Posts

Showing posts from February, 2014

Parbat Parbat Urre Phire Hai Man Panchi Be Chain

Image
    Poet Farhat Abas Shah Type bY UJRRA_DIL    Parbat Parbat Urre Phire Hai Man Panchi Be Chain, Jane Kahan Le Jain Sanwria K Nain,? Aao Kahin Chup Kar Rote Hain Warna Ngari Mein, Koi Sune Na Hook Dilon Ki Koi Sune Na Bain, Dhere Dhere Dhundla Hota Jata Hai Mehtab, Beet Chala Hai Jeevan, Jese Beet Chali Ho Rain, Hum To Jese Dil Aankhon Mein Le K Phirte Hon, Bethe Bethe Hansi, Hansi Mein Ro Dete Hain Nain, Bolo FARHAT Aakhir Kis Ko Daikh K Aaye Ho ? Mudat Bad Teri Aankhon Mein Daikha Hai Sukh Chain......! Page 13/14  

Mujhe Tera Hi Gumaan Hai Bas Tera Hi Dehan Hai

Image
  Poet Ayaz Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Mujhe Tera Hi Gumman Hai, Bas Tera Hi Dihan Hai, Too Judaa Hoi Jab Se, Tab Se Dil Parishan Hai, Teri Yaadain Hi Ab To, Bani Meri Pehchan Hai, Aansu, Siskiyan, Udasi, Aur Gham. Bas Yehi Meri Dastan Hai, Us K Aur Mere Bich Mein To, Bas Zindagi Hi Darmiyan Hai, AYAZ Zindagi Guzarna Us K Bina. Mushkil Barra Ye Emtihan Hai........! Mazeed new poetry k Liye, smsall ki best id ko follow karen.  

Mohabbat Ko Kahan Fikar-E-Kahan Ziyan-O-Sood Hota Hai

Image
  Poet Abdul Hameed Addam   Mohabbat Ko Kahan Fikar-E-Kahan Ziyan-O-Sood Hota Hai, Ye Darwaza Humare Shehr Mein Masdood Hota Hai, Mere Ehsas Ki Takhleeq Hai Jo Kuch Bhi Hai Saqi, Jise Mehsoos Karta Hon Wohi Mojood Hota Hai, Yahan Tak Kheinch Lai Hai Muravat Ghamgusar Ki, K Ab Jo Dard Uthta Hai Wo La Mehdood Hota Hai, Khird Bhai Zindagi Ki Kehkashan Ka Ek Satara Hai, Magar Ye Wo Satara Hai Jo Na Masood Hota Hai, ADDAM Jab Bhi Tanhai Mein Us Ko Yad Karta Hon, Mujhe Mehsoos Hota Hai K Wo Mojood Hota Hai.................! Page 175   

Mohabbat Ka Anokha Kafala Hai Is Ka Har Musafir

Image
    Poetess Fakhra Batool    Mohabbat Ka Anokha Kafala Hai, Is Ka Har Musafir Loot Raha Hai, Ta'aluq Jorna Acha Hai, Kitna Ta'aluq Torna Kitna Bura Hai, Mere Chehre Pe Ye Khilta Ujala, Teri Nazrein Thehrne Se Mila Hai, Judai Rutt Jaga Karb-E-Musalsal Chalo, Tum Ne Mujhe Kuch To Dia Hai, Kari Har Gham Khe Milti Hai, Ise Se Tumhari Yaad Kha Jo Silsila Hai Mera Daaman Magar Phir Bhi Hai, Khali Bazar-E-Sahin Phoolon Se Bhara Hai, Mere Chaaro Taraf Andhar Naghri, Mere Haathon Mein Maati Kha Diya Hai........!    

