Posts

Showing posts from July, 2014

Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar

Halaat Ki Qabron K Ye Kutbe Bhi Parha Kar

  Poet Mohsin Naqvi   Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar Halaat Ki Qabron K Ye Kutbe Bhi Parha Kar Kia Janiye Kion Teiz Hawa Soch Mein Gum Hai, Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Se Ura Kar, Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Hain To Hon Gay, Wo Jhoot Na Bole Ga Mere Samne Aa Kar, Ab Dastakain De Ga To Kahan Aaye Gham-E-Ahbab, Main Ne To Kaha Tha K Mere Dil Mein Raha Kar, Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbad Na Kar De, Tanhai K Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar, Wo Aaj Bhi Sadion Ki Musafat Pe Khara Hai, Dhoondha Tha Jise Waqt Ki Deewar Gira Kar, Barham Na Ho Kam Fehmi Kota Nazraan Par, Aye Qamat-E-Fun Apni Bulandi Ka Gila Kar, Aye Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Nahi Hai., Too Halqa-E-Yaran Mein Bhi Mohtat Raha Kar, Main Mar Bhi Chuka Mil Bhi Chuka Moj-E-Hawa Mein, Ab Rait K Seene Pe Mera Naam Likha Kar, Pehle Sa Kahan Ab Meri Raftar Ka Aalam, Aye Gardish-E-Doraan Zara Tham Tham K Chala Kar, Is...

Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai

Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai

  Poet Dagh Dehlvi    Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai Kaha Tujh Ko Ko Sodaye Zulf Pari Hai, Ye Uthti Nahi Aisi Tohmat Dhari Hai, Ishare In Aankhon K Jan Bakhsh Tehre, Ye Ijaz Hai Ya K Afsos Gari Hai, Na Aage Gai Is Se Wo Khamsh Khud Been, Magar Aina Had Askandri Hai, Usay Dekh Kar Dil Mein Qail Hai Na Seh, Magar Bat Kia Hai Sukhan Parwari Hai, Hoi Taor Be Taor Ulfat Mein Dil K, Qaza Ek Na Ek Roz Aage Dhari Hai, Gawara Nahi Dil Ki Shirkat Bhi Hum Ko, Mohabbat Mein Yahan Yaan Tak Tabiat Bhari Hai, Kahan Us Mein Teri Si Mehshar Kharami, Latara Howa Tera Kabak Dari Hai, Saba Ban Gai Chor Baade Chaman Mein, K Ghunche Ki Muthi Jo Zar Se Bhari Hai, Dilasa Bhi Dete Nahi Aashqon Ko, Ye Kia Dil Dehi Hai Ye Kia Dilbari Hai, Mila Dagh Se Aaj Wo Maah Paikar, Mubarik Quran Mah-O-Mushtari Hai.......! Page 181  

Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia

Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia

  Poet Dagh Dehlvi    Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia Yaqeen Hai Thokarain Kha Kha Kar Kuch Sambhal Jaye, K Is Ki Raah Mein Hum Ne Bhi Dil Ko Daal Dia, Jahan Mein Aaye Thay Kia Ranj Uthane Ko, Ilahi Too Ne Humain Kis Bala Mein Dal Dia, Khuda Kareem Hai Youn To Magar Hai Itna Rashk, K Mere Ishq Ne Sanche Mein Tum Ko Dhaal Dia, Button K Deen Mein Hai Loutna Sawab Aisa, K Jaise Raah-E-Khuda Muflison Ko Maal Dia, Pyam-O-Wasal Hi Kion Ab Raqeeb K Hathon, Nikalna Tha Mujhe Aap Ne Nikal Dia, Batain Lafz Tamana Maani Kia, Tumhare Kaan Mein Ek Harf Hum Ne Daal Dia, Sar Adalat Mehshar Jawab Kia Do Gay, Jo Daad Khawahon Ne Tum Par Koi Sawal Dia, Nahi Adov To Khayal Adov Hi Khilwat Mein, Kisi Bahane Se Us Ko Na Tum Ne Taal Dia, Humain Khuda Ne Bahut Ranj-O-Gham Dia Aye Dagh, Button Ki Dil Mein Na Thora Sa Raham Dia.............!  ...

