Hum Hain Hansny Hansany Waly,, Sajaein Gar Koi Mehfil-E- Eid,, Hum Hain Ehl-E-Mehfil Ko Rulany Waly,, Jala Kar Ghar Apna Kar Laity Hain Charaghan,, Youn Hain Hum Dunya Ko Roshni Pohnchany Waly,, Din Eid K RAAHI Daikh K Ik Nazar Us Ko,, Hum Hain Chhoti Baat Py Khushi Manany Wale.

Tum Eid Mein Aao Nikal K Khawabon Se

Image
Poet: Ayaz Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Tum Eid Mein Aao Nikal K Khawabon Se. Hum Ghar Sajain Ge Pher Gullaboo Se. Pusheeda Ho Tum Jin Pardoon Me Ab Tak. Is Eid Pe Niklo Tum In Naqabon Se. Dekho Jaana Ab K Eid Pe Tum Aa Jana. Tarasti Nigahon Ko Tum Bachao Azabon Se. Pardon Mein Tum Reh K Kise Eid Manao Gi. Tum Khud Ko Karo Aazaad In Hijabon Se. Eid Pe Sari Rasmein Torr Kar Naye Phol Lana. Basi Phol Girao Tum Dil Ki In Kitabon Se. AYAZ, Tum Ne Wada Kia Tha Eid Pe Aane Ka. Hum Ko Aa K Eid Pe Nikalo In Khawabon Se.....!

Mehndi Lagon Gi Mein Chand Rat Mein Tera Naam

Image
Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Mehndi Lagon Gi Mein Chand Raat Mein, Tera Naam Sajon Gi Mein Apne Hath Mein, Saja K Kano Mein Bali Haton Mein Chorriyan, Hal-Chal Machaon Gi Mein Tere Khayalat Mein. Jab Jaon Gi Sakhiyo K Pas Mein Ek Ada Se. Zikar Mein Karon Gi Pher Tera Har Baat Mein. Har Koi Muje Se Mere Dil Ka Haal Puche Ga. Kitna Maza Aaye Ga Pher Sawalaat Mein. Mein Sharma Kar Nazren Niche Karon Gi. Pher Sub khoo jain Ge Mere Dilkash jawabat Mein. Mein Sapno Mein Khoo Jaon Gi Eid Pe Aaon Gi. AFFAN Mein Pher Eid Manon Gi Tere Saath Mein.......!

Chand Eid Ka Jab Wo Dekhti Ho gi Yad Meri

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Chand Eid Ka Jab Wo Dekhti Ho gi,, Yad Meri Phir Usay Aati Ho gi,, Kho Jati Hogi Phir Mairy Khayalon Mein,, Dheery Dheery Aansoo Bahati Hogi Galon Py,, Kahti Hogi Youn Mann Hi Mann Mein,, Tanha Kyoun Kar Gaye Bhary Gagan Mein,, Bin Tairy Eid Mujhy Hansati Nahein,, Kaya Tujhy Mairi Yaad Aati Nahein,, Lot Aati Hy Eid Bhi To Har Saal,, Nahein Loty Tum Phir Is Saal,, Bin Tairy Eid Rulati Hy Mujhy,, Kaya Eid K Din Mairi Yaad Aati Hy Tujhy,, Lot Aao K Mil Kar Hum Bhi Eid Karein,, Pyas Bujhy Aankhon Ki Wafa Ki Tajdeed Karein,, Aao Eid Py Tum ZAHID Ab K Baras,, Na Rulao Aur Mujhy Aub Khao Mujh Py Taras.

Tere Sath Eid Manana Chata Hon

Image
Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Tere Sath Eid Manana Chata Hon. Khushion Se Ghar Apna Sajana Chata Hon. Kuch Pal K Liye Aajana Bazam-E- Eid Mein. Mein Charag-E-Sahar Jalan Chata Hon. Mudaton Se Dil Mein Shekway Parre Hain. Eid Pe Mein Raaz-E-Dil Sunana Chata Hon. Ghamon Ka Ek Daria Poshida Hai Dil Mein. Halaat Dil Tujhe Dekhana Chata Hon. Too Ne Har Baar Wada Ki Eid Pe Aane Ka. AFFAN, Tera Wada Aazmana Chatha Hon....!

Bura Na Man Agr Tujhko Pyar Krti Hon.

