Posts

Showing posts from April, 2014

اس دورِ بے جنوں کی کہانی کوئی لکھو جسموں کو برف، خون کو پانی کوئی لکھو

اس دورِ بے جنوں کی کہانی کوئی لکھو جسموں کو برف، خون کو پانی کوئی لکھو کوئی کہو کہ ہاتھ قلم کس طرح ہوئے کیوں رک گئی قلم کی روانی کوئی لکھو کیوں اہلِ شوق سر بہ گ ریباں ہیں دوستو کیوں خوں بہ دل ہے عہدِ جوانی کوئی لکھو کیوں سرمہ در گلو ہے ہر اک طائرِ سخن کیوں گلستاں قفس کا ہے ثانی، کوئی لکھو ہاں تازہ سانحوں کا کرے کون انتظار ہاں دل کی واردات پرانی کوئی لکھو   Nomi Collections     

Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi

  Poet Ahmad Faraz    Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi, Bahut Malool Tha Main Bhi Udas Tha Wo Bhi, Kisi K Shehr Mein Ki Guftagoo Hawaon Se, Ye Soch Kar K Kahein Aas Pas Tha Wo Bhi, Hum Apne Za'am Mein Khush Thay Us Ko Bhool Chuke, Magar Guman Tha Ye Bhi Qayas Tha Wo Bhi, Kahan Ka Ab Gham-E-Dunia Kahan Ka Ab Gham-E-Jaan, Wo Din Bhi Thay Humain Ye Bhi Raas Tha Wo Bhi, FARAZ Tere Gareban Pe Kal Jo Hansta Tha, UsaY Mile To Dareeda Libas Tha Wo Bhi...............! Page 16     

Ye Kia K Sab Se BaYaan Dil Ki Halatein Karni FARAZ Tujh Ko Na Aain Mohabbatein Karni

  Poet Ahmad Faraz   Ye Kia K Sab Se BaYaan Dil Ki Halatein Karni, FARAZ Tujh Ko Na Aain Mohabbatein Karni, Ye Qurb Kia Hai Too Samne Hai Aur Humain, Shumar Abhi Se Judai Ki Sa'atein Karni, Koi Khuda Ho K Pathar Jise Bhi Hum Chahein, Tamam Umar Usi Ki Ibadatein Karni, Sab Apne Apne Qareene Se Muntazir Us K, Kisi Ko Shukar Kisi Ko Shikayatein Karni, Hum Apne Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko, Zara Si Bat Pe Barba Qayamatein Karni, Milein Jab Un Se To Mabham Si Guftagoo Karna, Phir Apne Ap Se So So Wazahatein Karni, Ye Log Kaise Magar Dushmani Nibhate Hain, Humain To Raas Na Aain Mohabbatein Karni, Kabhi FARAZ Naye Mosamon Mein Ro Dena, Kabhi Talash Purani Rafaqatein Karni.................! Page 115,116   

Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too

  Poet Ahmad Faraz    Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too, Kahan Gia Hai Mere Shehr K Musafir Too, Meri Misal K Ek Nakhal-E-Khushk Sehra Hon, Tera Khayal K Shakh-E-Chaman Ka Tair Too, Main Janta Hon K Dunia Tujhe Badal De Gi, Main Manta Hon K Aisa Nahi Bazahir Too, Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai, Ye Har Maqam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Too, Fiza Udas Hai Rutt Muzmahil Hai Main Chup Hon, Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too, Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too, FARAZ Too Ne UsaY Mushkalon Mein Dal Dia, Zamana Sahib-E-Zar Aur Sirf Sha'ir Too.................! Page 11,12   