Meri Talab Tha Aik Shakhs,Jo Wo Nahi Mila To Phir

Image

Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye

Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye

Poet Wasiq Ali Athar Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye Takra K Loutti Jo Roshni Udas Chehre Nikhar Gaye, Mere Samne EK Faseel Thi, EK Khawab Ki Takmeel Thi, Apno Ne Hi Jab Moonh Phira, Mere Sare Khawab Mukar Gaye, Phoolon Ki Mehfil Se Pyar Tha, EK Sakoon Ki Talash Thi, Khamosh Wadi Mein Chal Diye, Hum Idhar Gaye Kal Udhar Gaye, Hum Sub Azizon Mein Pyar Tha, Aur Zindagi Bhi Jameel Thi, Apna To Khud Ko Pata Nahi, Mere Dil Nawaz Kidhar Gaye. Jo Asal Thi Us Ne Parhi Nahi, Wo Is Ghazal Ki Daleel Thi Na Hi Khush Thi, Na Khabar Mili Bigaray Halaat Bigar Gaye.........!

Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir

  Poet Saghar Saddiqui Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir Aisa Ek Sang Jo Taleef-E-Rah Manzil Ho, Manzilain Dhoond K Aaye Hain Tumhari Khatir, Kitni Nakam Umeedon K Diye Pichle Pehar, Hum Ne Daria Mein Bahaye Hain Tumhari Khatir, Ahd-E-Roshan K Sukhoor Na Bhulaain Ge Kabhi, Ham Ne Wo Sahar Jagaye Hain Tumhari Khatir. Ham Na Chahain Ge Kabhi Takht Jam-O-Khusro K, Ham Ne Armaan Lutaye Hain Tumhari Khatir, Ham Wahan Thay K Jahan SAGHAR -O-Saqi Thay Madaam, Doston Lot K Aaye Hain Tumhari Khatir.........! Book: Kuliyaat e Saghar Page: 70

Udaas Eiden'n

اُداس عیدیں میں اُن کو کیسے کہوں ‘مبارک‘؟ وہ جن کے نورِ نظر گئے ہیں وہ مائیں جن کے جگر کے ٹکڑے گُلوں کی صورت بکھر گئے ہیں وہ جن کی دکھ سے بھری دعائیں فلک پہ ہلچل مچا رہی ہیں میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں اداس عیدیں منا رہی ہیں وہ بچے عیدی کہاں سے لیں گے؟ تباہ گھر میں جو پل رہے ہیں وہ جن کی مائیں ہیں نذرِ آتش وہ جن کے آباء جل رہےہیں وہ جن کی ننھی سی پیاری آنکھیں ہزاروں آنسو بہا رہی ہیں میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں اداس عیدیں منا رہی ہیں بتاؤ اُن کو میں عمدہ تحفہ کہاں سے کر کے تلاش بھیجوں؟ بہن کو بھائی کی نعش بھیجوں یا ماں کو بیٹے کی لاش بھیجوں؟ جہاں پہ قومیں بہت سے تحفے بموں کی صورت میں پا رہی ہیں میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں اداس عیدیں منا رہی ہیں وہاں سجانے کو کیا ہے باقی؟ جہاں پہ آنسو سجے ہوئے ہیں جہاں کی مہندی ہے سرخ خوں کی جنازے ہر سُو سجے ہوئے ہیں جہاں پہ بہنیں شہیدِ حق پر ردائے ابیض سجا رہی ہیں میرے ہی دِیں کی بہت سی نسلیں اداس عیدیں منا رہی ہ

Pushto Eid Poetry

Pushto Eid Poetry Manam Akhtar Dy Khu Ghurbat Mi Qatlavi Bachhiya......!!! . . . Ta Ta Pa Sa Bande Bangri Pa Sa Nakrize Raorham......!!! ============= Nomiii Collection =============

Pushto Eid Poetry

Pushto Eid Poetry Akhtar Haga Akhtar Vi Che Ghamona Pake Heer Shi......!!! . . . Da Yateem ba Sa Akhtar Vi Ghaly Rashi Ghaly Ter Shi......!!! ============= Nomiii Collection =============

Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal

============= Hilaal-e-Eid ============= . Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal ......! . Aah ! O Kudrat Numa-e-Shaan-e-Yazdaani Hlil ....! . Aah ! O Fitrat Laqa-e-Bazm-e-Noraani Hilal ......! . Aah ! O Soorat Kasha-e-Zouq-e-Wajdaani Hilal ...! . ... Tu Naveed-e-Inbasaat-e-Khatir-e-Pazmazda Hai ... . ... Hasrat Us Mayoos Par , Is Par Bhi Jo Afsurda Hai ... . Dekhta Hon Main Tujhy , Tu Dekhta Hai Mera Haal ... . Jaan-e-Muztar Qalb-e-Aazarda Pareshan Sir Ke Baal ... . Tu Daleel-e-Ouuj , Rifat , Main Sarapa Paimaal ... . Aah ! Ye Din , Aah ! Ye Shab , Aah ! Ye Shaam-e-Malaal ... . ... Az Dil Afgaar-e-Janoo'n , Waja-e-Dil Afgaari Mipras ... . ... Aah ! Ghamkhwaar-e-Ghamam ! Haal-e-Gham Aazaari Mipras ... (Farsi) . Haal Pochta Hai , Mujh Se Tu , Aye BeKhabar ... . Ho Chuki Tareek , Chashm-e-Yaas Main Sham-o-Sahar ... . Aah !  Wo Gham Ki Kahani Barh Gai Hai Kis Qadar ... . Jis Ko Main Samjhy Hoye Tha Dastaan...

jab EID ho ge to kia pehnay gay hum

Image
jab  EID  ho ge to kia pehnay gay hum........ chand say keh do hum tayar nahi..............

Alvida maah-e-ramzaa'n alvida

Poet Hasrat Mohani Alvida maah-e-ramzaa'n alvida,, Alvida ay monis-e-Jaa'n alvida.. Tujjh sy roshan tha sawaad-e-malk-e-Jaan,, Ay chiragh-e-noor emaan alvida.. Ay zaman-e-rehmat, haqq-ul-fraaq,, Ay muhib-e-aehal-e-asiyaan alvida.. Ay nishat-e-shan-o-sabar-o-fuqr-o-ishq,, Shahid-e-ushaaq hairan alvida.. Lazat-o-aftar-o ay Lutff-e-sehar,, Tm main tha aiesh farwaan alvida.. Aien rahaat tujjh sy thi takleef-e-qaid,, A anees aehal-e-zindaan alvida.. Qadar Jani kuch na teri ay Aziz,, Tujjh sy Hasrat he pashimaan alvida..!

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi

Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho

  Singer Nusrat Fathe Ali Khan    Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay, Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho, Honton K Pas Aaye Hansi Kia Majaal Hai, Dil Ka Moamla Hai Koi Dil Lagi Nahi, Zakhm Pe Zakhm Pe Kha K Jee Apne Laho K Ghoont Pe, Aah Na Kar Labon Ko Se Ishq Hai Dil Lagi Nahi, Dil Laga Kar Pata Chale Ga Tumhain, Aashqi Dil Lagi Nahi Hoti, Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Lag, Pani Na Samajh Ye Aag Hai Aag, Khon Rulaye Gi Ye Lagi Dil Ki, Khail Samjho Na Dil Lagi Dil Ki, Ye Ishq Nahi Aasan Bas Itna Samajh Lejiaye, Ek Aag Ka Daria Hai Aur Doob K Jana Hai, Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi, Mohabbat Ki Rahon Mein Aa Kar To Dekho, Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay, Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho, Wafaon Ki Hum Se Tawaqo Nahi Hai, Magar Aik Bar Aazma Kar To Dekho, Zamane Ko Apna Bana Kar To Dekho...

Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon

  Poet Mohsin Naqvi    Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon, Charagh-E-Chashm-E-Nam Hai Aur Main Hon, Musafat Mein Mata-E-Ranj-E-Manazal, Mera Naqsh-E-Qadam Hai Aur Main Hon, Bikharte Tootte Batte Jahan Mein, Khumar-E-Besh-O-Kam Hai Aur Main Hon, Mera Damaan-E-Dil Hai Aur Too Hai, Tera Dast-E-Karam Hai Aur Main Hon, Udhar Sa'aye Wajood-E-Nishaan K, Idhar Dasht-E-Addam Hai Aur Main Hon, Mithas Ab Sans Ki Bujhne Lagi Hai, Rawaan Shah Rag Mein Sam Hai Aur Main Hon, Teh Mehrab-E-Chashm-O-Gosh-E-Aalam, Duaon Ka Bharam Hai Aur Main Hon, Mujhe Faryad-O-Naghma Ki Khabar Kia, Nafs Ka Zeir-O-Bam Hai Aur Main Hon, Wohi Gharat Gari Dil Ki Hai MOHSIN, Wohi Kanj-E-Qalam Hai Aur Main Hon..............!     Page 174 to 175   

Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha Lyric

  Singer Rahat Fathe Ali Khan    Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori Tha, Zarori Tha K Hum Dono Tawaf-E-Arzo Karte, Magar Phir Aarzoo'n Ka Bikharna Bhi Zarori Tha, Batao Yad Hai Tum Ko Wo Jab Dil Ko Churaya Tha, Churai Cheez Ko Tum Ne Khuda Ka Ghar Banaya Tha, Wo Jab Kahte Thay Mera Naam Tum Tasbeeh Main Pahrte Ho, Mohabbat Ki Namazon Ko Qaza Karne Se Darte Ho, Magar Ab Yad Aata Hai Wo Batain Thi Mehiz Batain, Kahein Baton Hi Baton Main Mukarna Bhi Zarori Tha Wohi Hain Soratain Apni, Wohi Main Hon Wohi Tum Ho, Magr Khoya Howa Hon Main, Magar Tum Bhi Kahein Gum Ho, Mohabbat Main Dagha Kia Tha So Kafir Hai So Kafir Hai, Mili Hain Manzilain Phir Bhi Musafir Thay Musafir Hain, Tere Dil K Nikle Hum Kahan Bhatke Kahan Ponche, Magar Bhatke To Yad Aaya Bhatkna Bhi Zarori Tha, Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori....!  

Wird-E-Yaseen Kijiye Sahib

Image
Wird-E-Yaseen Kijiye Sahib   DilL Judaii Ki Zadd Mein Hy Ab K       

Ashaar K Parday MEin Hum Jin SEy Mukhatib HEin

اشعار کے پردے میں ہم جن سے مخاطب ہیں . . وہ جان گۓ ہوں گے، کیوں نام لیا جاۓ   Ashaar K Parday MEin Hum Jin SEy Mukhatib HEin . . Woh Jan GayE Hon Gay, Kiun Naam Liya JayE    

Hum Ne Bhi Khat Sanbhal Ke Rakhy Hain

Image
ہم نے بھی خط سنبھال رکھے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔٭ ' ' '   ہم بھی آخر جواں ہوتے تھے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔!!!    

Milo Tum Roz Mujh Se Log Chahay Jo bhi Matlab Len

Milo Tum Roz Mujh Se Log Chahay Jo bhi Matlab Len . . .   YaHan Mehfooz Tohmat Se... Na 'MARYAM' thi, Na   'YOUSAF' tha....!    

Teri WaFa PaY Aaj DiL Khush Ho GaYa.!

   Waaaah Mosam...!   Teri WaFa PaY Aaj DiL Khush Ho GaYa.! . . . Yaad-E-Yaar Jo Aai To Baras ParHa HaY Tu.!    

Bichra Hai Jo Ek Bar To Milte Nahi Dekha

Is Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha

  Poetess Parveen Shakir    Bichra Hai Jo Ek Bar To Milte Nahi Dekha Is Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha Ek Bar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khawahish, Phir Shakh Pe Us Phool Ko Khilte Nahi Dekha, Yak Lakht Gira Hai To Jarein Tak Nikal Aain, Jis Peirr Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi DeKha, Kanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin, Titli K Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha, Kis Tarha Meri Rooh Hari Kar Gia Aakhir, Wo Zehr Jise Mein Khilte Nahi Dekha.................! Page 139  