~.~Bura Na Man Agr Tujhko Pyar Krti Hon. Gunah Kon Sa Aisa Main Yaar Karti Hon. Meri Khataon Main Meri Samajh Ka Nahi Koi Dakhal. Main Jo Bhi Karti Hon Be Ikhyar Karti Hon. Tu Kitne Pyar K Qabil Hai Kia Khabar Mujhko. K Main To Jitna Bhi Mumkin Hai Pyar Karti Hon. Wo Ghair Ho Ya Sajan Koi Bhi Ho Magar Us Se. Main Tera Tazkra Dewana War Karti Hon. Khuda Ki Duniya Se Itni Mohabbat Nahi Hai Shayad. Khuda K Ek Bande Ko Main Jitna Pyar Karti Hon.:-*. . Parv33n shakir ..

Last PoEm parv33n ShakiR

  Last PoEm parv33n ShakiR   ~.~Humara Ye Tum Ko Salam Aakhri Hai Suno Aaj Tum Se Kalaam Aakhri Hai Tere Naam Se jo rooz piya karte they jana Teri kasam aaj wo jaam aakhri hai Aaj k baad na milonga buhat door chala jaonga Tujh ko ye dena pegham aakhri hai Chora jo mujhe to besakhta wo bool uthey Jao ye lejao sanam hamara inaam aakhri hai Shayad na reh paonga dunya me ab Lag raha hai mujhe ye shaam aakhri hai.  

Nice inf0rmation about parvin shakir .....*

  Nice inf0rmation about parvin shakir    Parveen Shakhir Ne 'Beena' Ke Nam Se Likhna Shu'r0 Kia.. Ahmed Nadeem Qasmi K0 Apna Ustaad Batlati Theen.. Un ke Ash'ar Ko Gh0r Se Parhny Par Ehsas H0ta Hai ke Us Main Aksar Aab'Beeti Hai.. Unh0n Ne Apni Sha'iri Main Azdvaji Muhbbt ko Jinty Mukhtalif PehL0'n Se ch0wa Itna K0i Bi Sha'ir Na Kr Ska.. Unhain Jb Talaq Mili To uska izhar Kuch is Tarha Krti hain. Kaisy Keh D0n Ke Mujhe Ch0r Dia Hai Us ne.. Bat To Such Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki..! Zindgi Main may0si Ko Byan Krty H0we Kehti Hain,, Aks'E Khushb0 H0n Bikharny Se na r0ky K0i,, 0r Bikhar Ja0n To Mujh Ko Na Samety K0i.. W0h Kh0bs0rt Alfaz Se Apny Jazbat Ki Tasveer Kashi Krti Theen. Parveen Shakir Ka Kehna tha Ke Muhbbt Jab Nafs Par Qab0 Pa Leti   

Dar Paish Hain Wohi Azab Zamane Wale

============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Dar Paish Hain Wohi Azab Zamane Wale, Wo Lab Kahan Sy Laon Jo Eid K Din Hon Muskrany Waly,, Din Eid Ka Guzrta Hy Saghar My-O-Nosh Mein,, Hum Wohi Hain Pagal Tooty Py-Many Waly,, Chhupa Kar Aansoo Eid K Din Bhi,, Hum Banjary Hain Naghama-E-Mohabbat Gany Waly,, Dhondo Gy To Mil Hi Jaein Gy,, Hum Hain Wohi Faqeeri Aastany Waly,, Khushi K Liye Daman Phaila Kar Mangta Rahta Hon Bheek,, Hum Hain Deedar-E-Mahboob Sy Eid Manany Waly,, Jharrk Na ZAHID Ko Youn Eid K Din,, Sultint-E-Dil Hain Hum Tum Py Lutany Waly.....!

Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai

Image
    Poetess Parveen Shakir    Suna Hai Sheir Ka Jab Pait Bhar Jaye, To Wo Hamla Nahi Karta, Suna Hai Jab Kisi Nadi K Pani Mein, Bue K Ghoonsle Ka Gandami Saya, Larazta Hai To Nadi Ki Ro Pehli Machilan, Us Ko Parosi Maan Leti Hain Hava K, Taiz Jhonke Jab Darakhton Ko Hilaate Hain, To Meena Apne Ghar Ko Bhool Kar, Kave K Andon Ko Paron Mein Thaam Leti Hai, Suna Hai Ghonsle Se Jab Koi Bacha Gire, To Sara Jangal Jag Jata Hai, Nadi Mein Bar Aa Jaye Koi Pul Toot Jaye, To Kisi Lakri K Takhte Par Gulahri, Sanp Cheeta Aur Bakri Sath Hote Hain, Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai, Khuda Wanda Jaleel-o-Moatbar, Dana-o-Beena Munsif-O-Akbar, Humhare Shahar Mein Ab Janglon Ka Hi, Koi Dastoor Nafiz Kar...............!   