Kaise Lekhon Mein Tere Gham K Fasane Ko

Image
  Poet Ayaz Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Dedicated To My Daughter ZARMEEN KHAN KHATAK    Kaise Lekhon Mein Tere Gham K Fasane Ko, Mere Aansoon Se Ho Gi Khabar Zamane Ko, Dua Mangi Thi Hum Ne K Chaman Mein Bahar Aaye, Koi Phool Khushbu Se Mehkaye Mere Aashiyane Ko, Shama To Jali Thi Par Bujh Gai Zara Si Hawa Se, Hasrat Hi Rahi Marne Ki Us Par Is Parwane Ko, Tanha Chorr Gai Wo Humain Gham K Shehr Mein, Us K Bad Ashkon Se Sajate Hain Hum Ab Gham Khane Ko, AYAZ Jitna Bhi Ro Lo Taqdeer Ka Lekha Mit Nahi Sakta. Dua Karo K Phir Koi Gham Na Aaye Dil Dukhane Ko.........! Note Ye M.AYAZ KHAN Ne Apni Beti K Death Pe Create Ki Hai.  

عنبر کہے خوشبو سے اَذاں ، عید مبارَک عید آ گئی اے جانِ جہاں ، عید مبارَک

Image
عنبر کہے خوشبو سے اَذاں ، عید مبارَک عید آ گئی اے جانِ جہاں ، عید مبارَک یاقوت لبوں پر ترے قربان شگوفے چندا ترے ہنسنے کا نشاں ، عید مبارَک دیدار جنہیں تیرا ملے اُن کو بھی تبریک جو تجھ کو جہاں دیکھے ، وَہاں عید مبارَک ملنے کو تجھے صف میں کھڑے ہوں سرِ دَربار ملکائیں ، شہنشاہِ زَماں ، عید مبارَک بوسوں کی ترے رُخ کے ملے تتلی کو عیدی ہر سمت ہو خوشیوں کا سماں ، عید مبارَک اَللہ مری ساری خوشی بھیج دے تجھ کو غم بھیجے ترے سارے یہاں ، عید مبارَک راتیں تری تاباں رہیں ، دِن نورِ دَرخشاں خوشبو ہو تری اور جواں ، عید مبارَک کشمش ہو دَہَن میں تو لب اَنگور کو چومیں منہ میٹھا ہو ، نمکین زَباں ، عید مبارَک ہر پل ترا عشرت کدے میں شان سے گزرے غنچوں سا ہنسے ، غنچہ دَہاں ، عید مبارَک وُہ جوڑیں گے ہر شعر کے کب پہلے حرف کو! کر دیتے ہیں قیس اِن میں نہاں عید مبارَک   قیس کی کتاب عید سے انتخاب    

شرابِ وَصل کا مل جائے جام عید کے دِن

Image
شرابِ وَصل کا مل جائے جام عید کے دِن تو رِند کھل کے کریں اِہتمام عید کے دِن بہارِ عید ہے مینائے عشق کی مستی دُھلے گلاب بنے خاص و عام عید کے دِن یہ ننھی پریاں پرستاں سے سج کے آئی ہیں؟ یہ ننھے غنچے ہیں کس کے غلام عید کے دِن نئے لباس زَمانے نے اِس لیے پہنے کہ وُہ کرائیں گے دیدارِ عام عید کے دِن بس اَپنے چاند پہ نظریں جمائے رَکھنا ہے کہاں ہے عاشقوں کو اور کام عید کے دِن وُہ توبہ کر چکے روزوں میں یا اِلٰہی کیا؟ کیا ہے پردے کا خوب اِنتظام عید کے دِن خوشی ہے عید کی یا اَپنے حُسن کا ہے غرور وُہ چل رہے ہیں بہت خوش خرام عید کے دِن مٹھائی دینے کا ہائے یہ معنی ہو نہ کہیں بغیر بوسہ بنو شیریں کام عید کے دِن کسی سے ہاتھ ملانے کا بہتریں نسخہ ہر ایک شخص کو کر لو سلام عید کے دِن وُہ بھول جانے کی قربانی نہ طلب کر لیں! ہُوئے ہیں قیس بہت خوش کلام عید کے دِن    قیس کی کتاب عید سے انتخاب    