ہے میرے گرد کثرتِ شــہر جــفا پرست تنہا ہوں، اس لیے ہوں مـیں اِتنا انا پرست

ہے میرے گرد کثرتِ شــہر جــفا پرست تنہا ہوں، اس لیے ہوں مـیں اِتنا انا پرست صحنِ بـہار گل مـیں کفِ گل فروش ہے شامِ وصالِ یار مــیں دستِ حِنا پرست  تھا ابتدائے شوق مـیں آرامِ جاں بہت پر ہم تھے اپنی دُھن مـیں بہت اِنتہا پرست بامِ بلند یار پہ خاموشـــیاں سی ہیں اِس وقت وہ کہاں ہے، وہ یارِ ہوا پرست گمراہـیوں کا شــکوہ نہ کر اب تو اے 'منیر ' تُو ہی تھا سب سے بڑھ کے یہاں رہنـما پرست 'منیر نیـــازی'

Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon, Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon

Poet: Shayar Ali Shayar Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon, Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon Be-Dili Afsardgi Har Aan Hai,  Be-Bassi Ko Zindagi Kaise Kahoon Khaslatain Aor Aadtain Haiwaan Ki, Bherriye Ko Aadmi Kaise Kahoon Aasta'n Par Izatein Jo Loat Lay, Uss Darindy Ko Wali Kaise Kahoon Muskuraya Tha Mujhe Vo Dekh Kar,  Aashna Ko Ajnabi Kaise Kahoon Noor-E-Haq Se Dil Munawar Ho Gaya, Roshni Ko Tairgi Kaise Kahoon Hai Ibadat Aor Khuda Se Door To,  Is Amal Ko Bandgi Kaise Kahoon Dil Lagaty Hain Numaish Ke Liye, Dil Lagi Ko Aashqi Kaise Kahoon Lay Ke Dariya Piyaas Bujhti Hi Nahi,  Is Hawas Ko Tishnagi Kaise Kahoon Dagmagaye Maykashi "SHAAYAR" Tujhe,  Be-Khudi Ko Main Khudi Kaise Kahoon. Book Wo Chhand Jaisa Shakhs >>>>>>>>>> NOMI COLLECTION <<<<<<<<<<

Aankhein Tanha Ho Jati Hain

Dard Ka Sehra Ho Jati Hain

  Poetess Noshi Gilani   Aankhein Tanha Ho Jati Hain Dard Ka Sehra Ho Jati Hain Dil Ka Kia Hai Dil Ki Batein, Aksar Ruswa Ho Jati Hain, Too Hota Hai, Lekin Shamein, Kaise Tanha Ho Jati Hain, Tere Bin Ye Chandni Ratein, Gham Ka Naqsha Ho Jati Hain, Asal Ki Janib Lout K Aakhir, Naslein Yakja Ho Jati Hain, Kion Har Bar Safar Ki Shamein, Tera Chehra Ho Jati Hain.............! Page 67,68

Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai

  Poetess Noshi Gilani Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai, Mera Tujh Se Juda Hona Zaroori Ho Gia Hai, Wafa K Tajarbe Karte HowaY To Umar Guzri, Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Gia Hai, Meri Aawaz Tanhai Mein Marti Ja Rahi Hai, Kisi Ka Hum Nawa Hona Zaroori Ho Gia Hai, Azab-E-Zulmat-E-Shab Hai K Ab Apne Labon Par, Koi Harf-E-Dua Hona Zaroori Ho Gia Hai, Kahan Tak Hum Onhi Bojhal Fizaon Mein Rahein Gay, Koi Ek Faisla Hona Zaroori Ho Gia Hai, Bhanwar Mein Kai Barson Se Apni Kashti-E-Jaan, Kisi Ka Na Khuda Hona Zaroori Ho Gia Hai, Yahan Charon Taraf Khof Barhta Ja Raha Hai, Sukhan Na Aashna Hona Zaroori Ho Gia Hai..............! Page 65,66  

Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai Lyric

  Singer Uddat Narain & Alka Yagnik Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai, Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai, Kia Hai Ye Kion Hai Ye Kia Khabar Hai, Magar Jo Bhi Hai Bara Acha Lagta Hai, Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai, Teri Choti Choti Bat Teri Har Ek Mulaqat, Tarpaye Mujh Ko Lamha Lamha Tera Sath, Lamha Lamha Tera Sath Kia Hai Ye Kion Hai Ye, Kia Khabar Hai Magar Jo Bhi Hai Bara Acha Lagta Hai, Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai, Behke Behke Mere Din Mehki Mehki Meri Sham, Koi Aanchal Te Saza Mein To Likhon Tera Naam, Main To Likhon Tera Naam, Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai, Tum Se Milna Batein Karna Bara Acha Lagta Hai.........!

