Posts

Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira

  Poet:Anwar Masood Type By *.__NOMI__.*  Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira Bili To Yonhi Muft Main Badnaam Hoi Hai Thaily Main To Kuch Aur Tha Samaan Waghaira Be-Hers-O-Gharaz Farz Adaa Kijiye Apna Jis Tarha Karti Hai Police Chaalaan Waghaira Ab Hosh Nahi Koi K Baadaam Kahan Hai Ab Apni Hatheli Pe Hai Dandaan Waghaira Kis Naaz Se Wo Nazm Ko Keh Dety Hain Nesri Jab Us K Khata Hoty Hain Ausaan Waghaira Jamhoriyat Ek Tarz-e-Hakomat Hai K Jis Main Ghoroon Ki Tarha Bikty Hain Insaan Waghaira Har Shart Ki Bushart Bana Daali Hai "ANWAR"   ********** NOMI **********  

Raaz Dil Ka Bata K Pachhtaye Un Ki Baaton Main Aa K Pachhtaye

  Poet:Fozia Mughal Type By *.__NOMI__.*   Raaz Dil Ka Bata K Pachhtaye Un Ki Baaton Main Aa K Pachhtaye   Haal Poochha Na Zindagi Main Kabhi Khaak Main Wo Mila K Pachhtaye   Koi Apna Nazar Nahi Aaya Un Ki Mehfil Main Jaa K Pachhtaye   Zakham-e-Dil Par Dawa Wo Kia Rakhte Zakham Un Ko Dekha K Pachhtaye   Naam Hota Jo Ishq Main Marte Hum To Daaman Bachha K Pachhtaye   Apne Ashkon Ko ''FOZIA" Pii Lo Ye Na Ho Wo Rula K Pachhtaye...........!   ********** NOMI **********  

>Sisakti Rut Ko Mehakta Gulaab Kar Doon Ga, Main Is Bahaar Mein Sab Ka Hisaab Kar Doon Ga

> Sisakti Rut Ko Mehakta Gulaab Kar Doon Ga, Main Is Bahaar Mein Sab Ka Hisaab Kar Doon Ga > Main Intezaar Main Hoon Tu Koi Sawaal To Kar, Yaqeen Rakh Main Tujhe Lajawaab Kar Doon Ga > Hazaar Pardon Me Khud Ko Chupa K Baith Magar, Tujhe Kabhi Na Kabhi Be-Naqaab Kar Doon Ga > Mujhe Yaqeen Hai K Mehfil Ki Roshni Hoon Main, Unhein Ye Khaof K Mehfil Kharaab Kar Doon Ga > Mujhe Gilaas K Andar Hi Qaid Rakh Warna, Main Saare Shehr Ka Paani Sharaab Kar Doon Ga.........! . ********** NOMI ***********  

Teri Tirchhi Nazar Ka Teer Mushkil Se Nikle Ga, Dil Is Ke Saath Nikle Ga Agar Ye Dil Se Nikle Ga

Teri Tirchhi Nazar Ka Teer Mushkil Se Nikle Ga, * Dil Is Ke Saath Nikle Ga Agar Ye Dil Se Nikle Ga, * Shab-e-Gham Main Bhi Meri Sakht Jaan Ko Na Maut Aai, * Tera Kaam Ay Ajal Ab Khanjar-e-Qatil Se Nikle Ga, * Nigaah-e-Shauq Mera To Un Ko Samjha De, * Mere Munh Se Tu Harf-e-Aarzoo Mushkil Se Nikle Ga, * Kahan Tak Kuch Na Kahiye Ab Tu Naubat Jaan Tak Aa Pahunchi, * Takaluf Bar Taraf Ay Zarf Naalah Dil Se Nikle Ga, * Tasawar Kia Tera Aaya Qayaamat Aa Gai Dil Mein, * Keh Ab Har Valvalah Bahaar-e-Dil Se Nikle Ga, * Na Aayin Ge Wo Tab Bhi Dum Nikl Hi Jaaye Ga, * Magar Mushkil Se Nikle Ga,Bari Mushkil Se Nikle Ga..........!   ********** NOMI **********

Yaaro Kisi Qaatil Se Kabhi Piyaar Na Maango . Apne Hi Gale K Liye Talwaar Na Maango

Yaaro Kisi Qaatil Se Kabhi Piyaar Na Maango . Apne Hi Gale K Liye Talwaar Na Maango . Gir Jao Ge Tum Apne Masiha Ki Nazar Se . Mar Kar Bhi Ilaaj-e-Dil-e-Beemaar Na Maango . Khul Jai Ga Is Tarha Nigahon Ka Bharam Bhi . Kaanton Se Kabhi Phool Ki Mehkaar Na Mango . Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Piyaala . Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Mango . Us Chiz Ka Kia Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai . Sehraa Mein Kabhi Saaya-e-Deewaar Na Mango . ********** NOMI **********  

Palko'n Par Kon Chunta Hai Ruswaiyon Ki Dhool

  Palko'n Par Kon Chunta Hai Ruswaiyon Ki Dhool,, Ruswa Hamare Saath Yaha'n Koo-Ba-Koo Hai Kon,, MOHSIN Ab Apna Aap Bhulaya Hai Is Tarah,, Mujh Se Khud Apne Aks Ne Poocha Ke Too Hai Kon? ********** NOMI **********  

23 March Pakistan Day

  *** Zameen Par Hi So Jaty Hain Bandooq Ko Sarhana Bana Kar .....*** * * * *** Naram Bistar Zaroori To Nahi Watan K Rakhwalon K Liye ....***   23 March Pakistan Day