Chor K Ghar Sunsan Suhagan

Lout Chali Mehman Suhagan

Image
    Poet Farhat Abas Shah Type By UJRRA_DIL   Chor K Ghar Sunsan Suhagan, Lout Chali Mehman Suhagan, Dehleezon K Khel Nirale, Har Babul K Dekhe Bhale, So So Waham Guman, So So Waham Guman Suhagan, Lot Chali Mehman Suhagan, Chor K Ghar Sunsan Suhagan, Lakh Jatan Kar Dekhe Poore, Reh Jane The Rahe Adhoore, Amaa K Arman Suhagan, Lot Chali Mehman Suhagan, Chor K Ghar Sunsan Suhagan, Mehmanon Ko Ghar Jana Hai, Ik Din Chor K Dar Jana Hai, RABB K Pas Amaan Suhagan, Lot Chali Mehman Suhagan, Chor K Ghar Sunsan Suhagan......! . Page 18 19  


Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha

  Poet Wasi Shah    Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha, Tanhai Mein Shehr Basaya Karta Tha, Kaisa Pagal Shakhs Tha Sari Sari Rat, Deewaron Ko Dard Sunaya Karta Tha, Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baton Par, Aur Phir Khud Ko Aap Hansaya Karta Tha, Jalne Lagti Thi Laho Mein Judai To Ro Deta, Tanhaion Ki Khak Uraya Karta Tha, Kachi Umar Ka Pyar Usay Le Dooba, WASI Jo Logon Ko Pyar Karna Shikhaya Karta Tha..................!   

Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahi Gia

Image
    Poet Farhat Abbas Shah    Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahi Gia, Woh Khauf Tha Ke Logon Se Roya Nahin Gia, Ye Sach Hai Ke Teri Bhi Neendain Ujarr Gain, Tujh Se Bichar Ke Hum Se Bhi Soya Nahin Gia, Us Rat To Bhi Pehle Sa Apna Nahi Laga Us Rat, Khul K Mujh Se Bhi Roya Nahi Gia, Daman Hai Khushk Ankh Bhi Chup Chaap Hai Bahut, Larrion Mein Aansoo'n Ko Piroya Nahi Gia, Alfaz Talkh Bat Ka Andaz Sard Hai, Pichla Malaal Aaj Bhi Goya Nahin Geya Ab Bhi Kahein Kahein Pe Hai Kalakh Lagi Hoi, Ranjish Ka Daagh Theek Se Dhoya Nahin Geya.....!  

Ye Neend Ki Devi Bhi Ajab Dushman-e-Jan Hai

Image
    Poet Farhat Abbas Shah    Ye Neend Ki Devi Bhi Ajab Dushman-e-Jan Hai Aankhon Se Sada Door Rahe Rat Gaye Tak Paspa Howe Tanhai Ki Yalghar Se Jab Bhi Hum Shehr Mein Awaara Phire Rat Gaye Tak.....!  

Wo Rooth Jata Hai Aksar Shikwa Kiye Baghair

Image
  Poet Ahmad Faraz    Wo Rooth Jata Hai Aksar Shikwa Kiye Baghair, Hum B Tou Seh Jate Hain Shikayat Kiye Baghair Hum Sochty Rahe Muhabbat Be-Los Hoti Hai, Ye Yunhi Ho Jati Hai Anayat Kiye Baghair Tu Kitna Nadan Hai "FARAZ", Itna Tou Soch Le Jannat Kab Milti Hai Ebadat Kiye Baghair Kasoor Un Ka Nahi Kasoor To Humara Hai, Humne B Muhabbat Ki Un Ki Ejazat Liye Baghair....!  

BAS ITNI MOHABBAT KAFI HAI TUM HANS K MILO PHOLON KI TARHA

Image
    BAS ITNI MOHABBAT KAFI HAI TUM HANS K MILO PHOLON KI TARHA DIN RAT KATEN KHWABON KI TARHA AWARA HAWA LEHRA K CHALE LEHRA K CHALE JUB SHAM DHALE EK PAIRR TALE TUM HANS K MILO BUS ITNI MOHABBAT KAFI HAI TUM SATH RAHO SAANSON MAY RAHO TUM PAAS RAHO BAAHON MAY RAHO TUM DIL MAY RAHO DHARKAN KI TARHA KHWABON MAY RAHO YAADON KI TARHA BUS ITNI MOHABBAT KAFI HAI BUS ITNI MOHABBAT KAFI HAI..........!  

Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K Humari Zindagi Barbad Kar K

Image
    Poetess Parveen Shakir Typed ======= Ayaz Khan    Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K...* Humari Zindagi Barbaad Kar K...* Balat Kar Pher Yahen Aa Jaein Ge Hum...* Wo Dekhe To Humen Aazaad Kar K...* Rihaai Ki Koi Surat Nahi Hai...* Magr Han Manat-E-Sayad Kar K...* Badan Mera Chhova Tha Us Ne Lekin...* Gia Hai Roh Ko Aabaad Kar K...* Har Aamar Tool Dena Chata Hai...* Muqar Zulm Ki Meyaad Kar K......!   Bk: Kaf E Aaina Pg: 11 Gzl: 2   

Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

  Poet Qateel Shifai    Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe, K Sang Tujh Pe Gire Aur Zakham Aaye Mujhe, Main Ghar Se Teri Tamana Pehn K Jab Niklon, Barhna Shehr Mein Koi Nazar Na Aaye Mujhe, Wohi To Sab Se Ziada Hai Nuqta Cheen Mera, Jo Muskara K Humesha Gale Lagaye Mujhe, Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom, Dagha Kare Wo Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe, Main Apni Zaat Mein Neelaam Ho Raha Hon, QATEEL Gham-E-Hayat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe...............!   

Yad Kar Wo Din K Tera Koi Sodai Na Tha

Image
        Poet Hasrat Mohani Type bY UJRRA_DIL Yad Kar Wo Din K Tera Koi Sodai Na Tha, Ba Wajood-E-Husan To Aagah-E-Raenai Na Tha, Ishq Roz Afzon Pe Apne Mujh Ko Hairani Na Thi, Jalwah-E-Rangeen Pe Tujh Ko Naaz-E-Yaktai Na Tha, Deed K Qabil Thi Maire Ishq Ki Bhi Sadgi, Jabke Taira Husan Sar Garm-E-Khud Aarai Na Tha, Kaya Huye Wo Din Keh Mahvu-E-Aarzoo The Husan-O-Ishq, Rabt Tha Donon Mein Go Rabt-E-Shanasai Na Tha, Tone HASRAT Ki Ayaan Tehzeeb Rism-E-Aashqi, Is Se Pahle Aetbar-E-Shan-E-Ruswai Na Tha......! . Kulyat-E-Hasrat Page 72 Gzl Num 14

Dil Tera Dard Sada Mangta Hai

Ye Dia Khud Se Hawa Mangta Hai

Image
    Poet Mohsin Naqvi    Dil Tera Dard Sada Mangta Hai, Ye Dia Khud Se Hawa Mangta Hai, Aise Manga Tujhe Tujh Se Main Ne, Jaise Insan Dua Mangta Hai, Dasht Ki Dhoop Jala De Us Ko, Mera SaYa Bhi Saza Mangta Hai, Dil Hai Be Rakht Musafir Lekin, Qurb-E-Sultan-E-Hara Mangta Hai, Chandni Misl-E-Kafan Utri Hai, Kon Maqtal Mein Qabaa Mangta Hai? Saamri Sanp Hain Wehmo K Hajoom, Shoq Moosa Ka Asaa Mangta Hai, Be Sada Shehr Mein Rah Kar MOHSIN, Sheir K Kehne Ka Sila Mangta Hai.....................! Page 108  

Dhoop Chaon Mein Kadorat Kion Hai?

