Posts

Showing posts from April, 2017

Muhabbat cheez aesi hy kbhi hoti hy apno se kbhi hoti hy sapno se kbhi anjan rahon se

Image
Muhabbat cheez aesi hy kbhi hoti hy apno se kbhi hoti hy sapno se kbhi anjan rahon se kbhi gumnaam naamo se kbhi hoti hy phoolon se kbhi bachpan k jhoolon se kbhi bey ikhteyari me kbhi apne usoolon se Muhabbat ek sadaqat hy Muhabbat ek ibadat hy Muhabbat cheez aesi hy dukhon me rol deti hy dard anmol deti hy hanste bste jeewan me Zehr ye ghol deti hy Muhabbat hy aziyet bhi mgr phr bhi muhabbat hy

Ye Taluk bhi bohat khoob raha hai kuch din Tu meray naam se mansoob raha hai kuch din

Image
Ye Taluk bhi bohat khoob raha hai kuch din Tu meray naam se mansoob raha hai kuch din Aankh ro ro ke teri rah taka krti thi Dil teri yaad se maghloob raha hai kuch din Teri tasbeeh bana kar tujhe socha karna Mashghala ye mera marghoob raha hai kuch din Shayad iss baat ka matlab main samajh na paon Kion mera dil tujhe matloob raha hai kuch din Barish sang se pehly ye zara soch tou lia hota Tera MOHSIN , tera mahboob raha hai kuch

Koi romance na reha zindagi mein Koi fasana na reha zindagi mein

Image
Ao ik kahani chor jaen.......... My latest 29 April 29, 2017 Koi romance na reha zindagi mein Koi fasana na reha zindagi mein Kaisa ye waqt agea hae dosto Kea, yehi zindagi hae dosto Wo baharein, wo mosam, wo nadya kinarey Wo sab yaadein tumhari or hamari Wo sab pal hamarey or tumharey Wo koyal ke koonj Wo chiryon ka chehchahana Ab zindagi mein kahan Ao in sab lamhon ko In sab yaadon ko Samaet lein, or phir, iss kahani ko Lazawaal kahani bana dein Hamari or tumhari kahani Or zamaney mein apni kahani Chor jaen, ik aisey kahani Jo sab ko yaad rahey Ao ik kahani chor jaen Farquleet Mahmood

Bs kr Mian Muhammad Bakhshaa mor qalam da ghora Sari umar dukh nahe mukne varqa reh gaya thora

Image
بس کر میاں محمد بخشا ، موڑ قلم دا گھوڑا ساری عمر دُکھ نئیں مُکنے ، ورقہ رہ گیا تھوڑا۔ میاں محمد بخش Bs kr Mian Muhammad Bakhshaa mor qlam da ghora Sari umar dukh nahe mukne varqa reh gaya thora Mian Muhammad Bakhsh

Uss Shaja Par Bahaar Kiya Aaye Jis Ki Shakhon Ko Tum Ne Kaat Diya

Image
Uss Shaja Par Bahaar Kiya Aaye Jis Ki Shakhon Ko Tum Ne Kaat Diya

Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi

Image
Chaman Chaman Fareeb_E_ Rang O Bo Hai Aur Kuch Nahi Bas Ik Jamal-E-Khaam Chaar Sou Hai Aur Kuch Nahi Qafas Mein Aashiyaan Ka Naam Sun Ke Mutmaen Na Ho Yeh Baghban Ka Husn-E-Guftagu Hai Aur Kuch Nahi Khumar Hai Kahan Ke Dil Ki Tashnagi Bujhaiye Is Anjuman Mein Saya-E-Subu Hai Aur Kuch Nahi Tumhen Gulon Ki Be Basi Mein Husn Ki Talaash Hai Yeh Justojoo Baraye Justojoo Hai Aur Kuch Nahi Khatak Rahi Hai Jo Abhi Zamir-E-Kaayenaat Mein Luti Hui Bashar Ki Aabaroo Hai Aur Kuch Nahi Qateel Shifai