Aik Wada Hy Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi

Image

Aata Jise Tera Aks-e-Jamal Hota Hy

Image

Aise Zakhmon Ko Kia Kare Koi

Image
 

Aankh Gulabi Mast Nazar Hy

Image

Taghayurat Se Dunya Singar Karti Hy

Image

Mattaa-E-Kaosar-o-Zamzam Ke Paimane Teri Aankhen Fareshton Ko Bana Deti Hain Deewany Teri Aankhen

Image
Mattaa-E-Kaosar-o-Zamzam Ke Paimane Teri Aankhen Fareshton Ko Bana Deti Hain Deewany Teri Aankhen

Meri Dharti Meri Pehchan Gilgit, Baltistan

Image
          =============== Nomi Collection ===============    

Phoo Pe Aa Kar Bethi To Khud Urna Bhool Gai

    Poet Qamar Jalalvi    Phoo Pe Aa Kar Bethi To, Khud Urna Bhool Gai, Aisi Mast Hoi Wo Titli Par, Phelna Bhool Gai, Aisa Khila Wo Phool Sa Chahra, Pheli Sare Ghar Mein Khushbo, Khat Ko Chupa Kar Parhne Wali, Raz Chupana Bhool Gai, Kalion Ne Har Bhanware Titli Se Phoocha Hai Us Ka Naam, Bad-E-Saba Jis Phool K Ghar Se Bhool Gai, Barson Bad Mile To Aisi Payas Bhari Thi Aankhon Mein, Bhool Gaya Main Baat Batana, Wo Sharmana Bhool Gai, Sajan Ki Yadein Bhi Kin Lamhon Mein Aati Hain ? Gori Aata Goondh Rahi Thi, Namak Milana Bhool Gai...........!    ================ Nomi Collection ================    

Teri Aankhein Beqarari Ka Afsana Hain

    Teri Aankhein Beqarari Ka Afsana Hain, Mohabbat K Mazhab Mein, Inahein Parh Kar, Aadhe Mein Chorrna Gunah He, Aur In Ki Khatir Sar Na Dena, Kufar Hai Azeem, Sach Poocho To Meri Jang, Teri Aankhon K Tehfuz Ki Khatir He, Aur Ye Aankhein Teri, Ye Gawahi Dein Gi Keh, Main Ne Mohabbat Ki, Tamna Ki Aur Mara Gaya.........! ================= Nomi Collection =================    

Bichar k us se zinda hon meri taqdeer to dekho

Bichar k us se zinda hon meri taqdeer to dekho.! Kabhi aa kr mery halaat ki, tasveer to dekho.! Mujhy mehfil men dekha to kaha, uss ny raqibon sy.! Mera aashiq, mera pagal, mera dilgeer to dekho.! Lutta kr payar ki daulat, khreedy khoon k aansu.! Mili jo ishq men hum ko, zara jageer to dekho.! Likha hy naam mera, shararat hy raqibon ki.! Ye khat mera nahi Ghalib, zara tehreer to dekho.! ================ Nomi Collection ================    

Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar

Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar

Poet Farhat Abas Shah    Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar Deti He Jab Zara Si Bhi Aahat Azeetein, Aisi Khamoshiyon Mein Sunai Diya Na Kar, Pahle Hi Hadsat K Imkan Kam Nahi, Youn Mujh Ko Raston Mein Sujhai Diya Na Kar, Nazrein To Patharon Ko Bhi Kar Jaein Chak Chak, Saj Dhaj K Bastiyon Mein Dikhai Diya Na Kar, In Muasamon Mein Panchi Palt'Te Nahi Sada, Dil Ko Udasiyon Mein Rihai Diya Na Kar, Aata Nahi Badlna Jo Andaz-E-Dushmani, Chahre Badl Badl K Dikhai Diya Na Kar, FARHAT Koi To Faraq Ho Aam Aur Khas Mein, Har Aik Aashna Ko Rasai Diya Na Kar............! Book Aankhon K Par Chaand  