  Poet Mohsin Naqvi    Dhoop Chaon Mein Kadorat Kion Hai? SaYa Insan Ki Zaroorat Kion Hai? Aankhon Aankhon Ye Kashish Kaisi Hai, Chehra Chehra Teri Sorat Kion Hai,? Tesha-E-Waqt Ki Har Zarb Se Pooch, Seena-E-Sang Mein Moorat Kion Hai,? Roz Kia Taza Janaze Ka Jaloos,...! Roz Ek Gham Ka Moohrat Kion Hai? Jis Ne Kal Mujh Ko GanwaYa, MOHSIN Aaj Usay Meri Zaroorat Kion Hai.................? Page 141   

Ab Jis Ke Jii Main Aaye Wahi Paaye Roshni

Image

Hawas Ki Nazar Se Na Dekh Ay Ibn-e-Aadam , Hawa Ki Har Beti Tawaif Nahi Hoti

Image

Ye Aankh Sharabi Jaadooo , Ye Gaal Gulabi Jaadoo

Image

Log Kehte Hain Main Sharabi Hon

Image

Saaqi Dekh Zamane Ne, Kaisi tuhmat Lagayi Hai

Image

Chashm-E-Saqi K Isharaat Ki Batein Chero

Image
  Poet Abdul Hameed Addam   Chashm-E-Saqi K Isharaat Ki Batein Chero, Fasal-E-Gul Mein To Karamaat Ki Batein Chero, Kuch Madawa Karo Mahol Ki Tareeki Ka, Kuch Dar Khashanda RawaYat Ki Batein Chero, Naqal Moozon Hon To Asal Mein Dhal Jati Hai, Nahi Barsat To Barsat Ki Batein Chero, Deir-O-Kaba Ki Hadeeson Se Majrooj Karo, Aadmiat K Kharabat Ki Batein Chero, Main Tumhari Nigeh-E-Gheez Ka Manzar Khainchon, Tum Meri Wehshat-E-Jazbat Ki Batein Chero, Dil Kashi Hai Bhi Koi Khushk Haqaiq Mein, ADDAM Main To Kehta Hon HakaYaat Ki Batein Chero..............! Page 172 To 173  

Kal Kahein Tujh Se Bhi Acha Tera Beemar Na Ho

Image
    Poet Abdul Hameed Addam    Kal Kahein Tujh Se Bhi Acha Tera Beemar Na Ho, Itne Sangeen Taghaful Ka Guna Gaar Na Ho, Zindagi Mein Bhi Sakoon Dhoonte Ho Deewano, Zindagi Kia Hai Jo Chalti Ho Talwar Na Ho, Aap Ki Bat K Mafhoom Kai Hote Hain, Aap Ki Haan Kahein Hum Mani Inkar Na Ho, Rat To Nisaf Se Zaid Hai Magar Dar Ye Hai, Is Gaye Waqt Bhi Darban Kahein Bedar Na Ho, Barhami Mein Jo Halawat Hai Sajawat Mein Kahan, Zulf Hi Kia Jo Aashfta-O-Kham Daar Na Ho, Shamma Mein Kia Hai Jo Deta Hai Patange Ko Fareb, Us K Parde Mein Tera Shola-E-Rukhsar Na Ho, Khalq Ruk Jaye Gi Na Gaah Tamashe K Liye, Mujh Se Is Darja Khafa Bar Sar-E-Bazar Na Ho, Dil Ko Le Aata Hon Bazar Se Wapas Har Roz, Is Tarha Ka Bhi ADDAM Qahat Khareed Na Ho............! Page 12   

Apni Taqdeer Khafa Ho To Ghazal Likhte Hain

Image
        Apni Taqdeer Khafa Ho To Ghazal Likhte Hain, Jan Jab Tan Se Juda Ho To Ghazal Likhte Hain, Aise Logon Se Jo Khamosh Sada Rehte Hain, Bat Aankhon Se Adaa Ho To Ghazal Likhte Hain, Hum To Har Zehar Bhi Pee Lete Hain Azmane Ko, Jab Ye Zakhmon Ki Dawa Ho To Ghazal Likhte Hain, Wo Namazon Mein Bhi Yad Aate Hain, Mohabbat Mein Hum Ko, Aik Sajda Bhi Qaza Ho To Ghazal Likhte Hain.................!    