Ye Eid Aur Hai Tanhai Dosto

Na Koi Sathi Na Bhai Dosto

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Ye Eid Aur Hai Tanhai Dosto Na Koi Sathi Na Bhai Dosto Na Koi Hum Nawa Na Hi Hum Raz, Na Kisi Se Hai Shanasai Dosto, Muflisi Hai Gham Hai Aur Aanso Hain, Aur Dunia Hai Bani Tamashai Dosto, Mohabbat K Qareeno Se Koi Aashna Nahi, Har Taraf Hai Bas Bewafai Dosto, Jo Dost Dar-E-Parda Wohi Dushman, ,AYAZ, Jis Se Karo Pyar Wohi Harjai Dosto.........! Mzeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Bichre Yar Se Mila De Eid K Chand

Mujhe Apne Dildar Se Mila De Eid K Chand

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Bichre Yar Se Mila De Eid K Chand Mujhe Apne Dildar Se Mila De Eid K Chand Koi Apna Nahi Sab Paraye Hain Yahan To, Too Mujhe Apne Yar Se Mila De Eid K Chand, Mein Ne Dekha Hai Gulon Ko Chaman Mein Udas, Too Mujhe Bahar Se Mila De Eid Ke Chand, Zindagi Ki Nao Doob Rahi Gham K Daria Mein, Too Mujhe Kinar Se Mila De Eid Ke Chand, Farebi Hai Zamana Faribi Hain Log Yahan, AYAZ Too Sache pyar Se Mila De Eid Ke Chand............!    

Gori Kia Ab K Tum Eid Manao Gi

Apne Pyare Sajan Se Milne Jao Gi New Collection 2014

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Gori Kia Ab K Tum Eid Manao Gi Apne Pyare Sajan Se Milne Jao Gi Apne Haton Pe Apne Piya Ka Naam, Mehandi Se Likh K Tum Sajao Gi, Apne Haton Mein Pehen K Chorian, Tum Tan Pe Naye Kapre Sajao Gi, Gaon Mein Mela Lage Ga Eid Par, Tum Sakhion K Sath Melay Mein Jao Gi, Ye Sun Kar Gori Ki Aankho Mein Aanso Aaye. Mera Saja Pardees Mein, Mein Eid Nahi Manao Gi, Mein Bas Apne Piya Ki Tasveer Ko Hi, Eid Par Apne Seene Se Lagao Gi, Us K Intizaar Mein Hi Is Eid Ko, Apne Ghar Mein Rote Rote Manao Gi............!    


Kaho Malala Kion Chup Ho

Kion Itni Gumsum Si Ho,?

    Poet Dr Zahid Mahmood Kaho Malala Kion Chup Ho Kion Itni Gumsum Si Ho,? Aman Award Jo Leti Ho Phir Kuch Kyon Nahi Kehti Ho ? Khoon-E-Muslim Behta He, Khoon-E-Muslim Rakhti Ho To ? Jin Ki Goud Mein Bethi Ho, Un Se Kyon Nahi Kehti Ho,? Ik Drone Zara Bhejen Israel Ki Janib Bhi, Us Ne Bhi To Ghaza Mein Khoon Ki Holi Kheli He, Kitne Payare Bachon Ki Us Ne Jaan Youn Le Li He, Is Par Bhi Kuch Likho Na Ab Kuch Kion Nahi Likhti Ho,? Kaho Malala Kyon Chup Ho,? Kyoun Itni Gum Sum Si Ho.........?    ============= Nomi CollecTion =============    

Kehta Tha Na Mujh Ko Pardes Bhejo MAAN

Image

Ajab pagal si larki hai

Image
Ajab pagal si larki hai. Ajab pagal si larki hai…. !! Wo mujh se jab bhi milti hai, Mujhay her baar kehti hai, Teray honay se meri zaat ki takmeel hoti hai, Usay maloom bhi hai main to khud ik aam larka hoon, …Magar wo mujh se kehti hai, Nahi tum sa koi dooja, Ajab pagal si larki hai… Wo mujh se jab bhi milti hai, Naya ik naam deti hai, naye pehchaan deti hai, Meray andar ke sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha jaan laiti hai, Meri barson purani baat bhi wo yaad rakhti hai, Mujhay her baar kehti hai, teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta, Ajab pagal si larki hai… wo mujh se jab bhi milti hy, to pehron mujh ko takti hai, usay her rang, jo main ne ho pehna, acha lagta hai, usay her khuwab, jo main ne ho dekha, sacha lagta hai, Ajab pagal si larki hai…. wo mujh se jab bhi milti hai, mujhay her baar kehti hai, teri muskan janam zindagi main rang bharti hai, mujhay dukh ke andheron main kabhi khonay nahi deti, usay mujh ko mujhi ko sochnay ki j...

