Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira
Poet:Anwar Masood Type By *.__NOMI__.* Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurbaan Gaye Us Pe Dil-O-Jaan Waghaira Bili To Yonhi Muft Main Badnaam Hoi Hai Thaily Main To Kuch Aur Tha Samaan Waghaira Be-Hers-O-Gharaz Farz Adaa Kijiye Apna Jis Tarha Karti Hai Police Chaalaan Waghaira Ab Hosh Nahi Koi K Baadaam Kahan Hai Ab Apni Hatheli Pe Hai Dandaan Waghaira Kis Naaz Se Wo Nazm Ko Keh Dety Hain Nesri Jab Us K Khata Hoty Hain Ausaan Waghaira Jamhoriyat Ek Tarz-e-Hakomat Hai K Jis Main Ghoroon Ki Tarha Bikty Hain Insaan Waghaira Har Shart Ki Bushart Bana Daali Hai "ANWAR" ********** NOMI **********