Shehar-E-Jaana Ko Eid Mubarik Jana K Gali Kooche

Image
=============== EID MUBARIK ============== Poet Zahid Mahmood Shehar-E-Jaana Ko Eid Mubarik,, Jaana K Gali-O-Kooche Ko Eid Mubarik,, Basti Hy Jis Gali Jis Muhly Mein,, Us Muhly Us Gali Ko Eid Mubark,, Us Gali Mein Jitny Ghar Hain,, Us Makaa'N-O-Makeen Ko Eid Mubark,, Aurr'Hti Hy Jo Chunri Jaana'N,, Us Chunri Chunri K Bail-O-Booty Ko Eid Mubark,, Hunssn-E-Jaana'N Ko Barrhaty Hain Jo Baali-O-Nathli,, Us Naak Ki Nathli Kaan Ki Baali Ko Eid Mubark,, Sajai Hain Jo Choorriyan Kalai Mein,, Rang-Ba-Rangi Un Choorriyon Ko Eid Mubark,, Pahni Hy Jo ZAHID Ki Di Payel Pairon Mein,, Payel K Us Sur-O-Jhankar Ko Eid Mubarik......!!!

Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein

Image
============== Eid Collection ============= Poet Umar Raahi Guzari Ab K Baras Eid Safar Mein, Muntzir Rahi Koi Hasti Ghar Mein, Raah Dekhti Rahi Shab-E-Hilaal Tak,, Paya Na Mera Naqash-E-Paa Nagar Mein, Barsi Eid K Roz Bhi Us Ki Aankhein, Din Eid K Lout Aaye Shayd Rahi Isi Fikar Mein,, Jaan Na Pai Ye Majboori Mairi,, Kitna Majboor Tha Main Bhi Khazar Mein,, Kahti Rahi Ye Baat Wo phone Kar K,, Lot Aao Raahi Rahty Ho Kyoun Itna Safar Mein......!!!

Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai Bas Mera Ghar Hi Khali Hai

Image
Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Ye Eid Bhi Kitni Nirali Hai. Bas Mera Ghar Hi Khali Hai. Wo Rooth K Kia Gaye Hum Se. Ab To Jaan Humari Jane wali Hai. Dar Dar Ja K Un Ko Dhoondte Hain. Ab Bhi Meri Nazar Sawali Hai. Is Bagh Ka Bulbl Door Gia hai. Is Wadi Mein Ab Kehat Saali Hai. Phool Bhi Sehme Sehme Se Hain. Kion K Aandhi Aane wali Hai. Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaro. Toota Phool To Ab Roti Dali Hai. Aye Eid Kia Tum Khushian Lai Ho. AFFAN Ki Jholi To Ab Tak Khali Hai.....!

Jab Bhi Kabhi Nai Eid Aati Hai Sath Khushian

Image
Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Jab Bhi Kabhi Nai Eid Aati Hai. Sath Khushiyan Apne Lati Hai. Kuch Dar Ayse Bhi Hote Hain. Aanken Jahan Muntazir Behti Hai. Kuch Log Jo Dil Mein Rehte Hain. Un Ki Yaad Bahut Satati Hai. Jab Bahaar-E-No Guzrarti Hai Chaman Se. Un Ki Khushbo Pher Se Lati Hai. Ayse Mein Un Ki Sab Hi Pechli Batain. Har Aahat Par Hum Ko Tarrpati Hai. AFFAN, Too To Hai Pardees Mein. Suna Hai Eid Bichrre Howe Ko Milati Hai....!