Bara Mazhabi Bara Parsa

 Bara Deen Daar Hai Aaj Kal

Image
        Poet Kaif Bhopali    Typ By    *.__Ayaz Khan__.*    Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal. Meri Justoju Meri Guftogu Mera Intazar Hai Aaj Kal. Wo Tere Khatoot Nikaalna Kabhi Dekhna Kabhi Chomna. Yahi Mashghala Yahi Silsila Yahi karobar Hai Aaj Kal. Aise Qatal Kar Use Qatal Kar Tujhe Sath Khoon Maf Hain. Teri Saltanat Tera Dabdaba Tera Iqtadar Hai Aaj kal. Are KAIF Kal To Too Rind Tha Mere Yar Tujh Ko Ye Kia Howa, Bara Mazhabi Bara Parsa Bara Deen Daar Hai Aaj Kal.......!   ============= Nomi Collection =============    

Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi

  Poet Basheer Badar    Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi, Manga Khuda Se Rat Din Tere Siwa, Kuch Bhi Nahi, Dekha Tujhe Socha Tujhe, Chaha Tujhe Pooja Tujhe, Meri Khata Meri Wafa, Teri Khata Kuch Bhi Nahi, Jis Par Humari Aankh Ne, Moti Bichaye Rat Bhar, Bheja Wohi Kaghaz Tujhe, Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi, Ek Sham Ki Dehleez Par, Baithe Rahe Wo Deir Tak, Aankhon Se Ki Batein Bahut, Hum Ne Kaha Kuch Bhi Nahi..................!   

Ishq K Maro Deewano Ka Ehtaram Karo

  Poet Ayaz Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Ishq K Maro Deewano Ka Ehtaram Karo. Shama K Gird Urte Parwano Ka Ehtaram Karo. Nasha Jaam Mein Nahi Sharab Mein Hota Hai. Tum Saqi Ka Mekhano Ka Ehtaram Karo. Suno Jab Bhi Tum Dastan-E-Mohabbat Kisi Ki. To Tum Gham K In Afsano Ka Ehtaram Karo. Saroor-O-Masti Ki Dunia Mein Rehne Walo Ka Nahi. Tum Barbad Ujre HowaY Weerano Ka Ehtram Karo. Judai Gham Tanhai Dulat-E-Ishq Hain, AYAZ Tum Gham-E-Hayat K In Khazano Ka Ehtaram Karo......!  

Aa Gairat K Parde EK Bar Phir Utha Dein Bichron Ko Phir Mila Dein

  Poet: Dr Allama Muhammad  Iqbal  Type By  *.__ NOMI __.*    Aa Gairat K Parde EK Bar Phir Utha Dein, Bichron Ko Phir Mila Dein. Naqsh-E-Doi Mita Dain. Sooni Parri Huwi Hai Mudat Se DIL Ki Basti. Aa IK Naya Shawaala Es Dais Mein Bana Dain. Duniya K Terthoon Se Oncha Huwa Apna Terath. Damaan-E-Aasman Se Es Ka Kals Mila Dain. Har Subha Uth K Gaayein Mantar Wo Meethe Meethe. Saare Pujaariyoon Ko May Peet Ki Pila Dain.   Book: Baang e Dara Page: 62   > > > > > > > > > > > > > > Nomi Collections < < < < < < < < < < < < < <  

Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon Raqs Farmao Mein Sharabi Hon