Zara Sa Muskura Dena Tum EID Se Pehle Pehle

Image
   ================== Nomiii Collection ==================

Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main

Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main

Poet Abdul Hameed Addam   Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main Abhi Afsane Ki Gehrai Tak Nahi Pohncha, Hanooz Kushta E Unwan-E-Dastaan Hon Hon, Abhi Main Apne Digar Par Dharon Qadam Kaise, Mujhe Ye Ilm Hai Humrah-E-Karwaan Hon Main, Main Hon Zaroor Kahein Teri Bazm Mein Lekin, Talash Kar K Too Khud Hi Bata Kahan Hon Main, Bitha Lia Mujh Aankhon Pe Is Ki Rehmat Ne, Mujhe Gumaan Tha K Ek Jinr Raigaan Hon Main, Ye Kia Maqam Hai Pindar-E-Khud Shanasai Ka, Har Aik Qatra Ye Kehta Hai Bekaraan Hon Main............! Page 159  

Chubhe Kanta Koi Bulbul K Seene Mein To Aye Maali

Mera Iman Hai Taza Chaman Ijad Ho Jaye

Poet Abdul Hameed Addam   Tumhari Dil Kashi Kuch Aur Bhi Jallad Ho Jaye, Humare Bab Mein Bhi Kuch Na Kuch Arshaad Ho Jaye, Haqeeqi Zindagi To Aik Kaifiat Hai Batin Ki, Wo Kaisi Zindagi Jo Muddat-O-Mayad Ho Jaye, Humain Dars-E-Degar K Pech Mein Mat Daal Aye Haadi, Ghaneemat Hai Agar Pehla Sabaq Hi Yad Ho Jaye, Mujhe Maloom Hai Manzal Nahayat Door Hai Lekin, Agar Koi Bagola Ma'ail-E-Imdad Ho Jaye, Chubhe Kanta Koi Bulbul K Seene Mein To Aye Maali Mera Iman Hai Taza Chaman Ijad Ho Jaye..........! Page 156  

Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi

Ab Yad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi

  Poet Wasiq Ali Athar    Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi Ab Yad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi Tum Youn Mili Dobara Phir Mah-E-February Mein, Jaise K Hum Safar Ho Tum Rah-E-Zindagi Mein, Kitna Haseen Zamana Aaya Tha March Le Kar, Rah-E-Wafa Pe Thi Tum Wado Ki Torch Le Kar, Bandha Jo Ehd-E-Ulfat April Chal Raha Tha, Dunia Badal Rahi Thi Mosam Badal Raha Tha, Lekin May Jo Aaya Jalne Laga Zamana, Har Shaks Ki Zaban Par Tha Bas Yehi Fasana, Dunia K Dar Se Tum Ne Badli Thi Jab Nigahain, Tha June Ka Maheena Lab Par Thi Garm Aahain., July Mein Jo Tum Ne Ki Bat Cheet Kuch Kam, Thay Aasman Pe Badal Aur Meri Aankhain Purnam, Mah-E-August Mein Jab Barsat Ho Rahi Thi, Bas Aaso'on Ki Barish Din Rat Ho Rahi Thi, Kuch Yad Aa Raha Hai Wo Mah Tha September, Bheja Tha Tum Ne Mujh Ko Tark-E-Wafa Ka Letter, Tum Ghair Ho Chuki Thi October Aa Chuka Tha, Dunia Badal Chuki Thi Mosam Badal Chuka Tha,...