Ujre Bagh Mein Koyal Geet Gati Nahi

Image
      Poet Umar Raahi Type bY UJRRA_DIL    Ujre Bagh Mein Koyal Geet Gati Nahi, Murjhaye Gulshan Mein Koi Titli Aati Nahi, Chaman-E-Dil To Ek Sahra Ho Jaise, Sukh Ki Ab To Badli Chati Nahi, Dil Ko Ujjar Kar Jane Wale Sun, Aankh Barsne Se Ghabrati Nahi, Ujjaar Di Dil Ki Basti Us Ne Hanste Muskarate, Balakte Hain Lab Hansi Honto Par Aati Nahi, Rona Raton Ko Muqdar Hai Ab Mera Shayad, Kanton Bhare Bister Par Neend Aati Nahi, RAAHI Dard Hain Wo Dil Mein Keh, Ro Bhi Lon To Aankh Ashak Bahati Nahi.........!

Mujh Ko To Gair K Marna Hai

Baqi Ko Kia Karna Hai

Image
    Poet John Elia Typ By *.__Ayaz Khan__.* Mujh Ko To Gair K Marna Hai Baqi Ko Kia Karna Hai, Shehr Hai Chehron Ki Tamseel, Sab Ka Rang Utarna Hai, Waqat Hai Wo Tang Jais Mein, Sub Ko Dar Kar Darna Hai, Mere Naqsh-E-Sani Ko, Mujh Mein Hi Se Ubharna Hai, Kaisi Talafi Kia Tadbeer, Karna Hai Aur Bharna Hai, Jo Nahi Guzra Hai Ab Tak, Wo Lamha To Guzarna Hai, Apne Gummaan Ka Rang Tha Mein, Hum Do Paye Hain So Humain, Maiz Pa Jaa Kar Charna Hai, Chahe Hum Kuch Bhi Kar Lain, Hum Aeson Ko Sudharna Hai, Hum Tum Hain Ek Lamha K, Phir Bhi Wadah Karna Hai........! Book: Gummaan Page: 33 to 34   

Ik Shakhas Ko Jawab Mujhe Dena Par Giya

Image

Tum Agar Sath Dene Ka Wada Karo

Main Youn Hi Mast Naghme Lutata Rahon Lyric

Image
    ====== SONG ======    Tum Agar Sath Dene Ka Wada Karo, Main Youn Hi Mast Naghme Lutata Rahon, Tum Mujhe Dekh Kar Muskarati Raho, Main Tumhain Dekh Kar Geet Gata Rahon, Kitne Jalwe Fizaon Main Bikhare Magar, Main Ne Ab Tak Kisi Ko Pukara Nahi, Tum Ko Dekha To Nazrein Ye Kehne Lagein, Hum Ko Chehre Se Hatna Gawara Nahi, Tum Agar Meri Nazron K Aage Raho, Main Har Ek Shaiy Se Nazrein Churata Rahon, Tum Agar Sath Dene Ka Wada Karo, Main Ne Khawabon Mein Barson Tarasha Jise, Tum Wahi Sang-E-Marmar Ki Tasveer Ho, Tum Na Samjho Tumhara Muqadar Hon Main, Main Samajhta Hon Tum Meri Taqdeer Ho, Tum Agar Mujh Ko Apna Samajhne Lago, Main Baharon Ki Mehfil Sajata Rahon, Tum Agar Sath Dene Ka Wada Karo.................!   

Kia Main Musalman Hon???

Image

Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi

Image
      Poetess Parveen Shakir    Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi, Jeeton To Tujhe Paon Haaron To Piya Teri, Har Lihaz Se Khayal Tera Rakhon Gi Sirf Itna, Beth Jaon To Bhi Teri Uth Jaon To Bhi Teri, Kuch Kar Lon Gi Haal Apna Aisa Humsafar, Aankh Lage To Bhi Teri Aankh Khule To Bhi Teri, Teri Har Aahat Pe Pa Lon Gi Tabeer Aisi, Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri, Main Sath Don Tera Kuch Aisa Jan-e-Jahan, Zinda Rahon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri.................!   