Image
  Poet Saghar Suddiqui Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon, Raqs Farmao Mein Sharabi Hon, Aik Sajda Banam-E-Mekhana, Doston Aao Mein Sharabi Hon, Loog Kehte Hain Raat Beet Chuki, Mujh Ko Samjaho Mein Sharabi Hon, Aaj In Rishmi Ghataon Ko, Youn Na Bikhrao Mein Sharabi Hon, Hadse Roz Hote Rehte Hain, Bhool Bhi Jao Mein Sharabi Hon, Mujh Pe Zahir Hai Aap Ka Batin, Muh Na Khulwao Mein Sharabi Hon........! Book: Kuliyat e Saghar Page: 136  

Dil Mila Aur Gham Shanaas Mila Phool Ko Aag Ka Libaas Mila

Image
     Dil Mila Aur Gham Shanaas Mila Phool Ko Aag Ka Libaas Mila Har Shanawer Bhanwer Mein Dooba Tha Jo Sitara Mila Udaas Mila Maikade K Siwa Hamara Pata  Unki Zulfon K Aas Paas Mila Aab e Haiwaan Ki Badi Dhoom Thi "SAGHAR" Sada Pani Ka Ik Glass Mila Saghar Siddiqui  

Baarhaa Dekha Hai "SAGHAR" Rahguzar-e-Ishq Main Kawaan K Saath Aksar Rahnuma Hota Nahi

Image
     Baarhaa Dekha Hai "SAGHAR"   Rahguzar-e-Ishq Main Kawaan K Saath Aksar Rahnuma Hota Nahi Saghar Siddiqui   

Mujh Ko Ye Aarzoo Wo Uthain Naqab Khud, Un Ko Ye Intezaar Taqaza Kare Koi

Image
     Mujh Ko Ye Aarzoo Wo Uthain Naqab Khud,  Un Ko Ye Intezaar Taqaza Kare Koi  

Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat

Image
    Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat  Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat Muhtasib Hum Be-Gunahon Ko Na De Ilzaam e Mai Tishnagi Mein Aa Gai Honton Pe Maikhane Ki Baat Haan Abhi Bhooli Nahi Jor e Khizaan Ki Dastaan Ikhteyatan Hum Nahi Karte Bahaar Aane Ki Baat Ban Gai Hai Surkhi e Husn e Bahaar Javedaan Aa Gai Zulf e Mua'amber K Bikhar Jane Ki Baat Har Nafs Mein Shoula-Zan Hain Garmiyan Halaat K Zindagi Hai Inn Dinon Be-Mout Mar Jane Ki Baat Maikada Badla Hoa "SAGHAR" Shikasta Haal Hai Har Haqeeqat Ban Gai Hai Aaj Afsane Ki Baat Saghar Siddiqui

Na To Phool Khilte Hain Na Hi Mousam Badalte Hain

Image
    Na Tou Phool Khiltay Hain Na Hi Mousam Badaltay Hain Wahan Tou Kuch Nahi Hota Jahan Par Tum Nahi Hote Yahan Waise Tou Har Soghaat Aasaani Se Milti Hai Mera Bas Dil Nahi Lagta Jahan Par Tum Nahi Hote Yahan Tou Log Sadion Ko Bhi Lamhon Mein Badaltay Hain Mera Ik Pal Nahi Kat'ta Jahan Par Tum Nahi Hote Sabab Ronay Ka Woh Poochein Tou Qasid Itna Keh Dena Mujhe Hansna Nahi Aata Jahan Par Tum Nahi Hote