Apni Dhun Mein Rehta Hon Main Bhi Tere Jaisa Hon

Image
اپنی دھن میں رہتا ہوں میں بھی تیرے جیسا ہوں Apni Dhun Mein Rehta Hon Main Bhi Tere Jaisa Hon अपनी धुन में रहता हूँ मैं भी तेरे जैसा हूँ او پچھلی رت کے ساتھی اب کے برس میں تنہا ہوں O Pichli Raat Ke Saathi Ab Ke Bars Main Tanha Hon ओ पिछली रुत के साथी अब के बरस मैं तन्हा हूँ تیری گلی میں سارا دن دکھ کے کنکر چنتا ہوں Teri Gali Mein Saara Din Dukh Ke Kankar Chunta Hon तेरी गली में सारा दिन दुख के कंकर चुनता हूँ مجھ سے آنکھ ملائے کون میں تیرا آئینہ ہوں Mujh Se Aankh Milai Kon Main Tera Aaina Hon मुझ से आँख मिलाए कौन मैं तेरा आईना हूँ میرا دیا جلائے کون میں ترا خالی کمرہ ہوں Mera Diya Jalai Kon Main Tera Khali Kamra Hon मेरा दिया जलाए कौन मैं तेरा ख़ाली कमरा हूँ تیرے سوا مجھے پہنے کون میں ترے تن کا کپڑا ہوں Tere Siwa Mujhe Pehny Kon Main Tere Tan Ka Kapda Hon तेरे सिवा मुझे पहने कौन मैं तेरे तन का कपड़ा हूँ تو جیون کی بھری گلی میں جنگل کا رستہ ہوں Tuu Jeewan Ki Bhari Gali Main Jungal Ka Rasta Hon तू जीवन की भरी गली मैं जंगल का रस्ता हूँ آتی رت مجھے روئے گی جاتی رت کا جھونکا ہوں Aai Rut...

YAAD Phoolon Ki Pankhrrion Par Shabnam Ke Qatre Malha Motiyon Ki Jod Rahe The

Image
***///*** نثری نظم "" یاد "" ***//*** پھولوں کی پنکھڑیوں پر شبنم کے قطرے مالھا موتیوں کی جوڑ رہے تھے اور ہوا کے مست جھونکے اُنھی پھولوں کا مہکتا رس لئے جب گلی گلی دوڑ رہے تھے اس سمے میں نے تمہیں بہت یاد کیا // **//** شیخ اسلم آزاد Nasri Nazam YAAD Phoolon Ki Pankhrrion Par Shabnam Ke Qatre Malha Motiyon Ki Jod Rahe The Aur Hawa Ke Mast Jhonkay Unhi Phoolon Ka Mehkta Ras Liye Jab Gali Gali Dod Rahe The Us Samey Main Ne Tumhein YAAD Kia Sheikh Aslam Azad

jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain

Image
jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain jab dil ke shoreeda samandar mein aawazen marne lagti hain Jab mausam haath nahi aatay jab titli baat nahi karti jab zinda rehna ik be-ma'ani kaam dekhai deta hai jan aane wala har lamha dashnaam dekhai deta hai jab yaad ke gehre san'natay mein chehre gum ho jate hain jab dard se bujhal aankhon mein gardaab se padne lagtay hain jab shammain gol ho jati hain  jab khuwaab bikharne lagtay hain USS WAQT AGAR TUM AA JAO...........!!!!

Aao baarish se tu poochain

Image
Aao baarish se tu poochain Kiya iss se bhi wada kar kay chorr gaya hai koi isko Kiya isko bhi neend nahi aati barson se Kia isko bhi phoolon se shikwa hai Iske saath bhi khel hawaon ne khela hai Dhuan dhuan sa iska chehra kion hai akhir? Bheegi bheegi iski palkein kis ne kar dein? Aao baarish se ye poochain

Ranj-o-alam ke dhol baja kar Chha'hat ke kashkol utha kar Dar dar phirna theek nahin hai Suno !! muhabbat bheer nahin hai

Image
Ranj-o-alam ke dhol baja kar Chha'hat ke kashkol utha kar Dar dar phirna theek nahin hai Suno !! muhabbat bheer nahin hai

Jab zara tez hava hoti hai kaisi sunsan faza hoti hai

Image
A FLOWER WITHERS Twas a day or two ago or was it three when the bright little purple flower bloomed In all its glory and the birds and the bees and the butterflies danced around it as if in a trance the sun shone white and bright and brighter and warmer and hotter till the bright little purple flower dwindled, collapsed and died ‘cause it could bear it no more but not before as if as a part of its divine duty bequeathed a bunch of seeds from its bosom to the hot air blowing over its dying body delivered into the arms of mother earth some other place some other land and the bright little purple flower would rise again like a phoenix Circle of life Pradeep Mathur Jab zara tez hava hoti hai kaisi sunsan faza hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaTe bhi jab har ik saans sada hoti hai munh-andhere kabhi uTh kar dekho kya tar o taaza hava hoti hai Gham ke be-nur guzargahon mein ik kiran zauq-faza hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-maht...