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein

Phir Khawab Agar Ho Jao To Kia

Image
  Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein, Phir Khawab Agar Ho Jao To Kia, Koi Rang To Do Mere Chehre Ko, Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kia, Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib, Tum Bad-E-Sbaa Kehlao To Kia, Ek Aaina Tha So Toot Gia Ab Khud Se, Agar Sharmaao To Kia, Main Tanhaa Tha Main Tanha Hon, Tum Aao To Kia Na Aao To Kia! Jab Dekhne Wala Koi Nahi, Bujh Jao To Kia Genao To Kia, Hai Youn Bhi ZiYan Aur Youn Bhi ZiYan, Jee Jao To Kia Mar Jao To Kia...................!    


Hum Tera Hijar Manane K Liye Nikle Hain

Image
    Poet John Elia Type By *.__Ayaz Khan__.* Hum Tera Hijar Manane K Liye Nikle Hain...* Shehr Mein Aag Lagane K Liye Nikle Hain...* Shehr Kochoon Mein Karo Hashr-Bapa Aaj K Hum...* Ass K Wadon Ko Bhulane K Liye Nikle Hain...* Hum Se Jo Ruth Gia Hai Wo Bahut Hai Masum...* Hum To Auron Ko Manane K Liye Nikle Hain...* Shehr Mein Shoor Hai Wo Yun Ko Gumaan K Safri...* Apne Hi Aap Mein Aane K Liye Nikle Hain...* Wo Jo The Shehr-E-Taheer Tere Pur Fan Mamaar...* Wohi Pur Fan Tujhe Dhane K Liye Nikle Hain...* Rahguzar Mein Teri Qaleen Bechane Wale...* Khoon Ka Farash Bechane K Liye Nikle Hain...* Humain Karna Hai Khudawand Ki imdaad So Hum...* Deer-O-Kaba Ko Larrane K Liye Nikle Hain...* Sar-E-Shab Ek Nai Tamseel Bapa Honi Hai...* Aur Hum Parda Uthane K Liye Nike Hain...* Humain Seraab Nai Nasal Ko Karna Hai So Hum...* Khon Mein Apne Nahane K Liye Nikle Hain...* Hum Kahem K Bhi Nahi Par Y

Kabhi Jo Toot K Barsa December

Image
  Kabhi Jo Toot K Barsa December, Laga Apna Bahut Apna December, Guzar Jata Hai Sara Saal Youn To, Nahin Kat'ta Magar Tanha December, Bhala Barish Se Kia Sairab Ho Ga, Tumhare Wasl Ka Pyasa December, Wo Kab Bichra? Nahi Ab Yad Lekin, Bas Itna Yad Hai K Tha December, Jama Poonji Yehi Hai Umar Bhar Ki, Meri Tanhai Aur Mera December..........!    

Hum Cheen Lein Gay Tum Ye Shan-e-Beniazi

Tum Mangte Phiro Gay Apna Gharoor Hum Se

Image
    Poet Wasiq Ali Athar    Kab Tak Raho Gay Aakhir Youn Door Door Hum Se? Milna Pare Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Se, Daman Bachane Wale Ye Be Rukhi Hai Kaisi? Keh Do Agar Howa Hai Koi Qasoor Hum Se, Hum Chor Dain Gay Tum Se Youn Bat Cheet Karna, Tum Poochte Phiro Gay Apna Qasoor Hum Se, Hum Cheen Lein Gay Tum Ye Shan-e-Beniazi, WASIQ Tum Mangte Phiro Gay Apna Gharoor Hum Se.............!    