Nikle Sadaf Ki ASankh Se Moti Mare Hoe

Image
     

Teri Nazar Ke Isharon Se Khel Sakta Hon

Image
     

Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye

Image
     

Aisi Tajalian Hain Kahan Aaftab Main

Image
       

Hum Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Image
   

Kia Samann Tha Bahar Se Pehle

Image
     

Mout Ik Aabgeen Ka Saghar

Image
       

In Baharon Pe Gulistan Pe Hansi Aai Hy

Image
     

Muhabbat Ke Mazaron Tak Chalen Ge

Image
   

Chandni Shab Hy Sitaron Ki Ridaen Si Lo

Image
   

Aazadiyon K Naam Pe Ruswaiyan Milein

Image
   

Moj Dar Moj Kinaron Ko Saza Milti Hy

Image
   

Baat Phoolon Ki Suna Karte Thy

Image
   

Bargashta-e_Yazdan Se Kuch Bhool Hoi Hy

Image
   

Phoolon Ko Aag Lag Gai Naghmaat Jal Gaye

Image
   

Jo Hadesy Ye Jahan Mere Naam Karta Hy

Image
   

Preshan Aks-e-Hasti , Aaina Be-Noor Dekha Hy

Image
   

Mihfilen Lut Gain Jazbat Ne Dum Tor Diya

Image
   

Sukoot-e-Gham Se Jo Guzre Na Phir Mili Aawaz

Image
   

Wo Bulaen To Kia Tamasha Ho

Image
   

Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain

Image
     

Tadbeer Ka Kasa Hy Taqdeer Gadagar Hy

Image
   

Na Kashtiyon Ka Na Kinaron Ka Ihteram Karo

Image
   

Ay Husn LalaFam Zara Aankh To Mila

Image
   

Agr Bazm-e-Hasti Main Aorat Na Hoti

Image
 

Muhabbat Mustaqil Gham Hy

Image
     

فضائے نیم شبی کہہ رہی ہے سب اچھا ہماری بادہ کشی کہہ رہی ہے سب اچھا

فضائے نیم شبی کہہ رہی ہے سب اچھا ہماری بادہ کشی کہہ رہی ہے سب اچھا نہ اعتبارِ محبت، نہ اختیارِ وفا جُنوں کی تیز روی کہہ رہی ہے سب اچھا دیارِ ماہ میں تعمیر مَے کدے ہوں گے کہ دامنوں کی تہی کہہ رہی ہے سب اچھا قفس میں یُوں بھی تسلّی بہار نے دی ہے چٹک کے جیسے کلی کہہ رہی ہے سب اچھا وہ آشنائے حقیقت نہیں تو کیا غم ہے حدیثِ نامہ بَری کہہ رہی ہے سب اچھا تڑپ تڑپ کے شبِ ہجر کاٹنے والو نئی سحر کی گھڑی کہہ رہی ہے سب اچھا حیات و موت کی تفریق کی کریں ساغر ہماری شانِ خودی کہہ رہی سب اچھا

Rodad-e-Muhabbat Kia Kaheye Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

رُودادِ محبّت کیا کہیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے دو دِن کی مُسرّت کیا کہیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے جب جام دیا تھا ساقی نے جب دور چلا تھا محفل میں اِک ہوش کی ساعت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گیے اب وقت کے نازک ہونٹوں پر مجروح ترنّم رقصاں ہے بیدادِ مشیّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بُھول گئے احساس کے میخانے میں کہاں اَب فکر و نظر کی قندیلیں آلام کی شِدّت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے کُچھ حال کے اندھے ساتھی تھے کُچھ ماضی کے عیّار سجن احباب کی چاہت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے کانٹوں سے بھرا ہے دامنِ دِل شبنم سے سُلگتی ہیں پلکیں پُھولوں کی سخاوت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے اب اپنی حقیقت بھی ساغر بے ربط کہانی لگتی ہے   دُنیا کی کی حقیقت کیا کہئیے کُچھ یاد رہی کُچھ بھول گئے     ساغر صدیقی  

Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga

Panio Pe Ghata, Jaise Ban Mein Hawa Lyric

    ======= SONG ======= Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga Panio Pe Ghata, Jaise Ban Mein Hawa, Chand Chehre Se Chilman Sarkane Lage, Chand Jalane Laga Dil Machalne Lage, Aap Ne Kuch Kaha Hum Ko Aisa Laga, Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa, Aap Kion Dharkano Mein Dharkane Lage, Dil Ki Har Taar Se Kion Ulajhne Lage, Aap Ne Kuch Kaha Hum Ko Aisa Laga, Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa, Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga, Panion Pe Ghata Jaise Ban Mein Hawa, Aap Ko Dekh Kar Hum Ko Aisa Laga..............! ========= Movi Farz =========    