Tujhe yad hai meri koi baat koi aik baat Tu ne jo bhi mujh se kaha tha woh mujhe yaad hai

Image
Tujhe yad hai meri koi baat koi aik baat Tu ne jo bhi mujh se kaha tha woh mujhe yaad hai Farzana Naz (The young Poetess died yesterday after falling from a 12 feet high stage  while participating in a Literature Festival in Islamabad.)

Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai

Image
Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bechhadtay Dekha Aaj Phir Yaad Koi Chhot Purani Aai Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu Muddaton Baad Hamein Baat Banani Aai Muddaton Baad Pasheman Hoa Dariya Hum Se Muddaton Baad Hamein Piyaas Chhupani Aai Muddaton Baad Khuli Wus'at-e-Sahra Hum Par Muddaton Baad Hamein Khaak Udani Aai Muddaton Baad Muyassar Hoa Maan Ka Anchal Muddaton Baad Hamein Neend Suhani Aai Itni Aasani Se Milti Nahi Fan Ki Daulat Dhal Gai Umar Tou Ghazlon Pe Jawaani Aai

Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha

Image
اک کہانی سبھی نے سنائی مگر ، چاند خاموش تھا اس کی آواز کا منتظر تھا مگر ، چاند خاموش تھا کون تھا جس کی آہوں کے غم میں ہوا سرد تھی شہر کی کس کی ویران آنکھوں کا لے کے اثر، چاند خاموش تھا وہ جو سہتا رہا رت جگوں کی سزا چاند کی چاہ میں مرگیا تو نوحہ کناں تھے شجر، چاند خاموش تھا اس سے مل کے میں یوں خامشی اور آواز میں قید تھا اک صدا تو مرے ساتھ تھی ہم سفر ، چاند خاموش تھا کل کہیں پھر خدا کی زمیں پر کوئی سانحہ ہوگیا میں نے کل رات جب بھی اٹھائی نظر ، چاند خاموش تھا فرحت عباس شاہ Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha Kon Tha Jiski Aahon Ke Gham Mein Hawa Sard Thi Shehar Ki Kis Ki Weeraan Aankhon Ka Le Ke Asa  Chaand Khamosh Tha Wo Jo Sehta Raha Rutjagon Ki Saza Chaand Ki Chhah Mein Mar Gaya Tou Noha-Kana'an Thay Shajar Chaand Khamosh Tha Us Se Mil Ke Main Yun Khamshi Aur Aawaaz Mein Qaid Tha Ik Sada Tou Mere Saath Thi Humsafar , Chaand Khamosh Tha Kal Kahein Phir Khuda Ki Zameen Par Koi Sanha ...

Badi Tabdelian Laye Hain Apne Aap Mein Lekin Tumhein Bas Yaad Karne Ki Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai

Image
Badi Tabdelian Laye Hain Apne Aap Mein Lekin Tumhein Bas Yaad Karne Ki Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai

Chhala jata hon hansta khelta moj-e-hawadis se Agar aasani'yan hon zindagi dushwar ho ja'ai

Image
Chhala jata hon hansta khelta moj-e-hawadis se Agar aasani'yan hon zindagi dushwar ho ja'ai

Haath mere bhool baithe dastakein dene ka fann Band mujh par jab se uss ke ghar ka darwaaza hua

Image
Haath mere bhool baithe dastakein dene ka fann Band mujh par jab se uss ke ghar ka darwaaza hua

Kabhi Asha'ar Lekh Lekh Kar Tabia'at Hi Nahi Bharti Kabhi Bas Aik Misray Ki Musafat Maar Deti Hai

Image
ﮐﺒﮭﯽ ﺍﺷﻌﺎﺭ لکھ لکھ ﮐﺮ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﮭﺮﺗﯽ ﮐﺒﮭﯽ ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﻣﺼﺮﻋﮯ ﮐﯽ ﻣﺴﺎﻓﺖ ﻣﺎﺭ ﺩﯾﺘﯽ ﮨﮯ Kabhi Asha'ar Lekh Lekh Kar Tabia'at Hi Nahi Bharti Kabhi Bas Aik Misray Ki Musafat Maar Deti Hai