Apni Palkon Pe Jami Gard Ka Hasil Mange

Wo Musafir Hon Jo Har Mor Pe Manzal Mange

Image
  Poet Mohsin Naqviii    Apni Palkon Pe Jami Gard Ka Hasil Mange, Wo Musafir Hon Jo Har Mor Pe Manzal Mange, Meri Vos'at Ki Talab Ne Mujhe Mehdood Kia, Main Wo Daria Hon Jo Mojon Se Bhi Sahil Mange, Khawahish-E-Wasl Ko So Rang K Mafhoom Diye, Bat Aasan Thi Magar Lafz To Mushkil Mange, Sach Ka Munkar Howa Arzai Khoon Ka Mosam, Khaak-E-Maqtal Se Gawahi Mera Qatil Mange, Dil Ki Zid Par Na Khafa Ho Mere Aflak Nasheen, Dil To Pani Se Bhi Aks Meh-E-Kamil Mange, Sans Meri Thi Magar Us Se Talab Ki, MOHSIN Jaise Khairat Sakhi Se Koi Sail Mange.....................! Page 80   

Justajoo Mein Teri Phirta Hon Na Jane Kab Se

 Aabla Pa Hain Mere Sath Zamane Kab Se

Image
    Poet Mohsin Naqvi    Justajoo Mein Teri Phirta Hon Na Jane Kab Se, Aabla Pa Hain Mere Sath Zamane Kab Se, Main K Qismat Ki Lakeerein Bhi Parha Karta Tha, Koi Aaya Hi Nahi Hath Dekhane Kab Se, Nematein Hain Na Azabon Ka Tasalsul Ab To, Mujh Se Rukh Phair Lia Mere Khuda Ne Kab Se, jan Chirakte Thay Kabhi Ghazalaan Jin Par, Bhool Bethe Hain Shikari Wo Nishane Kab Se, Wo To Jangal Se Hawaon Ko Chura Lata Tha, Us Ne Seekhe Hain Diye Ghar Mein Jalane Kab Se? Shehr Mein Parvarish-E-Rasm-E-Janoon Kon Kare? Youn Bhi Jangal Mein Hain Yaron K Thikane Kab Se, Aankh Rone Ko Tarasti Hai To Dil Zakhmo Ko, Koi Aaya Nahi Ahsan Jatane Kab Se, Jin K Sadqe Mein Basa Karte Thay Ujre Howe Log, Lut Gaye Hain Sar-E-Sehra Wo Gharane Kab Se, Log Be Khof Gareban Ko Khula Rakhte Hain, Teer Chora Hi Nahi Dast-E-Qaza Kab Se, Jane Kab Toot K Barse Gi Mulamat Ki Ghata? Sar Jhukaye Howay Bethe Hain Deewane Kab Se, Jin Ko

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza

Koi Apna Bana K Dagha De Gia lYric

Image
    Singer Attaullah Khan    Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza, Koi Apna Bana K Dagha De Gia, Mujh Se Jeene Ka Haq Cheen Kar Zindagi Ki Dua De Gia, Bewafa Ne Tor Di Jab Pyar Ki Pehli Qasam, Us Ki Zulfain Thi Preshan, Meri Bhi Aankhain Thi Num, Waqt-E-Rukhsat Bewafa Ne Mujh Pe Dhaye Ye Sitam, Ek Tasweer K Us Ne Tukre Kiye, Meri Soorat Ka Hisa Mujhe De Gia, Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza, Koi Apna Bana Ke Dagha De Gia Waqt K Be Reham Hathon Luti Thi, Meri Jageer Main Ne Dekha, Jab Usay To Wo Meri Tasveer Thi, Us Ne Mujh Ko Jo Dia Hai Wo Meri Taqdeer Thi, Tuhfe Ghairon Ko Us Ne Wafa K Diye, Bewafai Ka Qisa Mujhe De Gia, Kash Hum Bhi Ishq Ki Tuhmaton Se Khailte, Apni Ye Qismat Kaha K Gaisoun Se Khalte, Dil Jalon Ko Main Ne Dekha Aanso'on Se Khailte, Apna Sab Kuch Ganwan K Main Rota Raha, Koi Chahat Ka Acha Sila De Gia, Ek Din Main Ne Us Bewafa Se Milne Ko Chaha, Ek Nazar De

Us ki basti se pehle Qabristan. Aashiqon k liy ishara tha.

  Us ki basti se pehle Qabristan. Aashiqon k liy ishara tha.    Nomi Collection