Tum Deed Karao Humari Eid Tab Ho gi

Image
US NE EID PE AANE KA WADA KIA THA Type By *._Ayaz Khan_.* Tum Deed Karao Humari Eid Tab Ho gi. Tum Muskorao Samne Aa K Meri Eid jab Ho Gi. Uss Nay Eid Pe Aane Ka Wada Kia Tha, Barson intezaar Mein Hon Jane Wo Eid Kab Ho Gi. Ye To Sapne Hain Tabeer Khahan in Ki. Yad Har Eid Pe Aati Hai Rote Howe Eid Ab Ho Gi. Jin Ko Sath Tumara Eid Pe Muyasar Hai Jaana. Un Raqeebon Ki Hi Eid Khoob Ho Gi...........! Mazeed Eid Poetry K Liye, Follow Khan61 Send 8001, Ya www.hijars.blogspot.com ,

Main Aur Sajda Kisi Sang-E-Aastan K Liye

    Poet: Rais Amrohi    Main Aur Sajda Kisi Sang-E-Aastan K Liye. Agar Zameen Pe Jhukon Ga To Aasman K Liye. Wahein Wahein Tere Aariz Pe Hai Litafat-E-Rang. Nigah-E-Shoq Ne Boose Jahan Jahan K Liye. Bus Aik Nidamat-E-Ifsha-E-Raaz Hi To Nahi. Hazaar Tarah K Khatray Hain Raaz'Daan K Liye. Shameem Gul Ye Safar Kis Ko Raas Aaya Hai. Ye Tu Nasheman-E-Gul Se Chali Kahan K Liye. Kabhi Kabhi To Mukamal Sukoot Lazim Hai. Muamlaat-E-Muhabbat K Tarjuman K Liye. Najane Kab Se Mera Dil Wujood-E-Qatar Main. Dadhak Raha Hai Kisi Bher-E-Be'Karan K Liye. Kiye Hain Sirf Baharon Ne Ghanch-O-Gul Main. Kahan Kahan K Ishaaray Kahan Kahan K Liye.    

Wo Roth Kar Aisa Gia K Eid Par Nahi Aaya

Image
Poet: Ayaz Khan Type By *.__Ayaz Khan__.* Wo Roth Kar Aisa Gia K Eid Par Nahi Aaya. Main Muntazir Raha Par Wo Ghar Nahi Aaya. Ek Hasrat Thi Meri Aankhon Mein Us K Deed Ki. Wo To Khawab Tha Pher Kahen Nazar Nahi Aaya. Us Ki Rafaqat Mein Ek Muddat Guzari Hum Ne. Zindagi Tamam Hoi Pher Aysa Humsarf Nahi Aaya. Har Eid Par Us Ne Mujhe Surkh Gulab Diye. Wo Bicharra To Pher Aysa Manzar Nahi Aaya. AYAZ Mein Ne Roka To Bahut Us Jaan-E-Azeez Ko. Par Dilon Mein Utarne Ka Tujhe Hunar Nahi Aaya...!

Kisi Ko Hansa Kar Kisi Ko Rula Kar Eid Guzar Jati Hai

Image
============== Eid Collection ============== Poet ZAHID MEHMOOD Kisi Ko Hansa Kar Kisi Ko Rula Kar Eid Guzar Jati Hai, Koi Reh Jata Tanha Kisi Ko Mila Kar Eid Guzar Jati Hai, Koi Ghira Rahta Hy Doston Ki Mehfil Mein, Koi Doston Mein Reh Jata Khud Ko Tanha Pa Kar Eid Guzar Jati Hai, Koi Milta Hai Apno Se Gale Muskra Kar, Koi Reh Jata Apno Ki Yadon Ko, Gale Laga Kar Eid Guzar Jati Hai, Koi Bhar Leta Hai Aankhon Mein Shokhi, Koi Reh Jata Aankh Se Samandar Baha Kar Eid Guzar Jati Hy, Koi Manata Hai ZAHID Shab-E-Hilal-E-Eid Khushian, Koi Reh Jata Hai Apne Gham Chupa Kar Eid Guzar Jati Hai.