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log

  Poet Wasiq Ali Athar Type By  *.__Ayaz Khan__.*   Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log, Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log, Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare, Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log, Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho, Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log, Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri, Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log, Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha, Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!   Book Chaman Mein Phool Mehka Page 32,33   

Bazam-E-Eid Mein, Main Tanha Thera

Main Akela Tha Akela Hi Thera

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.*    Bazam-E- Eid Mein, Main Tanha Thera Main Akela Tha Akela Hi Thera Meri Aankhon Mein Deed Ki Pyas, Aur Labon Par Hai Sehra Thera, Wo Kab Ka Ja Chuka Hai Mujhe Chor Kar, Aur Main Intazar Mein Be Waja Thera, Main Hansta Howa Nazar Aata Hon, Par Mere Andar Wihshat Ka Daria Thera, Wo To Har Simat Nazar Aata Hai AYAZ, Main Kabhi Yahan Kabhi Wahan Ja Thera.............!    

Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake

Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai

    Poet Dagh Dehlvi    Wo Hawas Thi Meri Uran Ki, K Main Har Sitare Ko Choo Sakon, Meri Khwahishon Ko Haar Don, Kisi Aise Dhare Ko Choo Sakon, Na Chamakte Chand Ki Roshni, Na Hi Dil Ka Jalta Charagh Hon, Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake, Meri Zindagi Mein Wo Daagh Hai, Koi Aisi Thi Na Khata Meri, Kabhi Khatm Ho Na Saza Meri, Kisi Aur Se Karon Kia Gila, Na Sune Duhai Khuda Meri, Jo Salook Mujh Se Kia Gia, Meri Har Ghari Mein Wo Aag Hai, Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake, Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai, Main Agar Hun Us Ki Panah Mein, Mera Dil To Bas Mein Nahi Raha, Mere Har Nafas Pe Hai Haq Mera, Main Tumhara Hon Jion Kis Tarah, Na Madawa Hai Koi Pyas Ka, Na Sakoon Pata Na Demagh Hai, Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake, Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai, Mere Dil Se Dharaknain Cheen Kar, Mujhe Mujh Se Door Kia Gia, K Hon MaMta Ka Ek Aaina, Mujhe Choor Choor Kia G...

Nomi ki taraf se Hijar K Liye

Image
"Classic Words" Mohabbat Kisi Aise Shakhs Ko Talash Nahi Karti Jis K Sath Raha Jaye Mohabbat To Aise Shakhs Ko Talash Karti Hai Jis K Baghair Na Raha Jaya.    ================== Nomiii Collection  ==================    

Apne Haathon Ki Lakeeron Main Basa Le Mujh Ko

Image
    ==================  Nomiii Collection  ==================    

Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath

Us K Lab-O-Rukhsar K Sath

Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalam Ho

Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Eid Ka Maza To Hai Yar K Sath Us K Lab-O-Rukhsar K Sath Eid K Din Wo Mujh Se Hum Kalam Ho Kuch Muskarahat Kuch Pyar K Sath Mein Us Ki Rafaqat Mein Khush Aise, Jise Gul Khush Hote Hain Bahaar K Sath, Kis Qadar Lutf Hai Us K iqraar Mein, Jab Nigah Jhokti Hai Izhaar K Sath, Mekhane Na Sharab Mein Wo Nasha, ,AYAZ, Us Ki Aankhon Mein Jo Hai Khumaar K Sath,.........! Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai

Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai

Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai Har Zuban Par Aik Hi Faryad Wahan, Na Sajao Bazam-E- Eid Ye Be Talab Eid Hai, Palesteen Kal Bhi Maqtal Aur Aaj Bhi Maqtal, Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai, Kis Qadar Behis Ho Chuke Hain Log AYAZ, F Palesteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai.....! Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai

Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai

Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish

Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai

    ============= Eid Collection-14 ============= Poet Ayaz Khan Type By    *.__Ayaz Khan__.* Ajab Shehr Hai Wo Ajab Eid Hai Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai Falsteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish Har Aankh Mein Aanso Be Sabab Eid Hai Har Zuban Par Aik Hi Faryad Wahan, Na Sajao Bazam-E- Eid Ye Be Talab Eid Hai, Falasteen Kal Bhi Maqtal Aur Aaj Bhi Maqtal, Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai, Kis Qadar Behis Ho Chuke Hain Log AYAZ, Falasteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai.....! Mazeed Eid Ki New Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001