JIN KI ZULFON K AAP GHAAIL HAIN UN K APNAY BARAY MASAAIL HAIN

Image
جن کی زلفوں کے آپ گھائل ہیں ان کے اپنے بڑے مسائل ہیں JIN KI ZULFON K AAP GHAAIL HAIN UN K APNAY BARAY MASAAIL HAIN

Khaab lafzon mein dhal nahi sakty Kash ankhein parha kary koi

Image
Khaab lafzon mein dhal nahi sakty Kash ankhein parha kary koi

jis musawir ki nahi bikti koi bhi tasweer Teri tasweer bnaaye ga to chaa jaye ga

Image
ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮫ ، ﺧُﻮﺩ ﮐﻮ ﻣِﭩﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﻋﺠﺰ ﻣِﻼﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ . ﺍﭼﮭﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﭘُﺠﺎﺭﯼ ﮬﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﮐﮯ ﻟﻮﮒ ﺗُﻮ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﮬﻢ ﻗﯿﺎﻣﺖ ﺑﮭﯽ ﺍُﭨﮭﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ ﺗﻮ ﮬﻮﮔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺗُﻮ ﻓﻘﻂ ﺁﻧﮑﮫ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﭘﮭُﻮﻝ ﺗﻮ ﭘﮭُﻮﻝ ﮬﯿﮟ ، ﻭﮦ ﺷﺨﺺ ﺍﮔﺮ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺑﮭﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﯾُﻮﮞ ﺗﻮ ﮬﺮ ﺭﻧﮓ ﮬﯽ ﺳﺠﺘﺎ ﮬﮯ ﺑﺮﺍﺑﺮ ﺗﺠﮫ ﭘﺮ ﺳُﺮﺥ ﭘﻮﺷﺎﮎ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﭘﻨﮑﮭﮍﯼ ﮬﻮﻧﭧ ، ﻣﺪﮬﺮ ﻟﮩﺠﮧ ﺍﻭﺭ ﺁﻭﺍﺯ ﺍُﺩﺍﺱ ﯾﺎﺭ ! ﺗُﻮ ﺷﻌﺮ ﺳُﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺟﺲ ﻣﺼﻮﺭ ﮐﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑِﮑﺘﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺗﯿﺮﯼ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ رحمان فارس yad rakh , khud ko mitaye ga to chaa jaye ga ishq main ijz milaye ga to chaa jaye ga achi aankhon ke pujari hain mere shehar ke log Tuu mere shehr main aaye ga to chaa jaye ga hum qayamat bhi uthaaein gay to ho ga nahi kuch Tuu faqat aankh uthaaye ga to chaa jaye ga phool to phool hain , wo shakhs agar kante bhi apne balon main sajaye ga to chaa jaye ga yun to har rang hi sajtaa hai barabar tu...

Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Mein MOHSIN Main Apne Ghar Se Kahein Bhi Nahi Gaya Barson

Image
تمہارے ہاتھ کی دستک کی آس میں محسن میں اپنے گھر سے کہیں بھی نہیں گیا برسوں * Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Mein MOHSIN ** * Main Apne Ghar Se Kahein Bhi Nahi Gaya Barson **

Aagayi yaad sham dhaltay hi Bujh gia dil chiragh jaltay hi

Image
آگئی یاد شام ڈھلتے ھی بجھ گیا دِل چراغ جلتے ھی کُھل گئے شہرِ غم کے دروازے اِک ذرا سی ھوا کے چلتے ھی کون تھا تُو کہ پھر نہ دیکھا تُجھے ؟؟ مِٹ گیا خواب آنکھ ملتے ھی خوف آتا ھے اپنے ھی گھر سے ماہِ شب تاب کے نکلتے ھی تُو بھی جیسے بدل سا جاتا ھے عکسِ دیوار کے بدلتے ھی خون سا لگ گیا ھے ھاتھوں میں چڑھ گیا زھر ، گل مسلتے ھی منیر نیازی ماہِ منیر سے انتخاب Aagayi yaad sham dhaltay hi Bujh gia dil chiragh jaltay hi Khul gaye shaher-e-gham ke derwazay Aik zara se hawa ke chaltay hi Kon tha tu keh phir na daikha tujhay ? Mit gaya khuwaab ankh maltay hi Khoof aata hai apnay hi ghar se Mah-e-shab-e-taab ke nikaltay hi Tuu bhi jaisa badal sa jata hai Aks deewar ke badaltay hi Khoon sa lag gia hai hathon mein Charh gia zahr , gul masaltay hi Muneer Niazi

Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain

Image
ﺟﺐ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ  ﮈﺭ ﮐﮯ ﮨﻢ ﺑﮭﯿﮍ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﭘﯿﮍ ﺳﮯ ﺟﺐ ﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﭘﮭﻞ ﮔِﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﺮ ﺩَﺭﺩ ﮐﮯ ﺍﻧﺒﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﺱ ﺳﻔﺮ ﭘﺮ ﺟﻮ ﭼﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺗﻮ ﯾﮩﯽ ﺟﺎﻧﺎ ﮨﮯ ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺁﺯﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﻻﮐﮫ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﮐﻢ ﻧﮧ ﮨﻮﺋﯽ ﻭﺣﺸﺖِ ﺩﻝ ﺍِﺱ ﻟﯿﮯ ﺳﯿﻨﺌﮧ ﻏﻤﺨﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﮨﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﻋﺪﺍﻭﺕ ﮐﻮ ﭘﺮﮐﮫ ﻟﯿﮟ ﺍﺏ ﮐﮯ ﯾﻌﻨﯽ ﺩﺷﻤﻦ ﮐﮯ ﮔﻠﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺟﺐ ﯾﻘﯿﮟ ﮨﻮ ﮐﮧ ﻣُﻘّﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻣﻨﺰﻝ  ﺩﻭ ﻗﺪﻡ ﺭﺳﺘﮯ ﺑﮭﯽ ﺩﺷﻮﺍﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﺎﺵ ﻣﺮﮨﻢ ﮨﻤﯿﮟ ﻣِﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﺳﮯ ﺍُﻥ ﮐﺎ ﺯﺧﻢ ﺟﻮ ﺍﭘﻨﻮﮞ ﮐﯽ ﮔﻔﺘﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍُﺱ ﮐﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﮐﻮ ﺳﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﻟﮕﺎ ﮐﺮ ﻣَﺸﻌﻞ    ﮨﻢ ﺗَﺨّﯿﻞ ﻣﯿﮟ ﮔﻠﮯ ﯾﺎﺭ ﺳﮯ ﻟﮓ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ   ﻏﺰﺍﻟﮧ ﻣَﺸﻌﻞ Jab Teri Yaad Ke Bazaar Se Lag Jate Hain Dar Ke Hum Bheerr Mein Deewaar Se Lag Jate Hain Hijar Ke Pairr Se Jab Yaad Ka Phal Girta Hai Dil Mein Phir Dard Ke Anbaar Se Lag Jate Hain Is Safar Mein Jo Chalay Hain Toh Yahi Jana Hai Ishq Mein Hijar Ke Aazaar Se Lag Jate Hain Laakh Chaha Hai Magar Kam Na Hoi We...

Main Waqt Ki Dahleez Pe Tehra Hoa Pal Hon Qayaam Hai Meri Shaan Keh Main Taj Mahal Hon

Image
Main Waqt Ki Dahleez Pe Tehra Hoa Pal Hon Qayaam Hai Meri Shaan Keh Main Taj Mahal Hon

Patton ki tarah mujh ko bakhairta tha zamana Ik shakhs ne yakja kiya aur aag laga di

Image
Patton ki tarah mujh ko bakhairta tha zamana Ik shakhs ne yakja kiya aur aag laga di

Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon

Image
Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon Ana ka main nahi qaael,muhabbat hai mujhe sab se Jo dil mein bughaz rakhtay hain,main un apnon se darta hon Mujhe toh neend bhi achhi nahi lagti haqeeqat mein Dekhaen khuwaab jo jhotay,main un neendon se darta hon Mujhe ihsaas hai sab ka,main sab ke kaam aata hon Magar jo keena rakhtay hain,main un reshton se dartas hon Main banda hon ALLAH ka,aor ALLAH ka khouf hai mujh mein Jo dartay hi nahi rab se,main un bandon se darta hon