Kal Hamesha ki Tarh Us Ne Kaha Ye Phone Par

Image
    ======== Last Call ======== Poet Wasi Shah    Kal Hamesha ki Tarh Us Ne Kaha Ye Phone Par, Main Bahut Masroof Hon Mujh ko Bahut se Kam Hain, Is liye Tum Aao Milne Main To Aa Sakti Nahi, Har Riwayat Tor Kar is Bar Maine Keh Dia, Tum Jo Masrof Ho To Main Bhi Masroof Hon, Tum jo Mash'hoor Ho To Main Bhi Ma'arof Hon, Tum Agr Ghamgeen Ho Main Bhi Bahut Ranjoor Hon, Tum Thakan se Choor To Main bhi Thakan se Choor Hon, Jaan-E-Man hai Waqt Mera Bhi Bahut Qeemati, Kuch Purane Dosto Ne Milne Ana Hai Abhi, Main bhi ab Farigh Nahi Mujh ko bhi Lakhon Kam Hain, Warna Kehne Ko To Sab Lamhe Tumhare Nam Hain, Meri Aankhain Bhi Bahut Bojhal Hain Sona Hai, Mujhe Rat jagon k Bad Ab Neendon Mein Khona Hai Mujhe, Main Laho Apni Anaon Ka Baha Sakta Nahi, Tum Nahi Aati To Milne Main Bhi Aa sakta Nahi, Usko ye Keh Ke Wasi Main Ne Reciever Rakh Dia, Aur Phir Apni Ana K Paon Pe sar Rakh Dia.......? ...

Bulbul NE Khushi Ka Geet Gaya K Eid Aai Hai

Image
============== Eid Collection ============== Poet Zahid Mahmood Bulbul NE Khushi Ka Geet Gaya K Eid Aai Hai, Daikh K Chaand Ne Youn Shor Machaya K Eid Aai Hai,, Gulshan Ki Pati Pati Mehak Uthi, Bhanwran Phool Pe Mandlaya K Eid Aai Hai, Mor Masti Mein Nachta Jaye Ray,, Morni Ne Bhi Sath Nibhaya K Eid Aai Hai,, Har Kisi K Honton Py Saj Gai Muskrahat, Koyal Ne Suron Ka Saaz Bajaya K Eid Aai Hai,, Chiria Chehak Rahi Chaman Mein,, Bagh Mein Ye Shor Machaya K Eid Aai Hai,, Mach Gaya Shor Parindon Ka Gagan Mein,, Fakhta Ne ZAHID Ye Sunaya K Eid Aai Hai................!!!!

Majnoo Ki Tarah Rote Howe Guzre Gi Jis Ki Eid

Image
Poet: Ayaz Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Majnoo Ki Tarah Rote Howe Guzre Gi Jis Ki Eid. Laila K Bena Ab Kise Guzre Gi is Qais Ki Eid. Jahan Har Aankh Se Anso Nahi Laho Tapke. Ab K Zinda Lashain Mana Rahi Hain is Dees Ki Eid. Kuch Panchi Door Nagar Se Aaye Hain is Wadi Mein. Qaid Mein Guzre Gi Un Ki Ye Pardees Ki Eid. Chaman Mein Aag Lagi, Har Phol Jhilas Gia. Bulbl Ko Muhabbat Chaman Se Ab Kyse Guzre is Ki Eid. AYAZ Hum To Har Eid Pe Sajte Hain Gham Ki Mefil. Koi Batlay Hum Ko Kyse Guzrti Hai Us Ki Eid......!

Ye Eid Bhi Guzar Jaye Gi Sanam Teri Judai Mein

Image
============== Eid Collection ============== Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Ye Eid Bhi Guzar Jaye Gi Sanam Teri Judai Mein. Koi Tujh Sa Pher Na Mila Mujhe Atni Bari Khudai Mein. Us Ne Dil Torra Tha Aanine Ki Tarah Har Bar Mera. Ye Fan To Ghazab Ka Tha Mere Harjai Mein. Mein Qaidi Hon Ab Bhi Teri Muhabbat Ka Sanam. Ye Aur Baat Too Ne Kami Kar Di Meri Pazirai Mein. Milte Hain Tane Har Eid Pe Mujhe Teri Be-Rukhi K. Gham Se Ja Gerta Hoon Mein Andhri Khai Mein. Zabt Atna Nahi Mujhe Aashkon Par Ab AFFAN. Dard Chopta Nahi Meri Aankhon Se Teri Judai Mein...! More Best Poetry Follow Khan61 Send 8001.