Is Shehr-E-Sang Dil Ko Jala Dena Chahiye

    Poet Muneer Niazi Is Shehr-E-Sang Dil Ko Jala Dena Chahiye, Phir Us Khak Ko Bhi Ura Dena ChahiYe, Milti Nahi Panah Humain Jis Zameen Par, Ek Hashar Is Zameen Pe Utha Dena ChahiYe, Had Se Guzar Gai Hai Yahan Rasm-E-Qahri, Us Dehr Ko Ab Is Ki Saza Dena Chahiye, Ek Teiz Ra'ad Jaisi Sadaa Har Makan Mein, Logon Ko Un K Ghar Mein Dara Dena Chahiye, Gum Ho Chale Ho Tum To Bahut Khud Mein, Aye Muneer Dunia Ko Kuch To Apna Pata Dena ChahiYe...............!   

Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi

    Poet Nasir Kazmi Type bY UJRRA_DIL Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi, Kuch Kaho Yaro Ye Basati He Keh Veerana Koi ? Subha Dam Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Taraf, Shama K Taboot Par Roya Na Parwana Koi, Khalwaton Mein Roye Gi Chhup Chhup K Laila-E-Ghazal, Is Bayaban Mein Na Ab Aaye Ga Deewana Koi, Ham Nasheen Khamosh Deewarein Bhi Sunati Hain Yahan, Raat Dhal Jaye To Phir Cherein Ge Afsana Koi........!    

Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai

Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai

    Poet Nasir Kazmi Type bY UJRRA_DIL Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai, Ajab He Raat Se Aankhon Ka Aalam, Ye Dariya Raat Bhar Charrhta Raha He, Suna He Raat Bhar Barsa He Badal, Mgar Wo Shehar Jo Payasa Raha He, Wo Koi Dost Tha Achhe Dinon Ka, Jo Pichhli Raat Se Yad Aa Raha He, Kise Dhondo Ge In Galiyon Mein NASIR ? Chalo Ab Ghar Chalein Din Ja Raha He..........!    

Dard Kam Hone Laga
Aao Keh Kuch Rat Kate

    Poet Nasir Kazmi Type bY UJRRA_DIL Dard Kam Hone Laga, Aao Keh Kuch Rat Kate, Gham Ki Meyad Barha Jao, Keh Kuch Rat Kate, HIJAR Mein Aah-O-Buka Risam-E-Kehan He Lekin, Aaj Ye Risam Hi Duhrao Keh Kuch Rat Kate, Youn To Tum Roshni-E-Qalab-O-Nazar Ho Lekin, Aaj Wo Muajiza Dikhlao Keh, Kuch Rat Kate, Dil Dukhata He Wo Mil Kar Bhi Mgar Aaj Ki Rat, Usi Be Dard Ko Le Aao Keh Kuch Rat Kate, Dam Ghuta Jata He Afsrida Dili Se Yaro, Koi Ufwah Hi Phelaon Keh, Kuch Rat Kate, Main Bhi Bekar Hon, Aur Tum Bhi Ho Veeran Bahot, Dosto Aaj Na Ghar Jao Keh, Kuch Rat Kate, Chhorr Aaye Ho Sar-E-Sham Use Kyoun NASIR ? Use Phir Ghar Se Bulao K Kuch Rat Kate.........* . Book Deewan Page 102    

Dil Ki Kashti Nazar Se Chalti Hai

Zindagi Kis Hunar Se Chalti Hai

  Poet Abdul Hameed Addam   Dil Ki Kashti Nazar Se Chalti Hai Zindagi Kis Hunar Se Chalti Hai Jis Ko Kehte Hain Maye Kade Ki Hawa, Wo To Saqi Udhar Se Chalti Hai, Subha Bhi Log Pee Hi Lete Hain, Sham Ki Rao Sahar Se Chalti Hai, Mujh Ko Zahid K Han Na Le Jao, Meri Is Khaira Sar Se Chalti Hai, Jhoom Uthta Hai No Jawaan Mosam, Jab Koi Naar Ghar Se Chalti Hai..................! Page 158