Meri umar bhar ki musaftain mujhe aik pal na thaka sakein Teri ik nazar ki be-rukhi se main zara zara bikhar gaya

Image
Meri umar bhar ki musaftain mujhe aik pal na thaka sakein Teri ik nazar ki be-rukhi se main zara zara bikhar gaya

Maa'n ki tareef mukhtasar yoo'n hai Ye mohabbat hai mar nahi sakti

Image
Maa'n ki tareef mukhtasar yoo'n hai Ye mohabbat hai mar nahi sakti

Jeene waley qaza se darte hain Zehar pee kar dawaa se darte hain

Image
Jeene waley qaza se darte hain Zehar pee kar dawaa se darte hain Azm-o-himmat ke baawajood SHAKIL Ishq ki ibtidaa se darte hain Shakil Badayuni

Mere ghar ke tamam darwaze Tum se karte hain pyar aa jao

Image
Mere ghar ke tamam darwaze Tum se karte hain pyar aa jao Anwar Shuoor

Zindagi TOu Kab Talak Dar Dar Phiraye Gi Hamein TOotaa PhOotaa Hi Sahi Ghar Baar HOna Chahiye

Image
"×,,×" Zindagi TOu Kab Talak Dar Dar Phiraye Gi Hamein ___> "×,,×" TOotaa PhOotaa Hi Sahi Ghar Baar HOna Chahiye ___>

Wo rukh-e-rangee pe Anwar-e-muhabbat zard zard Wo Lab-e-nazukk par toofan-e-shrar mere liye

Image
Wo rukh-e-rangee pe Anwar-e-muhabbat zard zard Wo Lab-e-nazukk par toofan-e-shrar mere liye

Pakhpala Pa Tyaro Ke Qadamona Gdo Khu Noro Ta Bal Shawi Mashaalona Gdo

Image
پخپلہ پہ تیارو کی قدمو نہ گدو خو نورو تہ بل شوی مشالو نہ گدو او مونگ تہ چی پہ تشہ خولہ سوک وخاندی مونگ ورتہ د مینی نہ خپل زڑونہ گدو Pakhpala Pa Tyaro Ke Qadamona Gdo Khu Noro Ta Bal Shawi Mashaalona Gdo Ao Mung Ta Che Pa Tasha Khula Sok Okhandi Mung Warta Da Meeny Na Khpal Zrrona Gdo

Tere Chehre Ke Naqsh Aise Hain Aankh Uthata Hon Bhtak Jata Hon

Image
تیرے چہرے کے نقش ایسے ہیں آنکھ اٹھاتا ہوں بہٹک جاتا ہوں Tere Chehre Ke Naqsh Aise Hain Aankh Uthata Hon Bhtak Jata Hon

Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Image
Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Haan Zamane Ki Nahi Apni Tou Sun Sakta Tha Kaash Khud Ko Hi Kabhi Baith Ke Samjhata Main

Image
ہاں زمانے کی نہیں اپنی تو سن سکتا تھا کاش خود کو ہی کبھی بیٹھ کے سمجھا تا میں Haan Zamane Ki Nahi Apni Tou Sun Sakta Tha Kaash Khud Ko Hi Kabhi Baith Ke Samjhata Main

Naway Jargay,Nawey Aain,Naway Nizam Pakar Dy Qaam Mi Gharkegi Nor Mi Fikar Da De Qaam Pakaar Dy

Image
Naway Jargay,Nawey Aain,Naway Nizam Pakar Dy Qaam Mi Gharkegi Nor Mi Fikar Da De Qaam Pakaar Dy Zarre Qissay Zarra Dodona Afsanay Pregdawai Da Nawi Wakht Sara Da Tagg Yao Naway Gaam Pakaar Day Butt-Parasti Mo Na Pakhuwa Wa Na Mo Nan Dastor Day Be Da Buttano , Pukhtano La Os Na-Kaam Pakaar Day Masharan Hagha Ba Tako Che Pa Maidaan Walar Vi Da Takhtedunko , Yaredunko Masharano Na Amaan Pakaar Day Farooq Da Hoti

Rahe Hain Naqsh Mere Chashm-O-Dil Par Yoon Teri Soorat Musawwir Ki Nazar Mein Jis Tarah Tasweer Phirti Hai