Bin Us K Ye Kaisi Eid Hy Raahi Moysar Nahi Dilbar Ki Deed Hai Raahi

Image
================ EID HY RAAHI =============== Poet Umar Raahi Bin Us K Ye Kaisi Eid Hy Raahi ,,? Moysar Nahi Dilbar Ki Deed Hai Raahi ,, Beety Kayi Saal Daikha Na Chahra Us Ka,, Torr Rahi Dam Dil Ki Har Umeed Hy Raahi ,, Daikhy Aankh Mukhrra Us Ka Is Eid Py,, Dil Ki Ye Aas Aub K Shadeed Hy Raahi ,, Nazar Aaye Gar Mujhy Chaand Maira,, Khooshi Bhari Phir Mairi Bhi Eid Hy Raahi ,, Koi To Jaye Maira Haal Usy Sunaye,, Yahi Dil Ki Gufat-O-Shuneed Hy Raahi ,, Lot Aa Guzrti Hy Eid Tairy Hi Intzar Mein,, Lot Aaty Hain Pardaisi Bhi Eid Py Tairy Aany Ki Umeed Hy Raahi ,, Do Pall Ko Hi Aa Ja RAAHI K Aangn Mein,, Muntzar Kab Sy Mairi Deed Hy Raahi.............!

Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaro

Image
==================== EID COLLECTION ==================== Poet: Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaro. Udas Hon Mein Us Ko Bata Do Ja Kar Yaro. Eid To Khoshiyan Lati Hai Har Basti Mein. Koi To Ye Ujrri Hoi Basti Do Mujhe Saja Kar Yaro. Koi Masiha Hai To Mere Liye Bhi is Eid Pe Dua Kare. Mere Gham Mein Khushiyan Day Do Mila Kar Yaro. Us K Bina Bhi Kia Zindagi Hai Dil Lagta Nahi. Har Eid Us K Bina Guzari Thukrra Kar Yaro. Diwano Ki Tarah Us Ko Dhunte Hain Har Jaga. Kabi Sehra Mein Kabi Rait Pe Naam Mita Kar Yaro. Koi Mekhane Ka Pata Hi Bata Do Mujh ko. ,AFAAN, Bhi Eid Guzare Us Ka Khayal Mita Kar Yaro....! Mazeed Poetry Follow Khan61 Send 8001.

Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaro

Image
================== TANHA PA KAR ================== Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaro,, Eid Mubarak Kehna Hoga Sub Ko Aansoo Chhupa Kar Yaaro,, Aayi Eid Chala Wo Dil Jala Kar Yaaro,, Kaisy Aub Ye Eid Manaoun Main Muskra Kar Yaaro,, Din Khooshi K Bhi Hoon Tanha Kitna Main,,? Ro Parra Tanhai Ko Galy Laga Kar Yaaro,, RAAHI Ki Guzri Hy Tanha Ye Zindagi,, Aub K Eid Py Hum Zindagi Se Chaly Rishta Tuarr Kar Yaaro,

Rukne Ka Same Guzar Gia Hai Jana Tera

Image
    Poet: Parveen Shakir Type By *._Ayaz Khan_.* Rukne Ka Same Guzar Gia Hai. Jana Tera Ab Thher Gia Hai. Rukhsat Ki Gharri Kharri Hai Sar Par. Dil Koi Do Neem Kar Gia Hai. Matam Ki Faza Hai Shehr-E-Dil Mein. Mujh Mein Koi Shakhs Mar Gia Hai. Bujne Ko Hai Pher Se Chashm-E-Nargis. Pher Khawab-E-Saba Bekhr Gia Hai. Bas Aik Niga Ki Thi Us Ne. Sara Chehra Nikhar Gia Hai......! Bk: INKAAR Pg: 129 Gzl:95  

Ek Aalam Tha Kia Aalam Tha Wo Sacha Ho Ya Jhoota Ho

Image
Poet Ibn-E-Insha Ek Aalam Tha Kia Aalam Tha, Wo Sacha Ho Ya Jhoota Ho, Hum Apne Aap Mein Doob Gaye, Khud Pathar Ban Khud Daria Ho, Jion Ghas Ka Tinka Jangal Mein, Jion Aandhi Mein Koi Pata Ho, Hum Kis Se Kahein Kis Tor Kahein, Koi Bat Humari Samjha Ho,! Hum Us Se Milein Jo Apna Ho, Hum Us Se Kahein Jo Hum Sa Ho, Jab Ye Bhi Nahi Jab Wo Bhi Nahi, Kia Bat Bane Kia Rasta Ho, Is Zindaan Mein Ko Rozan Ho, Us Gumbad Mein Koi Darwaza Ho...............!

