ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main
ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main mujawaran-e-hawas tang hain ki yon kaise baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hon main safar shuro to hone de apne sath mera tu Khud kahega ye kaisi bala ke sath hon main main chhu gaya to tera rang kaat dalunga so apne aap se tujh ko bacha ke sath hon main durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq Khud apni hamd Khud apni sana ke sath hon main yahi to farq hai mere aur un ke hal ke biich shikayatein hain unhein aur raza ke sath hon main main awwaleen ki izzat mein aakhireen ka nor wo intiha hon ki har ibtida ke sath hon main dikhai don bhi to kaise sunai don bhi to kyun wara-e-naqsh-o-nawa hon fana ke sath hon main ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hon main ye sabireen-e-mohabbat ye kashifeen-e-junon inhi ke sang inhin auliya ke sath hon main kisi ke sath nahin hon magar jamal-e-ilaha teri qism tere har mubtala ke sath hon main zamane bhar ko pa