Image
Rahe Hain Naqsh Mere Chashm-O-Dil Par Yoon Teri Soorat Musawwir Ki Nazar Mein Jis Tarah Tasweer Phirti Hai

Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Image
Ek patthar ki bhi taqdeer sanwar sakti hai Shart ye hai ki saleeqe se tarasha jaye

Woh samundar hai to phir rooh ko shadaab kare Tishnagi kyon mujhe deta hai saraabon ki tarha

Image
Woh samundar hai to phir rooh ko shadaab kare Tishnagi kyon mujhe deta hai saraabon ki tarha Hijr ki shab meri tanhai pe dastak degi Teri khushboo mere khoye hue khuwaabon ki tarha parveen shakir

"Yeh hadain na tor dena mere daire main rehna Mujhe apne dil main rakhna mere hafze main rehna

Image
یہ حدیں نہ توڑ دینا ، میرے دائرے میں رہنا مجھے اپنے دل میں رکھنا ، میرے حافظے میں رہنا میرا بوجھ خود اٹھانا ، میرا کرب آپ سہنا میرے زخم بانٹ لینا ، میرے رتجگے میں رہنا میرے حکم خود سننا ، میری مہر خود لگانا میرے مشورے میں ہونا ، میرے فیصلے میں رہنا میرے منظروں میں بسنا ، میری گفتگو میں ہونا میرے لمس میں سمانا ، میرے ذائقے میں رہنا کبھی دھوپ کہ نگر میں میرا ساتھ چھوڑ جانا کبھی میرا عکس بن کر میرے آئینے میں رہنا کبھی منزلوں کی صورت میری دسترس سے باہر کبھی سنگ میل بن کر میرے راستے میں رہنا میرے ہاتھ کی لکیریں ترا نام بن کے چمکیں میری خواہشوں کی خوشبو ، میرے زائچے میں رہنا Romanized version for our members who cannot read the Urdu script "Yeh hadain na tor dena mere daire main rehna Mujhe apne dil main rakhna mere hafze main rehna Mera bojh khud uthana mera kurb ap sehna Mere zakhm bant lena mere ratjage main rehna Mera hukam khud sunana meri mohar khud lagana Mere mashware mein hona mere faislay main rehna Meri manziron mein basna meri gufta...

ik ta'aluq ko bikharnay se bachane ke liye mere din raat guzarte hain adakari main

Image
ﺍﮎ ﺗﻌﻠﻖ ﮐﻮ ﺑﮑﮭﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﭽﺎﻧﮯ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﻥ ﺭﺍﺕ ﮔﺰﺭﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﺩﺍﮐﺎﺭﯼ ﻣﯿﮟ ﺛﻨﺎﺀﺍﻟﻠﮧ ﻇﮩﯿﺮ ik ta'aluq ko bikharnay se bachane ke liye mere din raat guzarte hain adakari main Sanaullah Zaheer

Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay...! Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay

Image
Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay...! Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay...! Subah Ki Dhoop Utar Ayee Mere Baalon Mein...! Shabb Dhali Hai K eh Meri Umr Dhali Hai Ab Kay...! Kaya Kahoon Kitnay Bahaano'n Se Bhulaya Hai Ussay...! Yeh Qayamat Barri Mushkil Se Talli Hai Ab Kay...! Ya Meri Aankh Ke Kashkol Mein Aanso Chamka...! Ya Andheray Mein Koi Shama' Jalli Hai Ab Kay...! Sehan-E-Gulshan Ki Hawa Hai Keh Qaz'a Ki Dastak...! Kitni Sehmi Hoi Ek Aik Kali Hai Ab Kay...! Kis Ko Fursat Hai Dhu'waan Dekhnay Jaaye Mohsin ...! Jhonpri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Kay...! Mohsin Naqvi

Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha

Image
Kal Raat Bazm Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha Khushboo Se Uss ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha Daikha Ussay To Bol Parray Uss Ke Khad-o-Khaal Poocha Ussay T o Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha Tunhaaiyon Ki Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayen Woh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha Socha Ussay To Main Kae Rangon mein Kho Gaya Aalam Tamaam Uss Ke Haseen Payr'han Saa Tha Jo Shaakh Shaakh Thi woh Ussi Ke Laboon Si Thi Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Ke Dehan Saa Tha Woh Saadgi Pehan Ke Bhi Dil Mein Utar Gaya Uss Ki Har Ik Ada Mein Ajab Bhol'pan Sa Tha Aasaan Samajh Rahay Thay Ussay Shehar-e-Jaan Ke Log Mushkil Tha Iss Qadar Keh Mere Apnay Fun Sa Tha wo guftagoo thi uss ki ussi ke liye hi thi! kehnay ko youn tu main bhi shareek-e-sukhan saa tha taaray thay chandni mein keh tohmat ke daagh thay Mohsin kal aasmaan bhi mere kafan sa tha

Hai Tera Gaal Maal Bose Ka Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka

Image
Hai Tera Gaal Maal Bose Ka Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka Munh Lagate Hi Hont Par Tere Pad Gaya Naqsh Laal Bose Ka Zulf Kehti Hai Us Ke Mukhde Par Ham Ne Maara Hai Jaal Bose Ka Subah Rukhsaar Us Ke Neele Thy Shab Jo Guzra Khayaal Bose Ka Ankhiyaan Surkh Ho Gaeen Chat Se Dekh Leeje Kamaal Bose Ka Jaan Nikle Hai Aor Miyan De Daal Aaj Wada Na Taal Bose Ka Galiyaan Aap Shauq Se Deeje Rafa Keeje Malaal Bose Ka Hai Ye Taaza Shagufa Aur Suno Phool Laya Nihaal Bose Ka Aks Se Aaine Mein Kehta Hai Khench Kar Infial Bose Ka Barg-e-Gul Se Jo Cheez Nazuk Hai Waan Kahan Ehtemaal Bose Ka Dekh Insha Ne Kia Kiya Hai Qahr Mutahammil Ye Gaal Bose Ka Insha Khan Insha

Doston Ki Mehfilon Se Door Ham Hote Gae Jaise Jaise Silwaten Padti Gaeen Poshaak Par

Image
Doston Ki Mehfilon Se Door Ham Hote Gae Jaise Jaise Silwaten Padti Gaeen Poshaak Par Makhmali Honton Pe Boson Ki Nami Thehri Hoi Saans Uljhi Zulf Bikhri Silwaten Poshaak Par

Jaam Takrao! Waqt Nazuk Hai Rang Chhalkao! Waqt Nazuk Hai

Image
Jaam Takrao! Waqt Nazuk Hai Rang Chhalkao! Waqt Nazuk Hai Hasraton Ki Haseen Qabron Par Phool Barsao! Waqt Nazuk Hai Ik Faraib Aor Zindagi Ke Liye Haath Phailao! Waqt Nazuk Hai Rang Udne Laga Hai Phoolon Ka Ab Toh Ajao! Waqt Nazuk Hai Tishnagi Tishnagi Are Tauba Zulf Lehrao! Waqt Nazuk Hai Bazm-e-Saghar Hai Gosh-Bar-Awaaz Kuchh Toh Farmao! Waqt Nazuk Hai

Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr

Image
Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr Mery Khaal-O-Khadd Nuqosh Thy Ussi Chaak Pr Mery Kozah Gr Tery Baad Koozah-Farosh Ne Mujhy Taaqchy Main Saja Diya Jahaan Toot Jaany Ka Khauf Tha Mujhy Raat Bhr, Mery Kozah Gr Teri Kaar-Gaah Ki Khamshi Mujhy Na-Tamaam Na Chor De Tu Dawaam Hoty Sukot Main Koi Baat Kr Mery Kozah Gr Kahin Yun Na Ho Tery Bad Main Yunhi Khak Pr He Para Rahun Mery Sony Naqsh-O-Nigar Main Koi Rang Bhr, Mery Kozah Gr Jo Zurof Khana Badosh Thy Mujhy Kozah-Gaah Main Daikh Kr Sabhi Hairaton Main Chaly Gaye Mujhy Chor Kr, Meri Koozah Gr Abhi Aag Se Meri Guftagu Ko Tamaam Hony Main Waqt Hay Main Hanooz Nam Hun Kahin Kahin Zara Dair Kr, Mery Kozah Gr Mujhy Shakl De K Durod Parh Mery Saath Ism-E-Wujod Parh Kisi Sub'h Awwaleen Waqt Main Mujhy Naqsh Kr, Mery Kozah Gr