Kion Aise Sapne Dekhte Ho Insha Jee Tum Aap Bhi Sapna Ho

Image
Poet Ibn-E-Insha    Kion Aise Sapne Dekhte Ho, Insha Jee Tum Aap Bhi Sapna Ho, Ek Beetein Likhte Shair Ho, Ek Geet Ugalti Beena Ho, Ye Batehn Mann Mein Wo Soche, Jo Kia Batlain Kaisa Ho? Wo Jis K Hath Mein Qismat Ki, Ek Lambi Gehri Raikha Ho, Wo Shakhs Purane Qison Ka, Ek Mud Mata Shehzada Ho, Jo Shehr Ka Rasta Bhoola Ho, Aur Jangal Mein Aa Nikla Ho, Wo Raja Kaashi Nigri Ka, Ya Walai Balgh-O-Bukhara Ho, Kuch Us K Taaj Pe Kalghi Ho, Kuch Us Ka Chand Sa Chehra Ho, Wo Malik Mahal Utarion Ka, Ya Roopay Sone Wala Ho, Ya Koi Anokha Gun Wala, Wo Jis Ka Jag Mein Charcha Ho, Ya Koi Sajeela Banjara, Jo Nagri Nagri Ghooma Ho................! Book Is Basti K Ek Kooche Mein

Mere Dil Mein Jo Aa Baithi To Phir Dil Se Nahi Nikli

Image
    Type By *._Ayaz Khan_.*   Mere Dil Mein Jo Aa Baithi To Phir Dil Se Nahi Nikli. Kisi Parda Nasheen Ki Yad Bhi Parda Nasheen Nikli. Wo Mere Dil Aur Dimagh Pe is Qadar Chaya Hai. K Mere Dil Se Sirf Too Hi Too Ki Sadaeen Nikli. Us Ki Be Rukhi Ne Mere Dil Ko Yuon Torra Hai. Labon Se Siskiyan Aur Meri Aankho Se Nameen Nikli. Us Ne Barri Be Dardi Se Meri Chahat Ko Thukraya Tha. Jaise Mere Paon K Nichay Se Sarkti Hoi Zameen Nikli. Mera Qasoor Atna Tha K Mein Ne izhar-E-Ulfat Kia. Ruswa Atne Howe Baat Kahen Se Ja K Kahen Nikli. Us K Baad Pher Koi Na  is Dil Mein Bas Saka Ab Tak. Us Zalim Ki Adaeen is Qadar Dil Nanasheen Nikli....!    

Wo Roth Kar Aisa Gia K Eid Par Nahi Aaya

Image
Poet: Ayaz Khan Type By *.__Ayaz Khan__.* Wo Roth Kar Aysa Gia K Eid Par Nahi Aaya. Mein Muntazir Raha Par Wo Ghar Nahi Aaya. Ek Hasrat Thi Meri Aankhon Mein Us K Deed Ki. Wo To Khawab Tha Pher Kahen Nazar Nahi Aaya. Us Ki Rafaqat Mein Ek Muddat Guzari Hum Ne. Zindagi Tamam Hoi Pher Aysa Humsafar Nahi Aaya. Har Eid Par Us Ne Mujhe Surkh Gulab Diye. Wo Bicharra To Pher Aysa Manzar Nahi Aaya. AYAZ Mein Ne Roka To Bahut Us Jaan-E-Azeez Ko. Par Dilon Mein Utarne Ka Tujhe Hunar Nahi Aaya...! Mazeed Eid Poetry Follow Khan61 Send 8001.

New edition Eid K Roz Bhi Majbor Thay Taqdeer Se hum

Image
============== Eid Collection ============== Poet Affan Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Eid K Roz Bhi Majbor Thay Taqdeer Se hum. Ro Parre Gale Lag K Ap Ki Tasveer Se Hum. Teri Yaaden Tere Khat Sene Se Laga Rakhe Hain. is Tarah Roz Milte Hain Teri Thereer Se Hum. Parre Hain Muhabbat K Fasane Hum Ne Buhat. Kia ishq To Waqif Ab Howe Tafseer Se Hum. Teri Judai K Bad Bikhar Gia Mera Aashiyana. Ab Darte Hain Hum Naye Ghar ki Tameer Se Hum. Koi To Dua Do Naye Charag Roshan Karen Hum. is Eid Pe Muhabbat Ki Tanveer Se Hum. Ab Tanha Hum Eid Manate Hain Teri Yaadon K Sat. AFFAN Itna Darte Hain Apni Tasheer Se Hum.....!